Shravani dreams of her Suhaag Raat with Manav
It is a lazy afternoon and Shravani is having a nap. She starts dreaming of marriage, followed by the Pavitra delivery and then the much awaited Suhaag Raat. Her dream will be something like this.
A beautifully arranged bed and manav is sitting there waiting for shravani. Finally Shravani comes.
Shravani- hello darling..hello sweetu ( aake Manav ke gaalon ko chhedti hai)
Manav- thoda dheeraj to rakho..tumhara bachha so gaya?
Shravani- don't worry jaanu..wo ek pavitra bachha hai…koi tension nahin deta aram se so jata hai..btw tumne kya kaha..tumhara bachha?? Tumhara bhi hai wo ..samjhe? khabardaar jo kabhi bachhe ko apna naam dene se pichhe hate to. Jeena muskil kar dungi tumhara.
Manav- haan thik hai chalo man lete hai
Sharavni- man ke koi ehsaan nahin kar rahe ho tum. Yeh bachha utna hi tumhara hai jitna ki prakash ka.
Manav- Prakash ka?
Shravani- I mean Sachin ka. Ab naam pe jyada dhyan mat do. chalo yeh doodh ka glass khatam karo
Manav- ( doodh ka glass muh ke paas leta hai to ek smell aati hai) is mein tumne kuch milaya hai kya? Ajeeb si smell hai
Shravani- jo cheez milani thi maine mila di hai..tum bas Dakar Dakar pi jao isse..koi sawal jawab nahin
Manav- ( pine ki koshish karta hai par pi nahin pata aur oolti kar deta hai..sara doodh zameen pe gir jata hai)
Shravani- (chillati hai) yeh kya kar diya tum ne? pure hazar rupaye deke maine who dawai kharidi thi.
Manav- ( sorry face leke khada rehta hai)
Shravani- yeh rotlu shakal kyon bana rahe ho. ab isse saaf kaun karega…tumhari maa
Manav- nahin insaniyat ke naate main saaf kar deta hun
Shravani- tum khali peeli time waste na karo..yeh bolo kuch pata hai ya nahi
Manav- nahin woh..woh
Shravani- kya wo wo laga rakha hai…
Manav- thoda thoda to pata hai
Shravani- to abhi tak mera muh kyun dekh rahe ho? kuch karoge ya nahin
Manav- karta hun na..itni utawali mat ho
Shravani- oh no…tumhara bhai kam se kam tum se to achha tha..night school ke class room ke andar usne kaafi achha perform kiya tha…hala ki Raj aur Rahul to usse jyada dare devil the…
Manav- Raj aur rahul?
Shravani- fir naam ke pichhe pade tum. Aakhir naam mein kya rakha hai? ( aake manav ko gale lagati hai)
Manav- ( manav ko gudgudi hoti hai kyun ki Shravani ka sar uske pet mein touch hota hai..due to the height difference) ha ha ha (LOL)
Sharavni- yeh koi hasne ka waqt hai?
Manav- nahin main gaane ka intezar kar raha tha..jab jab maine Archana ko gale lagaya tab kaafi achhe gaane baje
Shravani- phir us manhoos aurat ka naam liya tumne? Abhi Ekta ko phone lagati hun..wo gaana baja degi
(achanak "pyasi chudail" naam ki C grade horror film ki dhoon bajne lagti hai. Aur Shravani Manav ko dheere dheere dabochna shuru karti hai)
Manav- Archana mujhe bachao…
Shravani- aye sara maja kharab kar diya ..yeh Archana ko yaad kiye bina tum ek pal nahin reh sakte
Manav- ( rone lagta hai) Archana tum kahan ho..mujhe le jao yahan se
Shravani- kya problem hai tum ko..lagta hai mujhe thodi peeni padegi (bag ke andar se whisky nikalti hai)
Manav- aai la..sharaab piogi
Sharavni- haan..tumhare akal thikane mein lane keliye yeh bahut zaroori hai ( pine lagti hai)
( Bachha rone lagta hai paas wale kamre se. savita ki awaz aati hai..Shravani beta bachhe ko bhook lagi hai..jaldi aaja)
Shravani- ohh yeh budhiya bhi na….bachhe ka khayal nahin rakh sakti…Manav tum kuch karoge ya nahin
Manav- kya?
Shravani- tum wo ho kya?
Manav- matlab
Sharavani Manav ko fir se gale lagati hai aur fir se dabochna chalu karti hai..fir savita ki awaz aati hai…
Savita- beta kitna soyegi dopahar ko..ab uth ja
Sharavni –( neend khul jati hai sapna toot jata hai) ohhh thik samay pe jaga diya..