after effects of watching 'BANJARA' being played on PARUD
banjare si kahaani thi
zeher si zindagani thi
haasil ka pata na tha
na uski tadap ki koi nishaani thi
main banjara zindagi se nahin
kismat se tha
junoon paane ka kabhi na tha
na kuch khone ka darr tha
aakar usne kuch aise ghar ki umeed jagai hai
jaise chaand se milti,maa jaisi parchaayi hai
sardi ki dopahar,shayar ki gazal,yaa smaundar ka kinara hai woh
jo bhi hai,aaj kayi saal baad banjaare naam se lagta hai darr
lekin kuch zakham dil par nishaan chod jaate hain
hasne ke mauke kya banjaare ki zindagi main
ro dene waali galiyoon se gujar kar aate hain
teri zid ki taaqat meri rooh pechaanti hai
par tujhe kho dene ka darr
kal shayad joh maanti thi, aaj shayad jaanti hai
banjaare ke naam se nikal kar ''aam'' kehlane ka mann karta hai
woh pyaar jo tujhse hamesha se tha
aaj usse ishq banane ka mann karta hai
jaanto hoon, tere bhagwan se ladai asaan na hogi
maanta hoon mujhe kho dene ke tere darr se
meri yeh haatha payee kuch alag si hogi
lekin aaj tere liye sab kar jaane ko mann karta hai
apni bevkoof ladki ke liye bevkoof kehlane ko mann karta hai
AAJ ISS BANJARA KA GHAR BANANE KO MANN KARTA HAI
APNE PYAAR KO ISHQ KEHLAVANE KA MANN KARTA HAI.
P.s. wrote this MAHAAN poetry as a reply to all the mAHAAN people who r finding illogic in rudra and are yet again making bashing as their way of existence,,chill guys,,yeh poem padho aur so jao,,,its much better option then bashing rudy boy,,waise paro bashers ke liye bhi likh sakti hoon,,,if they wanna sleep too,,do comment if u all have SHAKTI to read a poem on paro too..