What you mean to me!! (Page 112) New Poem - Page 49

Created

Last reply

Replies

889

Views

116.7k

Users

49

Likes

938

Frequent Posters

Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Note: This story is based on an old Marathi play I had watched when I was may be 13-14. Unfortunately I don't remember the name of the play. I had written this story few months back just for time pass but somehow wast happy with it. Few days back I just recollected it while speaking to Snehal on Adi sir's FC. Snehal and Soni wanted to read it so posting it here. If you fing it completely filmy or dramatic... "Remember I have warned you earlier"

Scene 1

Abhijeet and Daya move out of the bureau, Daya absentmindedly sits on the passenger seat at the front, Abhijeet is surprised but goes and sits on the drivers seat and lays his hand...

Abhijeet: chabi do bhai,

Daya lost in his own thoughts puts hand in his pocket and hands over keys to Abhijeet. Abhijeet ignites the vehicle and they move. The is still silent lost in his own thoughts.

Abhijeet: Aaj maun vrat hai kya? (No reply) Daaayaaa...

Daya: eehhh

Abhijeet: Main itna bura driver bhi nahi hoon yaar ke tum bilkul baat naa Karo... (Daya smiles but just as formality) kya baat hai? Kya huva hai?

Daya: kuch bhi toh nahi yaar...

Abhijeet: oh accha? Aur tum chahate ho ki main Iss ka yakin kar lu? Main tumhe kal parso se nahi jaanta hoo yaar... (Daya now smiling wholeheartedly) Freddy ki birthday party mei bhi tum gumsum the aur ab yahan gaadi mei bhi.. Batao bhi baat kya hai?

Daya: main Freddy ke liye hum sub ki or se gift lene gaya tha naa... Gift toh maine me li aur lautate samay mujhe Dadda mile... Dadda mere orphanage mei caretaker the... Unki ek beti hai Kumud... Hum logon ke saath hi khel kar badi hui hai... Kumud ki maa nahi hai... Bachpan se hi ye dil ki bahut acchi aur masoom si thi... Helping, samjdaar... Kami bas ek hi thi... Bahut zyada sensitive...

Abhijeet: (observing a spark in Daya's eyes) lagata hai yeh Kumud badi special hai tumhare liye?

Daya: (smiles) haan, main usse chutki kaha karta tha aur woh mujhe dada bulaya karti thi matlab bada bhai... Meri choti behen jaisi hai woh... Khair... Dadda aur Kumud Pune mei hi raha karte the... Wahin ek local marriage bureau ke zariye Kumud ki Shadi Sanjeev Apte naam ke aadmi ke saath hui... Shaddi mei aur uske baad bhi Sanjeev ne Kumud ko bade pyaar se rakha... Unka ek pyaara sa bacha bhi huva... Ek ladka... Aur jub woh baccha 4 mahine ka huva Sanjeev uss bacche ko lekar bhaag gaya... Iss sadme mein Kumud pagal ho gayi (voice moistened) Dadda usse lekar illaz ke liye Mumbai aaye hai...

Abhijeet: Kahan rehti hai yeh Kumud Mumbai mei? Chalo use mil aate hai... (Daya jus stares at Abhijeet) Aaree uske bacche ko bhi toh use milvana hai naa...

Daya: (smiling) kabhi kabhi mujhe lagta hai... Mujhe mujh se zyada toh tum pehchante ho...

Abhijeet: haan yeh baat toh hai (winks)

The vehicle drives off...

Scene 2

Kumud's house

Dadda opens the door...

Dadda: Aaree Daya tum? Aao beta aao...

Daya: Dadda yeh Abhijeet hai...

Abhijeet folds hands in a Namaste...

Dadda: (doing Namaste) Accha toh yeh Abhijeet hai jiska tum itna zikar karte rehte ho...

Daya laughs and nods while Abhijeet smiles...

Daya: Hum Kumud k baache ko dhundne wale hai.. Iss mei aap ko humari madad karni hogi.. Saari baat hume shurvaat se batiyee aur har choti se choti baat... Pata nahi kya kaam as jaye...

Dadda: kuch ded saal pehle main Kumud ke liye rishta dekh raha tha... Yeh ladka Poona mei training pe tha kisi bank mei... Iski permanent job Nainital mei thi... Sanjeev Apte naam tha iska eklauta ladka tha... Maa nahi thi... Pita beemar the Nainital mei hi rehte the Shaddi bhi registered hui... Tum aane bhi wale the par kisi case k karan nahi aa paaye... Khair Shaddi ka registrar wagaira bhi yehi laya tha... Shaddi ke baad honeymoon k liye dono Matheran gaye the... Aur fir wahan se Nainital... Wahan kul 1.5 saal tak rahe... Wahan bhi Sanjeev ne Kumud ko kisi bhi cheez ki kami mehsoos nahi hone di... Bas kabhi usse kisi padosi ya kisi aur se baat nahi karne deta tha... Uske swabhav ka bhaag soch kar Kumud ne adjust kar liya... Isi beech ek aur ajeeb se baat hui inki Shaddi ke do mahino baad mere ghar se achanak hi Kumud ki shaadi ka album video sab jaise gayab ho gaya.. shaadi ke kuch saal bhar baad Kumud ko baacha ho gaya, ladka tha... (Saddness covers his face) Bahut khush tha main aur Sanjeev aur Kumud bhi... Par maine socha bhi nahi tha ke yeh Khushi Sanjeev hi khatam kar dega..

Abhijeet: Jis din woh baache ko lekar gayab huva uss din exactly kya huva tha?

Dadda: exactly toh pata nahi par jo maine Kumud ki baaton se samjha woh batata hoon... Uss din Kumud kafi der se uthi par uski bagal mei Sanjeev nahi tha naahi Aashish... Mera matalab hai baccha... Ghar bhi bilkul saaf tha Jaise ghar mei koi rehta hi naa ho... Koi tasveer nahi kuch nahi... Police key rahi thi unhe koi finger prints bhi nahi mile... Pehle toh Kumud ko yakin hi nahi huva ke Sanjeev Aashish ko lekar bhaag gaya hai

Daya: Fir police ko kisne bulaya?

Dadda: Maine! Uss ne Sanjeev aur Aashish ka shaam tak intezaar kiya, jub dono nahi laute toh usne mujhe phone kiya yeh sub baate sunkar ke ghar ke saare photos bhi gayab hai mujhe gad bad laga aur maine use police complaint kar ne ko kaha par usse yakin tha Sanjeev laute ga... Agle din main wahan pahuncha aur maine police complaint ki... Police ka bhi yahi andesha tha ki Sanjeev Aashish ko lekar bhaag gaya hai kyunki police ne use poore do din dhunda par nahi kahi accident aur nahi extortion ki khabar...

Abhijeet: Aur Sanjeev ke pitaji?

Dadda: Iss hadse se 15 din pehle woh bhagwan ke darshan ke lie haridwar gaye the...

Daya: Matlab boss yeh sub badi planning se huva hai...

Abhijeet: (nods) maaf kijiyega Dadda magar Agar Daya aap ke liye bete jaisa hai aur Kumud ke liye bade bhai jaisa toh aapne yeh baat Daya se pehle kyun nahi kahi?

Dadda: (smiles) yeh sab kuch Nainital mei huva... isse pehle main khud ko sambhal paata Kumud ki halat bigadne lagi... Main usse Poona le gaya... Haan Poona pahunchne ke baad maine Daya ko phone karne ki koshish ki magar mujh se Daya ka number kho gaya tha... Issi liye main contact nahi kar paaya... Mumbai aane ke baad maine CID bureau mein call kiya par Daya nahi mila...

Abhijeet: maaf kijiye Dadda... Mere liye yeh janana zaroori tha...

Dadda smiles...

Daya: Kumud kahan hai? Hum mil sakte hai usse?

Dadda: Andar wale kamre mei hai... Docotors kehte hai mai usse mental asylum me shift kar doo.. Mera man nahi manta...

Daya moves towards the room with heavy steps and Abhijeet follows him... He opens the door of the room Kumud is having a doll in her hands... She lovingly rests her on the bed, cover her body with a blanket and surrounds her with cushions.. She slowly comes out...

Kumud: Dada awaaz mat karo mera Aashish jaag jaye ga.. Woh soya hai naa, uth jaye ga naa toh tumhe usse milvaungi... Uske Daya Mama se.. Woh bahut khush hoga taliya bajayega aise (starts clapping and laughing) (suddenly expression changes to serious one) Par woh taliya kaise bajayega? Kaise khush hoga? Woh le gaya naa mere Aashish ko... (Starts screaming and crying at once) Woh le gaya mere Aashish ko... Woh le gaya mere Aashish ko... Use kaho mere Aashish ko mujhe lauta de... Lauta de mere Aashish ko... (Starts throwing whatever she has) warna main usse maar dungi... (Takes a nearby medicne bottle... Breaks it) ya main aapne aap ko maar dungi...

Dadda tries to control her... saying "hum Aashish ko le aayenge... Haan Kumud.. Le aayenge"... Daya slowly takes the bottle from her hand puts his hand on her head... And says "Chutki main tere Aashish ko tujh se milva ke hi dum lunga... Yeh tere Dada ka vaada hai tujh se"

Abhijeet: (in his own mind) jo tera vaada woh mera vaada... Ab jub tak hum Aashish ko dhund kar Kumud ko nahi lautate hum chain ki saas nahi lenge...

Abhijeet goes out and calls ACP...

Scene 3

In bureau

Abhijeet: haan Purvi, kya pata chala Pune ke marriage registrar se?

Purvi: Sir 26 June 2012 ko kisi bhi Sanjeev aur Kumud naam ke insaan ke Shaddi hui hi nahi hai...

Abhijeet: iska matlab by the court of law yeh Shaddi hui hi nahi hai... Bahut smart hai yeh Sanjeev...

The fax machine beeps...

Sachin: sir yeh rahi Kumud ke case ki file aa gayi hai Nainital se... (Opens the file) iske mutabik Sanjeev apne aur Aashish ke koi saboot nahi chode hai... Na fingerprints, na photographs, naa kapde kuch bhi nahi... Aur itna hi nahi sir police ke mutabik uss ghar ko dekh kar aisa laga hi nahi ki wahan Kumud ke alava koi aur rehta bhi tha...

Shreya: aur jub tak Dadda wahan pahunche Woh Nainital se farar ho gaya... Magar itna toh pakka hai sir... Yeh sari planning kafi hoshiyari aur thande dimag se ki gayi thi...

Sachin: ek aur baat sir... Sanjeev ne Kumud aur Dadda se kaha ki woh originally Nainital se hai... Jub ki uss ne wahan ki jagah do saal ke liye live n license pe li thi... Paise bhi cash hi bhare the aur koi papers nahi bane kyunki ussne dugne paise yaani ke black mei paise diye...

Shreya: Sir Poona mei bhi local marriage bureau mei ussne apni pehchaan ke jo papers diye the who sab nakli the... Aur Kumud ki sharer mei sleeping pills hone ka police ka anumaan tha

Abhijeet: (gets call) haan Freddy... Kya tumhe poora yakin hai? ... Aareee nahi yaar woh toh main surprised hoon Iss liye pooch raha hoon... Accha theek hai... Main bad mei baat karta hoon...

Daya and ACP sir enter together...

Daya: Yeh Sanjeev aur uss ke pita ki sketch hai... Sachin zara isse apne records ke saath match kar ke dekho...

Sachin: (scans and matches) Nahi sir, yeh humare records mei nahi hai...

Daya: Great...

ACP: (smiles) itne hyper mat ho Daya... Chalo yeh saara case ek baar dekhte hai...

Abhijeet: Kumud ek siddhi saadhi Poona mei rehne wali ladki... Jisse Sanjeev naam ka aadmi nakli shaadi karta hain...

Poorvi: haan sir humne marriage registrar se check karaya hai... Dadda ke mutabik jis taarik ko Sanjeev aur Kumud ki shaddi hui uss tarik ko aisi koi registration hui hi nahi... Jis ka matlab kanoonan yeh Shaddi hui hi nahi...

Shreya: Sanjeev Kumud se bahut saare jhoot bolta hai... Apne job ke baare mein... Apne background ke Baare mei sab kuch jhoot bolta hai... Ded saal tak uss ke saath rehta hai par kabhi usse koi taklif nahi deta...

Sachin: Aur ek din achanak bina kuch kahe usse chod kar chala jaata hai... Gayab hone se pehle wali raat woh Kumud ko sleeping pills deta hai aur jaane se pehle saare saboot mita deta hai...

Abhijeet: ek aur khaas baat pata chali hai sir... Shaddi ke baad honeymoon ke liye Sanjeev Kumud ko Matheran ke Visava resort le gaya... Maine Freddy ko wahi pata karne Matheran bheja... Visava ke registar mei Sanjeev aur Kumud Apte ki entry nahi hai balki Sanjeev aur Kamal Apte ki entry hai...

Daya: haan toh theek hai naa... Dadda ne mujhe bataya tha Sanjeev ne Shaddi ke baad Kumud ka naam badal kar Kamal rakha tha.. Maharashtrians me yeh shaddi ka ek rivaz hai.

Abhijeet: Naam badal diya theek hai par naam Kamal hi kyun rakha? Sanjeev ki patni ka naam Sanjana ho sakta tha ya Sanjeevani ya Sudha... Aam taur pe log naam tab badalte hai jub woh chahate hai ki unki patni ka naam un ke naam ke saath rhyme kare ya koi naam ka matlab accha lag jaye... Par Kumud aur Kamal dono naamo ka ek hi matlab hai sir Kamal ka Phool Lotus flower...

ACP: baat mei toh tumhari dum hai Abhijeet...

Abhijeet: Sir saaf taur pe kahu toh mujhe shak hai ki Sanjeev ne yeh Shaddi sirf baccha paane ke liye ki hai kyunki uss ki patni shayad maa naa ban paa rahi hoo.. Aisa ek case pehle bhi delhi mei ho chukka hai sir

ACP: ho sakta hai Abhijeet... Sachin, Shreya aur Poorvi, pichle 10-12 saal jitne bhi aise logon ki shaadi hui hai jinka naam Sanjeev aur Kamal ho unki list banao... Shurvat poona se karo... Abhijeet Daya, main chahata hoon ki tum dono Poona jao aur Kumud aur Sanjeev ke Shaddi ke jo gavah hai unn se baat Karo... Dekho unn se kuch pata chalta hai kya?

Abhijeet-Daya: okay sir...

Duo leave...

Sachin: Sir, ek baat hain... Yeh Sanjeev ke jo pitaji hain... Mujhe lagta hai maine inhe kahin dekha hai...

ACP: kya? Kahan?

Sachin: Mera ek dost hai Ashwin... Woh actor aur model co-ordinator hai... Uske pass bahut saare actors aur models aate hai... Kuch din pehle jub main use milene gaya tha tab maine Shayad isse wahan dekha tha...

ACP: Accha, ek kaam karo Sachin tum Ashwin se milo aur Iss aadmi ke baare mein pata Karo...

Sachin: okay sir...

Scene 4

Abhijeet and Daya are in the their car on the way to Pune... Daya is quiet... Abhijeet breaks the silence

Abhijeet: Kya soch rahe ho yaar?

Daya: Soch raha tha ke Zindagi ke jo darwaze hum band kar chuke hote hai fir laut kar wahin kyun jaana padta hai...

Abhijeet pats Daya's shoulder...

Daya: (smiles) kitna Accha hota naa yaar agar kuch pal ke liye hum wapas jaakar Zindagi kuch galtiyaan sahi kar paate... Kuch unhoni hone se rok pate

Abhijeet: haan yaar (with moist voice) Agar aisa ho paata toh main wapas jaa kar Maa ko pehchaan leta... Aaj shayad woh zinda hoti...

Daya has a lump in throat for making his buddy remember his past and making him sad... He says to himself "Aur main tumhe kabhi akele uss mission pe jaane nahi deta"...

Daya: Chodo beeti baaton ko Abhijeet, abhi hume Kumud ke bacche ko usse lautana hai right? (Smiles)

Abhijeet: right (Smiles back)

Scene 5

A high class hotel...

Sachin disguised a potbellied producer... His friend Ashwin is seating besides him... There is a knock at the door... Ashwin opens the door... It's the man who was Sanjeev's father as per Dadda...

Ashwin: yeh producer Khanna hai... Yeh ek serial produce kar rahe hai jiska naam hai "Bitiya Chali Pardes" Iss serial ke liye protagonist ki pita ke role ke liye aap perfect rahoge... Toh interview shuru kare?

Man nods

Sachin: toh aap ka naam Ajit Karandikar hai naa?

Ajit: ji...

Sachin: apne work experience ke baare mei bataye

Ajit: Ji yeh hai meri profile sir... Pichle 10-12 saal mei maine 8 plays kiye hai... 4 Marathi, 2 Hindi, 1 English aur 1 Gujrathi...

Sachin: Aur main dekh raha hoon pichle do saal mei aapne kuch bhi kaam nahi kiya hai... Kyun?

Ajit: woh meri kuch personal problem thi...

Sachin: personal problem ya personal assignment?

Ajit:Ji?

Sachin: Sach sach batao (takes out his gun) warna...

Ajit: ji ji ji sir ek aadmi mujhe do saal ke liye Nainital le gaya tha... Uska pita banane ka natak karne ke liye...

Sachin: Yahi hai naa woh Aadmi?

Ajit: ji Saab... Yahi hai... Iska naam Sanjeev hai... Par aap kaun?

Sachin: main CID se hoon... aur kya jaante ho Iss ke baare mein...

Ajit: Zyada kuch nahi sir, issne mujhe zyada sawal puchne se mana kiya tha... Ye mujhe Poona mei ek play ke dauran mila tha... Uss ne mujhe yeh offer diya... Mahine ke 50 hazar rupayee promise kiye the uss ne... Main inkaar hi nahi kar paya...

Sachin: Fir?

Ajit: Fir sir main Nainital chala gaya... Wahan kul ded saal tak raha... Sanjeev ka pita bankar Fir plan ke mutabik ek din tirth yatra jaa raha hoon keh kar main Mumbai aa gaya...

Sachin: ek masoom ladki ko fasane ke jurm me main tumhe giraftaar karta hoon...

Scene 6

Abhijeet and Daya land at Aaswad hotel... The two witnesses for Kumud and Sanjeev's marriage Shravan and Tarun are already waiting. Duo seat opposite to these two men...

Shravan: Ab tumhe humse kya kaam hai? Har baar tum yahan aaye ho tab humara nuksaan hi huva hai...

Tarun: aur nahi toh kya? Pehle Amar aur fir Raghavendra sir..

Daya: dekho Shravan, mere liye bhi ye sab asaan nahi hai... Magar iss baar Kumud ka sawal hai... Woh mere liye bhi wahi mayne rakhti hai jo tumhare liye rakhti hai...

Abhijeet: Daya calm down... Dekho tum dono Kumud ki Shaddi ke gavah ho... Tumne Sanjeev ko dekha hai... Yeh batao tumhe Sanjeev pe koi shaq huva? Koi baat jo uske baare mei ajeeb lagi ho!

Sharavan: Nahi sir, hume Sanjeev pe koi shaq nahi huva... In fact hum toh Kumud aur Sanjeev ki compatibility dekh kar bahut khush the... Sanjeev bahut hi loving aur caring tha... Iss liye jub hume yeh pata chala hum bhi bahut shocked the...

Daya: fir tumne Sanjeev ko dhundne ki koshish nahi ki?

Tarun: Dadda ne police complaint ki thi... Aur hum kya kar sakte hai? Hume bhi jobs hai... Humari bhi apni life hai...

Daya: (angrily) Apni life? Kumud, humari chutki, Apni choti behen mante ho naa use aur uske liye itna waqt bhi nahi hai tumhare pass haan?

Tarun: Daya tum hume naa samjhao toh behtar hoga... Apni Zindagi...

Abhijeet cuts the conversation...

Abhijeet: dekho Iss case mei gavah ke taur par Aadalat mei hume aap logon ki zarurat padegi... Aap log gavahi denge naa?

Shravan-Tarun: bilkul denge... Kumud ke liye hum itna toh kar hi sakte hai...

Daya gives them a very annoyed look.. Abhijeet thanks them and drags Daya out of the hotel but meanwhile Abhijeet's phone rings it flashes ACP sir..

Abhijeet: haan sir, humne Tarun aur Shravan se baat kar li hai... Nahi kuch khaas baat pata nahi chali... Accha? Kaunsi date? Theek hai sir main aur Daya jaa kar check karte hai... (To Daya) 15 September 2008 ko yahin Pune mein Sanjeev Apte aur Kamal Kulkarni ki Shaddi hui thi. Hume wahan jaakar check Karna padega... Chale?

Daya nods...

Scene 8

Duo are at Marriage registrar office... They speak to marriage registrar

Abhijeet: Main Sr. Insp. Abhijeet aur yeh Sr. Insp. Daya. Hum Mumbai CID se hai (flashes ID).. 15 September 2008 Sanjeev Apte aur Kamal Kulkarni inn ki shaddi hui thi... Hume uss Shaddi ki details chahiye...

Daya: looking at the CCTV CAM... Aap ke pass Iss Shaddi ki bhi footage hogi naa?

Registrar: Main check karvata hoon...

Registrar hands over entire details of the marriage and copy of the CCTV footage...

Duo take the entire thing and get back to the car... Abhijeet puts the CD into the laptop... In some time they come upon the footage where Sanjeev and Kamal have come for marriage...

Abhijeet: yeh raha Sanjeev aur yeh Kamal hogi...

Daya: (referring the file) yeh Rahul lagta hai... Aur yeh Radha... Yeh rahe unke identity proof.. First class aur yeh unka address.. Rahul ka ghar yahan se nazdik hai...

Abhijeet: Aur Sanjeev ke details?

Daya: Sanjeev Gwalior ka rehne wala hai... Aur Kamal yahi Pune ki par uska address toh C/O hai... Radha bhi yahin ki rehne wali hai on the contrary Kamal aur Radha dono ke ghar ka address ek hi hai?

Abhijeet: Accha? Chalo pata karte hai...

Daya: Pehle Kamal ke ghar... Right?

Abhijeet: Right...

Scene 9

Duo reach Kamal's residence... They ring the bell... An old lady opes the door...

Lady: ji kahiyee?

Daya: hum log Kamal ke dost hai... Kamal hai?

Lady: 6 saal ho gaye usse yeh jagah chode huve! Shaddi se pehle woh yahan raha karti thi as paying guest... Meri beti Radha uski dost thi naa iss liye usse yahan rehne diya tha... Par tum longon ko Yeh sab pata nahi?

Abhijeet: nahi aunty woh hum dono London gaye the naa 7 saal pehle... Khair fir kya huva?

Lady: fir kya? 6 saal pehle ussne court mei shaddi ki thi meri beti Radha ne bhi gawai di thi naa...

Daya: oh haan usne bataya tha naa hume Radha ke baare mei yahin koi 7 saal pehle.. Radhaji nahi hai ghar par shayad unhe pata ho Kamal kahan hai!

Lady: Radha ki shaddi ho gayi 3 saal pehle ab woh America me rehti hai...

Abhijeet: Aur aunty aap ko nahi pata Kamal abhi kahan hai?

Lady: nahi beta... Maine kabhi pata karne ki koshish nahi ki aur uss ne kabhi batane ki koshish nahi ki...

Daya: Anways thank you aunty...

Duo leave the place... Now there was only one chance Rahul... they reached Rahul's residence his mom open the door...

Abhijeet: Namaste aunty main Abhijeet aur ye Daya... Hum log London se aaye hain Rahul ke poorane dost hai... Rahul hai ghar par?

Rahul's mom: beta woh toh office gaya hai...

Daya: Aunty please uske office ka patta dijiye naa... Aur usko batayega nahi hum usse surprize dena chahate hai...

Rahul's Mom: theek hai nahi bataungi... Ye lo (hands over his visiting card to the duo)

Abhijeet: Thank you aunty...

Scene 10

Duo reach at the office premisis of Rahul... Daya dashes a woman his file falls down... They together gather the papers in the file and she hands the over to Daya... Duo reach at reception.

Abhijeet: hello maam hume Rahul se milna hai... Hum uske cousins hai...

Receptionist: Aap log wahan waiting room me baithiyee... Main Rahul ko bejti hoon...

Duo are waiting when Rahul arrives

Rahul: ji kaun?

Abhijeet: arree Rahul baitho yaar batate hain hum kaun hai...

All the three settle down...

Daya: Rahul hum log Mumbai CID se hai... Tum Sanjeev aur Kamal ko kaise jaante ho?

Rahul: ji sir?

Abhijeet: ab yeh mat kehna tum unhe nahi jaante unki shaadi mei tum gawah the?

Rahul: ji sir woh Kamal meri dost hai kuch saal pehle woh yahi kaam kiya karti thi... Unhone bhaag ke shaadi ki thi... Iss liye hum unki Shaddi mei gawah the... Shaddi ke 1-2 saal baad woh dono Mussoorie shift ho gaye kyunki Sanjeev ne wahan business set kar liya tha

Abhijeet: Agar yeh baat jhooth nikli naa... Toh Kanoon ko gumraah karne ke liye hum pehle tumhe giraftaar karenge aur fir baat karenge... Abhi tumhare cousins hai yeh keh kar humne tumhe beizzat hone se bachaya hai iss liye soch lo agar kuch jhoot bol rahe ho toh abhi issi waqt sach bata do...

Rahul: nahi sir main jhoot kyun bolunga.. Jahan tak mujhe pata hai woh log wahin hona chahiye...

Scene 11

Duo are driving on their way to Pune station... Abhijeet calls up ACP sir and tells him about everything that has happened... He tells ACP that they are returing back to Mumbai and hangs up the call... He looks at Daya who still thinking something...

Abhijeet: kya huva kuch gadbad lag raha hai kya?

Daya: haan yaar, yeh Rahul issne poocha tak nahi ki baat kya hai aur sab aise rat diya jaise school ka homework ho...

Abhijeet: (smiling) toh chalo wapis pochte hai usse tumhari teacher kaun hai?

Daya: (smiling) haan toh chalo (takes a u turn) oh no

Abhijeet: kya huva?

Daya: (in tensed tone) Abhijeet breaks nahi lag rahe yaar...

Abhijeet: kya? Gaadi ki speed kam karo aur gaadi left mei hi rakho...

Suddenly some school students are crossing the road when signal is red... To save them Daya takes a wrong turn losses the balance and dashes the vehicle against the tree.

Scene 12

ACP and his team has arrived in the Pune... ACP is in the hospital he speaks to the doctor...

ACP: kaise hai dono?

Doctor: dekhiye ghabrane ki zarurat nahi hai par haan thoda careful rehne ki zarurat hai... Abhijeet ka shoulder dislocate huva hai aur Daya ka baya haath fracture huva hai... Dono ke sir aur ghutno par bhi chote lagi hai... Aap Log unhe ghar le jaa sakte hai par main fir keh raha hoon you need to be careful...

ACP: we will be doctor...

ACP enter the ward where duo are lying on the bed...

ACP: kya haal hai mere ghayal sheroo?

Abhijeet: (smiling) jhapatne ko tayyar hai sir...

Daya: mujhe poora yakin hai sir yeh uss Rahul ne hi karvaya hoga

Sachin, Shreya and Poorvi enter...

Sachin: nahi sir ye kisi aur ne kiya hai...

Abhijeet: kisne?

Shreya: Kamal ne?

Trio: (shocked) What?

Poorvi: haan sir Kamal wahi Aaron Automobiles me kaam karti thi woh khud ek Automobile engineer hai... Watchman ke anusaar sir aap logon ke upar jaane ke baad wohi aap ke gaadi ke pass gayi thi...

Abhijeet: par usse pata kaise chala? Ki hum poochtaach karne aaye hai...

Poorvi: Sir woh pichle 7 saal se wahan kaam kar rahi thi aur usne 2 mahine pehle hi naukri chodi thi aur apne dues lene aayi thi... Humne Poona police ki maddad se naka bandi karva di hai... Kamal ko hum zaroor pakad lenge...

Trio: (smiling appreciatively) great job

Scene 13

Freddy: ( disconnecting the call) Sir Kamal Sanjeev aur Aashish ka pata chal gaya hai... Unko Police ne Pune Airport pe pakad liya hai...

Duo: (together) toh chalo...

The team reach police station... Kamal and Sanjeev are kept in the lock up while the Aashish is kept with lady police constables...

In the jail

ACP: toh Sanjeev aur Kamal... Kyun kiya tumne yeh sab?

Sanjeev: Main ek business conference ke liye 7 saal pehle Poona aaya Kamal se mila, pyaar huva aur fir shaddi... Magar Kamal anath hai iss liye mere mata pita ne usse accept nahi kiya...

Kamal: fir Sanjeev ne kaha ki baccha hone ke baad sub theek ho jayega par meri kismat mujhe koi baccha huva hi nahi... Doctors ne kaha mai kabhi maa nahi ban sakti... (Sobs)

Sanjeev: iss liye bahut soch vichar kar ke humne yeh plan banaya ek local marriage bureau mei apna naam register kiya... Fir 1 saal baad ek ladki mili jo humare plan ke hisab se ekdum perfect thi...

Daya: Kumud?

Sanjeev: haan Kumud... Bholi thi gareeb pita ki akeli beti...

Abhijeet: Iss liye tumne socha usse isstemaal kar le...

Sanjeev: par sir maine usse kabhi koi taklif nahi di...

Daya: taklif nahi di? Tumhe pata hai Iss waqt Kumud ki kya halat hai?

Sanjeev: (looks down) woh bahut bholi thi... Main jo kahu mann leti thi... Iss liye uska dil dhukhana nahi chahata tha bas tabhi main usse bina kuch kahe aa gaya...

Freddy: Nainital kyun le gaye usse?

Sanjeev: kyunki wahan naa toh koi mujhe jaanta hai naa usse...

Shreya: wahan se lautne ke baad kya kiya?

Sanjeev: wahan se Aashish ko lekar main Poona mei aaya... Baba States gaye the woh kal laute hai iss liye main aur Kamal aaj hi Gwalior ke liye nikal ne wale the... par...

Poorvi: tumne Kumud ka naam kyun badla?

Sanjeev: hospital me maa ka naam bhi likhana padta hai... Main chahata tha mere bacche ki maa ke taur par Kamal ka hi naam ho... Isss se future complications nahi hongi...

ACP: waha re waha kya planning ki thi... Kamal tumne Abhijeet aur Daya ki gaadi ke breaks kyun fail kiye?

Kamal: meri dost ne bataya ki aap ke officers ke pass meri aur Sanjeev ki details thi woh aap logon se office premises me takrayi thii... Fir pata chala aap log Rahul se milne aaye hai... Mai samaj gayi aap log police wale hai... Main Aashish ko apne se door nahi karna chahati thi...

ACP: use khona nahi chahati thi jo tumhara hai hi nahi... Jo tumne kiya uss mei humare officers ki jaan bhi jaa sakti thi... Ab tumhe sazza Aadalat hi degi...

Scene 14

Duo with Purvi and Aashish enter Kumud's house... Kumud is sitting in the hall itself

Dadda: Daya... Yeh... Aashish...

Kumud comes running towards the duo takes baby from Purvi's hands hugs the baby and cries saying "Aashish"

After 2 days

Daya's house

Duo are relaxing over a cup of coffee bell rings and its Kumud

Daya: Kumud tum? Aao andar aao

She gets in with Daya

Kumud: Thank you Dada... Thank you Abhijeet ji... Aur aapki team ko bhi bahut bada thank you Aap logon ne mere liye jo kuch bhi kiya hai... Main uska karz kabhi nahi chuka sakti...

Daya: aye chutki, Dada kehti hai aur thank you bhi kehti hai pagal... Humane sirf Apni duty nibhayi hai...

Kumud: (shyly) par aapne aur khaskar Abhijeet ji ne bhi Aashsish ko dhundne mei Apni jaan tak laga di...

Abhijeet: Kumud jo Daya ki behen woh meri behen... Aur humne kuch special nahi kiya... Khair ab tumhe court case ke liye strong banana hoga...

Kumud: bilkul aur aap log hain naa mere saath...

Duo laugh and nod...

..optimist.. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Have started reading it... will post the review after I complete 😊
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: neha_dna

Have started reading it... will post the review after I complete 😊



Sure Neha Dear...

BDW I got a query from GD that some similar track is going in Sony serial "Main naa Bhoolungi"... So I Googled plays name its Kusum Manohar Lele... It stars Sanjay Mone, Sukanya Kulkarni and Girish Oaak...
Edited by Sonali. - 11 years ago
visrom thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Sonali...will read later. I am midway thru my story and don't wish to lose my train of thought now. 😆
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: visrom

Sonali...will read later. I am midway thru my story and don't wish to lose my train of thought now. 😆


I am eagerly awaiting for your story dear... So I don't mind waiting for you FB on this one... Take your time and reply when time permits...

sheroo9000 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Will read it afterwards😊
Dont have any time now
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: sheroo9000

Will read it afterwards😊

Dont have any time now


Take your time Sheroo bhai...
swagatamghosh94 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Very nice Sonali di.👏
gadhadada thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

SONALI, Really Fast paced Story...👏👏
Obviously the Drama right now airing from SONY, helped Me alot to Connect as Some Information are completely New as NAME CHANGE in MAHARASTERIAN and Some others for Me...😳👏👏
Yaar, Honestly the SONALI Shade was Missing because in this I missed alot ASHA and SUDHAKER...😉😉
I really enjoyed them in UR Stories and Now its feeling that they are Part of Ur Stories...😳😳
I Love the Casuality, the Line of ABHIJEET Sir on Silence of DAYA Sir kay "main tumhein aik do saal say nahi jaanta yaar"... aww I cant tell U... How much I love it...🤗😳
I found such Regularity, Casuality and Reality Life, Routine in URS, VIS DII and an Old Writer POOJA Stories...🤗😳
I m so Happy to Feel that Crux in Ur Stories Yaar...👏👏
All and All, Really Good Effort, Like DAYA Sir Frnds Character belonged to Mamta Foundation...😉
the Pinch of AMAR and RAGHUVINDER Sir...👏👏
Team Work and all...👏👏
Thank you so much Yaar and Sorry if U and Ur Frnds and fans Hurt with My FB...😳😳
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Thanks bro...

Related Topics

CID Thumbnail
CID

Posted by: ADreamyDeepz28

13 years ago

The Crazy Dreamer List on Page 1 * New update on page 83 *

H E L L O E V R Y 1 TO MY PAGE [FLASH WIDTH=5 HEIGHT=5]http://fsh.99ss9.com/albums/HI/LvsR02.swf[/FLASH]

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Minionite

29 days ago

CID New Timings Starting 19th July

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE
Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Prashant025

2 months ago

Starting A new topic series: rate the episode

Rate the episode 47 out of 10. I'm rating it 10/10. (It might be a better idea if it was done by OG members of IF. They can create poll, I...

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: appisuri

2 months ago

New promo out guys

https://www.instagram.com/reel/DJ36-WKvXM2/?igsh=NmNlOHRzbGxnNHVs Acp sir is back most probably

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Minionite

2 months ago

New Promo - ACP Pradyuman's Return (More like a clickbait promo)

So I warned you in the title itself because this promo basically shows Daya feeling like ACP Pradyuman is alive and then ACP sir's feet and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".