Waqt qareeb hai judai ka...
dil ka dard aankhon mein utar aaya hai...
yunh phoot phoot kar rona...
Yunh siskiyan lena...
ab yunh milna jaane kab ho...
Tara ki aankhon mein aansun...
Mj ka darr tara par koi aanch na aaye...
Usse door ab kaise raha jaaye...
Jaate jaate haathon ko pakad...
Ek dusre ke ehsaas ki kami ko pura kar rahe hai...
Bichadne ke ehsaas se waaqif hai...
Phir bhi majboori mein vida kar rahe hai...
Iss tarah yunh jaana...
Dil ko dard deta hai ...aankhon mein nami deta hai...
Judai ka yeh pal...hazaaron sitam deta hai...
Dil zaar zaar hai...
Aankhen askh baar hai...
Yeh haath choot raha hai...
Mera yaar ka daaman choot raha hai...
Dil ki dori se bandhi hai yeh dor...
Saanson ka silsila bhi chale bas teri ore...
Koi roko usse main jaanti nahi...
Usse yunh door na karo mujhse dil maanta nahi...
Uss ke jaane se jeena mushkil hai...
Woh saanson mein basa hai...
Dhadkanon ka saathi hai...
Rooh ki taskeen hai...
Mera humraahi hai...
Mujhe chahiye saath usska...
Usski khatir hazaar gham seh loongi...
Usske liye kisi bhi hadd ko paar karungi...