AD dialogue and song lyrics (Hindi)

mombasa00 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#1
So Ad has fallen in love...here's the wonderful lyrics as he remembers his moments with Bani and his dialogue thereafter....

Tumne sawaaran mujhe, tumne bikhera

Samajhme na ayaa mujhe, pyaar tera

Yaadon ke kamre mein, jahaan bhhi mein dekhoon

Aaye nazar mujhko sayaa tera

Har pal tumhe, yaad kiye

Par tum hame, bhool gayi

(as Bani comes to stand behind him)...

AD: Kya baat hai? Neend nahin aa rahi?

Bani: Mujhe neend kaise aayegi Mr Deb? Main yahaan jis maksad se aayi hoon…jab tak mera woh maksad pura nahin ho jata…mujhe neend kaise aa sakti hain?

AD: Ajib au garib…anokhi adbhoot dastaan…woh insaan aaj bhi tumhari neend uda raha hai…woh insaan jis se tumhari kabhi shaadi hui thi…sorry…do baar shaadi hui thi tumhari…

Bani: Haan Mr Deb, kuch shaadiyaan barbadi se kam nahin hoti…meri pehli shaadi...meri majboori thi jisne mujhe barbaad kar diya…lekin meri doosri shaadi us insaan ki majboori hai jisne mujhe barbaad kiya tha aur ab mein use barbaad karoongi. Nafrat aur pyaar ke bich fasla kitna kum hota hain (AD nods in approval)…pata nahi chalta kab nafrat pyaar mein badal jaye aur pyaar nafrat mein…anyways…apne meri liye jo kuch bhi kiya, uska bahot bahot shukriya. Aap bahot hi acche insaan hai. (she walks away)

AD – (laughs out loudly) – Accha insaan...suna tunhe (looking towards the sky)…main ek accha insaan hoon. Yeh teri acchayee bahot mhengi padti hai mujhe….accha insaan…yeh rishton ka khel bhi ajeeb hai…kisiko rishtey ki gherayee maar jati hai aur kisiko rishtey ki mhengai. Ab dekhna…woh bhi Walia se nafrat karti hai, mein bhi Walia se nafrat karta hoon. Nafrat ke is raah per chalte chalte pata hi nahin chala, ki kab pyaar ho gaya. Usne apni aadhi jindagi Walia ke saath gujari…aur baki aadhi zindagi uski barbaadi mein gujaregi…mein to sirf zariyaan hoon Walia ki barbaadi ka….aur maan..sirf booniyaad hamari shaadi ka. (smirk) Yeh zindgai bhi…jab mujhe pyaar ka ehsaas hua to uska ehsaas kahin kho gaya. Jahan se Aparajit Deb ki zindagi phir se shuroon hone wali thi…wahin per…Durga ki zindagi ka unt ho gaya…..badi ajeeb hoti hai yeh zindagi.

-

I can xlate some but not as well as some of you can so if someone wants to attempt it, please!!




Created

Last reply

Replies

4

Views

3.2k

Users

5

Frequent Posters

EcliPSe_2010 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#2
thnks alot for this dialogue
wonderful lines..words.. 👏
banibanijai thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#3
thanks a lot
loved AD-Bani scene
krazyfouryou thumbnail
Posted: 18 years ago
#4
thanks for the Lyrics and the lines. Great AD/Bani scene
kelly12 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#5
ohh thanx wat movie is this song from????? can any 1 tell me 😉

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".