Ek ehsaas dil mein mujhe mehsoos hota hai
Pyaar kya hai?
Pyaar kyun hai?
Kya deta hai pyaar?
Kya leta hai pyaar?
Humein kya paane deta hai pyaar?
Humein kya kho lene deta hai pyaar?
Kyun hasata hai yeh pyaar?
Kyun rulata hai yeh pyaar?
Kyun saari saari raat yeh humein jagaye rakhta hai?
Kyun ankhon se neend urata hai yeh pyaar?
Kyun? Aakhir kyun?
Bekaar hain yeh sawaal jab jawaab itna khubsoorat ho
Bekaar hai hasna jab kisi aur ki hasi (KA) aur bhi zyaada Meethi ho
Bekaar hai rona jab kisi aur ke aansoo (KA) aur bhi zyaada Dardnaak hon
Bekaar hai pyaar ka har sawaal jab misaal kavyanjali jaisi ho
Hey guyz i'm at ma unclez house and i wrote this just now by myself, plzz do comment
With amples of luv
Zara
xxx