Kala ne chota sa kushti comptition rakha tha. Kya time aa gaya hai MJ kushti lad raha hai 4 money. Jab MJ ne shirt utari to kuch ladies kaise expressions de rahi thi jaise keh rahi ho 'oy iski body to dekho kya lagta hai'
MJ ne us chindi fighter ki band bajani start kar di or tabhi hui tara ki entry or MJ gaya kaam se. Fight gayi bhad me MJ ka dil dimag nd nazre sab tara me uljhi thi. Or wo mua chindi fighter mauke ka fayda utha ke MJ ko maar raha tha. MJ ko bhi jab bardasht nahi hua to dho dala use. Uska dhyan bhatka raha tha. Use apni tara ko dekhne nahi de raha tha. Use patak ke MJ bhaga apni tara ke piche per tab tak tara ja chuki thi. Or MJ uski tamanna adhuri reh gayi.
Tara ko bhi lift lene ko wahi gadi mili thi. Kali gadi te kala dil. Huh her jagah pahuch jata hai. Sanki kumar aaj bhi tara ko darane me laga tha pehle glass tod ke phir angare fek ke. Per tara kaha darne wali thi. Bada chala tha apne pyaar ka izhar karne tara ne dikha diya ki wo pyaar ke mamle me usase bhi jyada badi sanki hai. Chal di angaro pe aise jaise angare nahi phool ho. Waise kamal hai tara angaro pe chali pair jale ki nahi malum nahi per uski sari zaro bhi nahi jali. Sanki kumar ne 2 days ka time manga hai tara ko bhopal le jane ke liye. Kyu? Taki 2 days me wo bhopal me MJ ka pata laga ke use marwa sake. Use kya pata ki tara jaha MJ waha. Kuch nahi milna use bhopal me ja khush ho ja.
MJ ki jaane bahar kya dikh gayi use MJ ka chain karar sab chin gaya. Neend me bhi tara hi dikh rahi thi. Aaj to use tara se apni pehli 2 mulakato ka dhundhla sa aks bhi dikha. Tara ke dikhne ki der thi MJ ko apna past dikhne laga jab tara use MJ keh ke bulayegi to kya hoga.
Haa to MJ ki neend ud gayi nd apne dil ke hatho majboor hokar chala aaya apni tara ko dekhne. Kitne pyaar se apni sleeping beauty ka chehra apni nazro me utar raha tha per ye manhus mannat chali aai drama karne. Bhootni ko raat ko bhi sona nahi aata kya jo chali aai. Abhi to MJ ne apni tara ko jee bhar ke dekha bhi nahi tha ki le gayi use. Per koi nahi MJ ne apni bechaini ka aadha ilaz to dhoondh liya. Le gaya apni tara ki photo. Ab use hi dekh dekh ke apna ilaz karega. I hope pari dekh le nd MJ se q puche. But kahi kala na dekh le.
Tara ko sab red sari hi kyu dete hai. Ye wali acchi nahi thi MJ wali acchi thi. But us sanki kumar ki himmat kaise hui tara ko chune ki. MJ ko pata chala na to haath tod dega. Waise tara akele kafi hai teri aashiqi ka bhoot utarne ko