sorry guys iam late
actually iam out of station
here is the update
Hello everybody!
Piyush & kahsih are happy to watch the launch AD of josh drink & enters
sujal &they r shocked.
sujal:mr shah,hi im sujalgarewal ,meri company market mein ek naya drink
launch karne jarahi hai or mai chahta hoon ki iska Ad app banao.(MR shah
says,why not?then he introduces him to piyush raheja,says he is also
launching a drink namely josh.
sujalhir to yeh hamare dushman hue,i mean business rivals.(mr.shah
agrees,but saysthat he will make a different ad for him ,but
sujalinterrupts,"inse achcha nahi.
sujal:koi baat nahi aap agar inse achcha nahi to bilkulinke jaisa ad bana
dijiye,I like this ad very much mujhe apni drink ke liye bilkul aisa hi ad
chahiye,bilkul aisa
sujal:kyon yeh log naraz ho jayenge isliye.
sujal"lo yeh to wakai naraz ho gaye".
outside in the car BB is very upset&tensed. PB tells her that why is she
taking so much tension.BB says "tension kaise nahi loo piyush ,tum or mai
dono jaante haisujal kissi na kissi tareh hamare project ko nuksaan
pahunchane ki koshish karega,Woh hum dono ko khush nahi dekh sakta hai
piyush
PB:maisujal ka koi bhi bura irada kamyab nahi hone doonga ,yeh project
tumhara sapna hai auryeh sapna sakar hokar rahega sujal to kya koi aur bhi
is sapne ko sakar hone se roknahi sakta
There in the ad agency sujal is trying to convince mr shah.but he does not
agree,cos he has already taken the money frmhim
sujalh! to yeh baat hai,theek hai mai aapko mr piyush se dugne paise dene
ke liye tayyar hoon ,ab to aapko koi aitraaaz nahi ho sakat,(but mr shah
still hesitate ,he says "mai business mein beimani nahi kar sakta "
sujal:very good! mai aapki imandari ki kadr karta hoon mr.shah aur usi
imandari kodhyaan mein rakhte hue mere paas ek offere hai....ab aap meri
baat dhyaan se suniye. then says
"mera offer aap ki imandari ke liye bhi theek rahenga aurmere ad ke liye
bhi...kyon mr shah?"(again mr shah hesitates,)sujal says its ok..koi
zabardasti nahi ..agar aap ko aitraz hai tokoi baat nahi ,is sheher mein
bahut si ad agencies hai jo business ethics bhi jaanti hai aur paisa kamana
bhi,mai unhi se baat karunga.
At the raheja -garewalhouse ,sujal's dad is too happy that piyush revived
the josh project .Lalit says that the credit of josh goes to kashish..its
her baby.
CG:mr khanna aaj achanakkaise?
mr khanna :hamara aana zaroori tha,aap logo ko batane kr liye ke ab hamari
dosti rishtedari mein badal ne jarahi hai(woh kaise,cg asks)
khanna:sujal ne archie se shadi karne ka faisla kiya hai sab kuch pehle hojata to yakenan bahut khushie hoti,hum ko bhi aur aap ko
bhi,par aaplog tojaante hai jis tarah ke halat se sujal guzar raha hai yeh
khabar khushi ke saathek dar bhi layee hai ..dar is baat ka ke kahin yeh
rishtedari hamari dosti ko nuksan na pahunchaye.sujal ke irado ko dekhte hue
humis shadi ke liye haan nahi karna chahte the lekin kya kare hamari beti ki
zid aur uski khushi hamare saamne aagayi.mai puri koshish karunga ke jis
tarah dosti nibhaye usi tareah rishtedari nabhaunga.
CG:i m sorry mr khanna ,jab sujal ke saath hi koi rishta nahi to aaap ke
saath rishtedari ka sawal hi paida nahi hota"(mr&mrs khanna had to leave
dissapointed.& also gets up veena in anger&leaves,cg tries to stop her but
she says,she is going to meet her son ,which is very imp.for a mother.cg
says that he would not like it.but veena says that today she will not listen
to him
Sujal is in the office talking to somebody on phone,telling himthat his wrk
should be done.that he dont like people giving excuses. &his eyes spot
his mother standing at the door,he cuts the conversation&gets up to receive
his mom
sujal:kaisi ho mamma ?
mamma:kya tum khush ho is rishte se?
sujal:kis rishte ne mujhe aaj tak khushi di hai mamma ,kis rishte ne,aur
waise bhi shadi karke kitno ko khushi naseeb hoti hai,zyaada tar log tois
rishte ko samjhote ki tarah nabah dete hai.kam se kam mai ne to yahi dekha
hai.jeevan saathi chahe kaisa bhi ho use chodna adharm kehlata hai ,ab chahe
woh jeevansathi aapko kuch na samjhe,waqt bewaqt aapka haath jhatak de lekin
uska daman pakadkar puri zindagi chalni padti hai. maaf karna.katni
padti hai."
mamma:tumhari zindagi to tumhare hi haath mein hai na.to tum kyon shadi kar
rahe ho,apne dil ke khilaf jaakar
sujal:jab tak dil ki sunta raha ,saari duniya ne mujhe sunaya,kuch bhi
sunaya.,itna sunaya ke is dil ne doosron ke liye dhadakna chod diya,ab yeh
dhadakta hai to sirf jeene keliy...haan mamma, ab maine dil se nahi dimag se
sochna shuru kardiya hai""
mamma :apne baare mein na sahi kam se kam archie ke bare mein to socho
sujal:jaanti ho mamma,jis takleef se mai guzar raha hoon mai woh takleef
kissi aur ko de hi nahi sakta .kyon ki mai jaanta hoon dard kise
kehte hai,.Archie jaanti haike mai use pyaar nahi karta aur shayad kabhi
karunga bhi naiphir bhi wo mujhse shadi karna chati hai(her mamma is
shocked)
mamma:magar sujal?
sujal:mamma,saare haq to mujhse cheene ja chuke hai kya mujhe shadi karne ka bhi haq nahi.
mamma:to kya mujhe haq nahi tumhari maa hone ka,mujhe haq nahi tumhe khush dekhne ka, tumhari parva karne ka. bahot badhe ho gaye ho
sujal,....apni maa se apne haq ki baat kar rahe ho,lekin mai yeh baat bhuli
nahi hoon ki mai tumhari maa hoon,agar us din ghar se jaate hue, mai ne
tumhe nahi roka nahi is ka matlab yeh nahi hua ke mai ne tumhe apni zindagi
se nikaldiya
sujal:agar yeh haq baaqi tha to us roz kyon nahi roka mamma ,kyon apne bete
ko nahi roka
mamma:agar mai us roz tumhe rokti to bhi tumrukne wale nahi the,tum itne
aage ikal chuke hoke tumhe rokna bahut mushkil ho gaya hai.lekin mai tumhe
rokungi,tumhari maa hone ke naate tumhe rokungi,jab tak mai zinda hoon tab
tak mai apnafarz nibhaongi.....sun rahe ho tum (she shakes him )mai apna
farz zaroor nabhaongi"
sujal:looks at his mamma ,who is almost crying)mai kitna bhi door nikal jaon
,kahin bhi rahoon ,kissi bhi haal mein ,magar ek baat hamesha yaad rakhna ke
aap ke aansoon mujhe hamesha rulaenge(he wipes his mamma's tears with his
fingers&hugs her)
mamma :jis aag mein tum jal rahe ho sujal us aag mein,dushmani hai sab usme
jal jayenge ,apne aap ko sambhalo beta"
sujal:sambhal hi to rah ahoon mamma,kya galat kar raha hoon mai. kuch
bhi to nahi..woh...us ghar ko choda hai bas.kya galat kiya hai isme?
mama:koi aur jaane na jaane ,hum dono jaante hai ketum kya kar rahe ho.ghar
wapas aajao sujal. haan..mai sab se baat karungi.mai sab ko
samjhaongi.lekin tum jaldi se wapas aajao"
sujal :haan mamma,mai wapas aaonga,mai ghar wapas zaroor laut ke aaonga,aur
is baar mujhe aane ke liye kissi ki ijazat nahi mangni padengi.
BB is desperately awaiting for the newspaper,to see their AD of josh
project,PB tells him to relax,says"the first project is like ur first
baby,sahi kehte hai na,(she nods)excited..she says ya,"kiske liye ....ad ke
liye ya BABY ke liye "ofcos ad ke liye ..she shies away.
the newspaper comes,kashish opens it or saare hosh udgaye!!!!!"piyush".Pb
thinks the ad is not there,she shows it to him& he is more furiuos ,
kashish:mai ne kaha tha aapse piyush ke sujalkuch na kuch zaroor karenga
,dekha aapne usne kya kiya,woh hame barbaad karna chahta hai piyush ...she
almost breaks into crying. PB consoles her saying ,please
calmdown.sujalki koi bhi ghatiya harkat hamare iraade nahi badal
sakti,hamare present par koi aanch nahi aayengi.
Piyush gets acall on moble frm office,he is asked to hurry to the office cos
the whole staff is leaving the office,he is upset,kashish asks himbut he
says that he forgot that there is an imp meeting in the office &he leaves(ab
tumhe kya batata,tumto pehle hi seedhi par rone lagi. & i msure all
of us ...esp suman&sarah r very happy to watch it, khoon ke aanso ki
shuruaat.
Pb is in the office with the staff,they say that they want toleave cos they
r getting much better offer frm other company.piyush asks which
company?whose company?& they say its MR sujal garewal. Piyush agrees to pay them the double salary plus bonus &
they agree to stay with him. phone rings,piyush picks the phone"hello .but no reply. he gets more frustrated&shouts hello". &ther on the other side ,who else it could be rather than sujal garewal..."kya baat hai piyush badhe jhunjulaye hue lagte ho
P:sujal tum.
sujal:vaade ke bade pakke ho kehna chahrahe hona.jis jung ka elaan karke
ghar se nikla tha aaj us jung ki shuruaat ho gayi.jis tarah mere Ad ne
tumhare AD ko charo taraf se ghera hai ,theek usi tarah tum bhi apne aas
paas mujhe paonge"
piyush:jo tumne aaj kiya hai woh tumhar roz nahi kar paonge"
sujal:har roz nahi har pal..har pal tadapna hai tumhe piyush,meri ispehli
jeet ko apni akhri haar mat samajhlena"..
piyush:just shut up you .he bangs the phone.sujal looks at the phone &grins
At archies home she is worried abt sujal's business policy ,she jst cant
understand&is too anxious
archie:sujal mujhe kuch samajh nahi aaraha ke tumkya kar rahe ho.tumne ek AD
par itna paisa lagaya,hamare paas nahi koi machinery hai or naahi koi
infrastructure ,tumm jaante ho tumkya kar rahe ho?
sujal:agar nahi jaanta to kabhi karta hi nahi archie
archie:sujal sirf yeh dikhane ke liye tumhara Ad piyush ke Ad se kitna
achcha hai, tumne itna paisa kharch kar diya,think practically .hmm agar
tumyeh paisa drink banane par kharcha karte na ke in Ad banane par
to. sujal tum ne itnasabkuch sirf dikhawe keliye kiya.
sujal:ARCHIE .yehjo duniya haina sirf dikhawe par tiki hai ,charo oar
sirf dikhawa hi to hai. bhavnao ka.jazbaaaton ka.paise ka. har cheez ka
dikhawa. jo dikhta hai ,wahi bikta hai yeh maine seekha hai ,mujhe jo
duniya ne dikhana tha dikha diya ,ab maiduniya ko dikhaonga,unhi ki bhasha
mein,unhi ke tariko se."
archie looks at him:"u r unbelievable sujal &(UNBEATABLE TOOOOOO)
sujal :thinks to himself"mai jaanta hoon ki mai ek blind game khel raha hoon
,lekin patte kya khulenge ,yeh mai achchi tareh jaanta hoon."(thats
ABSOLUTELY SUJAL GAREWAL STYLE)
ok bye
with lots of love,
saranya