Shivi TS : Fattu ( Last Part updated!!) - Page 9

Created

Last reply

Replies

144

Views

20.3k

Users

30

Likes

254

Frequent Posters

Dandellion_22 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago
#81

Originally posted by: kayinat

Loved it but wanted shiva to take initiative, well for a change this is also seems good...update soon


Thank you so much dearsmiley27smiley31

I'm so glad you loved this, Yeah everyone wants Shiva to take initiative. Don't worry you won't be disappointed by his POV in next part👍🏼

Updating in few mins😉

Dandellion_22 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago
#82

Originally posted by: maanmeet1

i love her friend

and what a show........madam ne to band baja di sabki and baki ki kasar shivji ne puri kar di

m excited for the TALK😉


Thank you so much dearsmiley27smiley31

Yes, Dono band bajane me mahir hain, fir chahe woh ek dusre ki ho ya fir dusre logon ki🤣

Dandellion_22 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago
#83

Last Part


Shiva opened the storeroom and slightly pushed her inside and turned towards her, not before locking the door properly.

He knew they had to talk out the matter that had happened just a few minutes back, as there were claims that Raavi had made that were getting hard to digest.

"Ye sab kya tha Raavi? Unn ladkiyon ko aur apne doston ko tune woh sab kyun kaha? Jabki tu jaanti hai ki woh log sach bol rahe the. Aur yeh sab bol ke ab koi fayda nahi hai. Hum waise bhi apne apne raste jaane wale hain. Mujhe bass kuch din de. Mein tujhe Divorce ke papers bhej dunga aur phir tujhe kisi ke saamne yeh sab bolna nahi padega."


The softness with which he talked was surprising. The moment she was being dragged inside the store, she had expected him to lash out at her for all the 'nonsense' she had talked. For him to calmly talk his heart out was a first, and he had not expected for her to take a stand for him, but what he didn't know or he wasn't aware of, she had always bite back at their trollers with double vigor, just not in front of him.

All his life, he had been told that he was not 'worthy' of certain things, and 'love' being the most important thing that he was told that he was not capable of having or receiving in this life. She had to make sure he realized that, she, of all people, was not the same, and instead she was on his side and was ready to fight all the world, just to make them realize what a gem of a person he is.


"Maine woh sab isilye kaha kyunki mujhe woh zaroori laga. Maine woh sab kisi ke dabaav mein nahi bola Shiva, apne dil ki baat boli hai. Aur yeh rishta humara hai, to kisi teesre insaan ka koi haqq nahi banta humare beech mein bolne ka. Fir chahe woh humare ghar wale ho, bahar wale ho yaa fir mere dost. Are aise doston ke hone se accha hai mere koi dost hi na ho. Unhe batana zaroori tha ki agar woh teri insult karenge, toh woh indirectly hi sahi, meri bhi insult karenge. Shiva shaadi hui hai hamari to iss rishte mein jitna maan tujhe mera rakhna chahiye, utna hi maan mujhe bhi tera rakhna chahiye. Tu mera maan rakhna chahta hai ya nahi ye mein nahi jaanti, lekin jo galti maine tera maan na rakhne mein ki hai, main bass use sudharne ke koshish kar rahi hun. Aur yeh sab hua kyunki maine hone diya, roka nahi unn logon ko. Unn logon ko ye batana zaroori thi ki unhone tera apmaan karke apni saari hadein paar kar di thi aur unko unhi ke shabdon mein jawaab dena zaroori tha. Shiva mein nahi jaanti tune kya soch ke mujhe aise logon ke saath jaane ke liye bola tha. Tune bola tha ki woh log gentleman hain aur mujhe unke saath jaana chahiye. Par kya tune kabhi yeh nahi pucha ki unme aur Dev mein kya difference tha. Tu jaanta hai? Mein Dev ko kyun pasand karti thi? Kyunki usne apne chehre pe mukhauta lagaya hua tha, aur woh sirf apne pariwaar ki khushi ke liye apne pyaar ki kurbaani ke liye taiyaar ho gaya tha. Mujhe uske bahari roop se pyaar tha, lekin uske andar ke insaan ko usne bahaar nahi aane diya, isiliye jab usne Rishita se shaadi ki to mera dil toot gaya. Shiva, mujhe ek aisa insaan apna life-partner chahiye tha jo andar aur bahar dono se khubsurat ho. Jo ki tu hai. Mujhe humesha se lagta tha ki tu aur Dev kitne different ho, Dev kitna accha, seedha aur shaant hai aur tu kitna rude, arrogant aur chid-chid karne wala hai. Mujhe sirf yeh comparison hi dikhai diya zindagi bhar. Lekin andar se tum dono kaise ho ab sirf main jaanti hun, yaa fir Dhara Dii..."


"Par tu jaanti hai, tere liye Dev jaisa ladka hi sahi tha, Mere jaise jungli janwar nahi." Shiva cut her in between as he turned his back towards her, not able to hold her gaze which was forcing him to think about his decisions. He was trying too hard to control his tears all the while sticking to his resolve.


Raavi knew he was hurting, and she had to make him see things from her POV, so she walked closer to him and clutched his forearm, and made him face her, "Dev chahe andar se kaise bhi ho, lekin usne apne dil ki baat apne mann mein rakhne ki galti ki, aur uska result tu jaanta hi hai. Use laga ki woh pariwaar ki bhalai ke liye apne khushiyon ka gala ghont dega, aur sab khush rahenge. Lekin fir usne khud ki khushiyon ke baare mein socha aur Rishita se shaadi karne ka decision liya, to bhale hi pehle sabko takleef hui, par fir sab use accept kar ke aage badh gaye. Aur ab mein pure daave se keh sakti hun ki accha hi hua ki meri shaadi Dev se nahi hui. Agar hui hoti to Dev se shaadi karke mein zindagi bhar pachtati. Lekin Bholenath ne mera bhala chaha aur meri shaadi tujhse karwayi, jo sahi maiyno mein mera jeevan saathi banne ke layak tha. Main nahi jaanti ki mere layak kaun hai kaun nahi. Mein sirf ek baat jaanti hun Shiva. Mein sirf tujhe apni zindagi mein chahti hun. Mujhe tu pasand aane laga hai. Aur mein iss shaadi ko ek mauka sirf issi chahat ki wajah se dena chahti hun, Kisi compromise ki wajah se nahi. Maine tujhe baar baar yeh feel karwaya hai ki mein shaadi ko ek mauka dena chahti hun to tune assume kar liya ki main tujhpe rehem kar rahi hun.


He looked up at her, accusingly as more tears dribbled down his eyes. She wiped them slowly but he turned his head away, and her hand was left in the air, where his face was moments ago.

She knew this was bound to happen, but she had to do it, no matter what.


"Lekin Nahi Shiva, mein iss rishte ko compromise ki wajah se nahi nibhana chahti. Pehle mujhe laga tha ki mujhe tere saath compromise karna padega, lekin jaise jaise humne saath mein waqt bitaya, meri thinking tere liye change hoti gayi. Jab maine tujhe apne nazriye se hatke dekha to tu mujhe bahut hi alag Insaan laga. Teri har ek baat mujhe acchi lagne lagi, aur teri har ek baat pe mujhe garv hone laga. Maine humesha se tujhe yeh mehsoos karaya hai ki tu mere liye kitna galat hai, ki meri aur teri shaadi honi hi nahi chahiye thi. Par tune mera haath tab thama jab aise insaan ne mera haath thamne se mana kar diya jisse mein pyaar karti thi. Bhale hi Dhara Dii ki wajah se tune mera haath thama, lekin thaama to na. Aur 4 mahine bhi nahi hue humari shaadi ko aur baat divorce tak aa gayi? Kya hum itne bure hain ek dusre ke liye ki itni jaldi faisla le liya jaaye? Nahi, mein nahi maanti. Tune mere character pe sawaal uthaya tha, par maine bhi tera maan rakhne mein chukk gayi. Kya hum ek dusre se maafi maang ke iss rishte ko ek aur mauka nahi de sakte?", hope glistened in her eyes as her unshed tears finally found their way past her cheeks.


A lone tear betrayed Shiva as it dribbled down his cheek. "Nahi Raavi, tu nahi jaanti tu kya bol rahi hai. Chahat ko hawa hone mein der nahi lagti. Tune dekha hai mera gussa kitna kharab hai, mein tujhe woh khushiyan nahi de paunga jo tu deserve karti hai. Aur tere dost ne teri bhalai ke liye hi tujhe woh sab kaha tha. Mein toh padha likha bhi nahi hun. Gawar hun gawar. Mere saath tera kya bhavishya hai? Tu abhi chahat ke chakkar mein aake iss rishte ko mauka de bhi de, lekin jab tu apne doston ko tujhse behtar zindagi jite hue dekhegi to tujhe apni halat pe pachtava zaroor hoga. Pyaar aur acceptance ek taraf hai, teri ummeidon ka kya? Kya tune kabhi yeh socha hai ki agar teri Shaadi mujhse hone ke bajaye kisi Rahul jaise ladke se hoti to shayad teri life behtar hoti? Tujhe tere jaisa padha likha aur Job karne wala Pati milta, aur tu khush rehti. Par yaahan mujhse shaadi karke tujhe House-wife banna pada, tune kya issi din ke liye graduation kiya tha? Ki tu shaadi karke ghar mein padi rahe? Please meri baat maan. Mein jo bhi kar raha hun, Tere aur mere future ke liye kar raha hun. Jo saath mein nahi ho sakta. Mujhse divorce lene ke baad bhi tu itni khubsurat aur kaabil hai ki tujhse koi bhi shaadi karne ke liye taiyaar ho jayega. Aur fir tu apne career ke baare mein bhi soch sakti hai. Aur rahi meri baat, mujhe to Pandya Store ko aage badhte dekhna hai, uski bahut saari branches kholni hai. Mein shaadi karun ya na karun, par tu khush rahegi na, to mein samjhunga ki maine ek bahut badi galti ko, kisi ki zindagi ko kharab hone se bacha liya."


Raavi stood there, shocked at his words. For once, he was being patient with her, his anger had withered away as he was trying to make her understand. But she was not ready for whatever premonition he was referring to. "Rahul jaise ladke se shaadi karke to mein shaadi shuda hoke bhi widhva ki zindagi jeeti Shiva. Tu jaanta bhi hai ki woh kis type ka ladka hai? Unn jaise ladko ko commitment se darr lagta hai. Woh kisi ek ladki se bandhna nahi chahte. Unhe har roz ek nayi ladki chahiye hoti hai, muh marne ke liye. Maine dekha hai uska rawaiyaa college mein. Kya tu sach mein chahta hai ki mein aise kisi se shaadi kar lun jo bahar se kitna bhi shareef kyun na ho, agar andar se shaitaan nikla to? Meri zindagi tab barbaad ho jayegi Shiva. Tere saath itna waqt guzarne ke baad mujhe pata chala hai ki tu mitti ka dher nahi, khara sona hai, khara sona. Aur khara sona kabhi thukraya nahi jata. Usko sambhal ke apne paas rakhna hota hai aur uski puja karni hota hai. Jo ki mere pass hai, bass mein use sambhal ke apne pass rakhne ki koshish kar rahi hun. Jab woh mere pass aa jayega to mein zindagi bhar tak uski puja karungi, taaki woh mere pass humesha rahe, aur mein use gawa na dun."


This time it was Shiva who stood shocked at the absurd words she talked about people like Rahul, but his jaw clenched as he looked away. "Sab ladke waise nahi hote Raavi, kuch acche ladke bhi hote hain. Tu chinta mat kar, ek baar tune dhokha khaa liya, lekin mujhe bharosa hai ki Bholenath ek accha ladka teri kismat mein zaroor likhenge."


She sighed as she looked down. He was hell-bent on defying her words, trying to make her see the bigger and better picture, which she was not interested in seeing. So She gently reached out to cup his cheeks but stopped as he glances into her eyes with uncertainty. She was scared that he would jerk her hands away, but she reached out and cupped his cheeks anyway, and slightly pulled his face closer to hers. "Bholenath ne already meri kismat mein ek bahut accha ladka bhej diya hai. Chahat ke hawa hone ka darr mein nahi jaanti, par Kya mein itni buri hun Shiva ki tu mere liya koshish bhi nahi karna chahta? Kya tujhe mujhse 1% bhi chahat nahi feel ho rahi? Kya tu mujhse itni nafrat karta hai woh diary padhne ke baad ki tu bhul gaya hai ki humne bahut saare acche pal share kiye hain?" She rested one of her hand against his chest, just above his heart."Kya yeh dil nahi chahta ki use pyaar mile? Kya iss dil ko pyaar ki zaroorat nahi hai? Kya iss dil ko takleef hogi agar mein tujhse durr gayi to? Kya iss dil se mein pyaar nahi kar sakti?"


They didn't know how, but they had reduced the gap between them and were now almost hugging each other, their chests touching. Raavi was glancing at him with all the unknown love she had started feeling for him, one hand on his cheek and the other on his heart. Shiva's breathes had quickened as he felt their faces were inches apart. Any moment, he might just close the gap between their lips, his attraction on its peak. He was yet to understand his love for her.


"Dev ne jo bachpana kiya tha, dusron ki khusiyon ke baare mein pehle sochke apni khushiyon ka gala ghotna, wahi tu bhi kar raha hai Shiva. Tu abhi sirf meri khushiyon ke baare mein soch raha hai, apni nahi. Kya tujhe humari compatibility nahi dikhti? Hume ek dusri ki aadat lag gayi hai, aur yeh aadat asaani se jaane walon mein se nahi hai. Hume ek dusre ka saath accha lagta hai, ek dusre ko bachane se kabhi nahi chookte. Humesha ek dusre ke baare mein sochte rehte hain, jab dusra aankhon ke saamne nahi hota to hum dukhi ho jaate hain, aur yeh iss ummed mein rehte hain ki kab humein unka chehra dekhne mila." She caressed his cheeks lovingly. "Iss chehre ne meri raaton ki neend uda di hai. Jab tak iss chehre ko na dekh lun, chain ki neend nahi aati. Pichle ek mahine se mein dhange se soyi nahi hun. Mere bistar pe dusre side koi nahi hai, yeh soch ke rona aata hai. Yeh sirf chahat nahi hai. Ho hi nahi sakti Shiva. Jab mein sochti hun ki agar tu meri zindagi mein mera life-partner banke nahi aata, to jo mein tere liye feel karti hun, mujhe nahi lagta mein kisi ke liye feel bhi kar paati. Dev jaise log mujhe deserve karte hain, lekin mein tujhe deserve karti hun. Aur tu chahe kitna bhi bol le, ye sacchai koi nahi badal sakta. Tu bhi nahi."


She reached out for his hand that was fisted against his side and placed it against her chest, directly over her heart." Mere dil ki dhadkan ko mehsoos kar Shiva. Kaise tere chune se meri dhadkane tez ho gayi? Ye sirf tere aas paas rehne se, tere chune se hota hai. Jab bhi mein tere paas rehti hun, mere dil ki dhadkanein aise hi tez ho jaata hai. Kya yeh bhi jhoot hai? Kya tu ab bhi nahi samjhna chahta ki hum ek dusre ke liye perfect hain? Future ka mujhe nahi pata, par mujhe apna aaj sirf tere saath bitana hai. Abhi iss waqt yeh feeling, tera touch bahut accha lag raha hai. Mera dil teri ek jhalak dekhke pagal ho jata hai. Aur maine kabhi aisa Dev ke liye mehsoos nahi kiya, nahi kisi Rahul jaise ladke ke liye kiya. Yeh feelings sirf tere liye exclusive hain." Her eyes widened as she realized something. "Agar ise hi pyaar kehte hain, to mujhe yeh manne mein koi pareshaani nahi hai ki mujhe tujhse pyaar ho gaya hai. Mujhe apne pati se pyaar ho gaya hai", her eyes twinkled brightly.


Shiva who was focusing to feel her heartbeats looked up at her confession, his eyes widening in surprise as his heart leaped in an unknown joy. She trembled in excitement and nervousness at the newest revelation that her heart had made to her, and what she had made to Shiva. She had expected to profess his feelings to her, just like his eyes reflected, but he withdrew away from her and clutched his hair angrily.


"Nahi Raavi, yeh pyaar nahi hai. Just ek do din ka attraction hai. Tu nahi jaanti pyaar ke baare mein. Mein bhi nahi jaanta. Par itna jaanta hun ku tujhe itni jaldi mujhse pyaar nahi ho sakta. Possible hi nahi hai." He muttered angrily as he shook his head in exasperation.

Now Raavi was getting angry at his stubbornness, she clutched his shirt and jerked him forward. "Mere dil mein kya chal raha hai yeh tujhe abhi bataya maine, phir bhi tujhe lagta hai ki jo humare beech mein hai woh sahi nahi hai balki galat hai? Aur yeh kahan likha hai ki apne pati se pyaar karna galat hai? Aur yeh itni jaldi kya hota hai Shiva? Pyaar koi time limit pe depend nahi karta, Pyaar hone ke liye ek lamha bhi kaafi hota hai. Use realize karne mein zaroor der lag jaati hai, par itni jaldi pyaar nahi ho sakta yeh bolna bahut galat hai. Mujhe tujhse pyaar ho gaya hai, aur iss baat ko koi nahi badal sakta. Tu bhi nahi."


Shiva looked defeated. Surely he had also realized that his heartbeat also quickened every time Raavi came in his vicinity or they were touching skin to skin. The bathroom incident was the key to his attraction, and he had slowly termed the lust as an attraction. But whatever Raavi mentioned about them being compatible, he knew that his feelings were not mere attraction. But his mind kept reminding of other people's words.


"Kuch bhi bol le, lekin tu aur mein iss rishte mein nahi reh sakte. Maanta hun ki tera chuna mujhe affect karta hai, par sirf iss wajah se hum ek saath zindagi nahi bita sakte. Tu mere feelings ki hadd nahi jaanti, aur tujhe jaana bhi nahi chahiye. Janwar hun mein. Tujhe pyaar nahi, balki takleef hi takleef dunga, aur woh tu seh nahi payegi."


"Aazma ke dekhle, itna hi darr raha hai to...", she trailed as she stared at him with determination.

"Pagal ho gayi hai kya? Nahi, koi aazmane wazmane ki zaroorat nahi hai." He tried to distance himself away from her, his attraction was blazing in his veins.

"Huh", she chuckled sarcastically, trying hard to provoke him. "Tu sach mein Fattu hai Shiva, Tujhe sirf daave karne aate hain. Uspe to kabhi react nahi kar sakta. Aur aazma bhi lega to kya hi ho jayega? Abhi to mein teri biwi hun hi. Divorce ko to abhi time hai na? Par nahi, Tu ek loser hai jisse sirf bahane banate aate hain. Dil bhale hi sone ka ho, lekin harkatein peetal ki hain. Bina sacchai ki... "

Shiva's jaw clenched at all the words. She was trying to test his patience, and he was trying too hard to hold the strings of his patience.

"Kabhi to apne naam pe khara utarna seekh. Naam Shiva, par harkatein, ekdum Fattu jaisi...kaash..", She was going overboard now, But he had had enough.

So he clutched her forearm and pulled her flush against his chest. Her lips that were tempting him to get a taste of their sweetness finally won as he latched his lips over hers and angrily started sucking them. Raavi stood there calmly, trying to let him pour all the anger in their kiss, so as for him to realize what he was doing.

The moment he realized what he was doing, he pushed her back and wiped the blood off his lips. There was blood on Raavi's lips too, but she was least bothered.


"Dekha? Yeh hai mere andar ke janwar ki harkatein. Fattu nahi hun mein. Samjhi tu? Nahi hun mein Fattu, lekin janwar zaroor hun. Tu seh payegi yeh sab zindagi bhar? Seh payegi iss janwar ki bhook ko? Baat karti hai.." he panted as his eyes zerored on her lips as he turned his back to her.

"Haan seh lungi...", he turned to look at her to check as if she had gone crazy or what, but the next moment she was wrapping her arms around his neck and pasting her lips over his. She kissed his lips for 10 seconds straight. "Agar iss janwar ki bhook mitane ka zimma mujhe milega na, to mein taiyaar hun. Mujhe pata hai iss janwar ko pyaar karte bhi aata." She opened her mouth and enveloped his lips within hers in an open mouth kiss...

Shiva had unknowingly wrapped his arms behind her back too, and he was hypnotized by her kisses.

"Aur"

Kiss

"Tu"

Kiss

"Bhi jaan le"

Kiss

"ki mein tujhe"

Kiss

"har baar"

Kiss

"dominate nahi karne dungi", she glanced seriously into his eyes but he knew she was just messing with him. A small smile adorned his lips as she clutched his mane and pulled him down, so she could meet his lips yet again. "Aur mein iss janwar ko itna majboor karungi ki mujhe pyaar karne ke alawa uske paas koi dusra option hi nahi bachega." She kissed his forehead, then his nose, and resumed kissing his lips passionately.

Shiva had gotten the message loud and clear as he started kissing her back. Now there was no denying it. Now anymore He had fallen madly and deeply in love with her. And if she was being so persistent about their relationship, he could only hope that everything she said was true.

As they ran out of breath, they broke the kiss and joined their foreheads together. "Raavi pakka na..mein nahi chahta ki hum aage jaake humare iss decision ko regret karein.."


She smiled at her unsure husband's concern and placed a light kiss on his chin. "Shiva agar aane wale kal ke baare mine aaaj sochenge na, to na to aaj enjoy kar payenge, naahi aane wala kal. To abhi iss moment pe focus karte hain. Kal ki kal dekh lenge." She burried her head on his chest and breathed his scent that she had missed.

He inhaled her fresh aroma too, terribly missing her against him. "Aur ek baat, uss din ki badtameezi ke liye mein bahut sharminda hun .Please mujhe maaf kar de. Mein jaanta hun tu itni jaldi use bhula nahi sati, par I am sorry. Please meri uss bhul ko maaf kar de?", he begged with puppy eyes.


Shiva and puppy eyes? That was a cute yet rare combination which she had never imagined in her life.


"Tujhe yeh puppy eyes bhi banate aate hain? Kya baat hai! Not bad. Chalo theek hai. Maaf kiya, Par tu bhi meri ab tak ki naadaniyon ko maaf kar sakega?" she teased as she hugged him and looked at him expectantly.

He blushed at her teasing but smiled as she apologized for her mistakes too. "Tujhe maafi mangne ki zaroorat nahi hai Chipkali. Maine tujhe maaf kiya." He nuzzled her nose and kissed her forehead too, finding peace as he closed his eyes, trying to feel the love in their moment.

She pouted at the name that he had called her by, after so long. She felt happy at the endearment as she knew expecting a 'baby' from Shiva was too soon. His calling her 'Chipkali' was more like an endearment to her, hinting that he was returning back to normal.


They were yet to say the official 'I love you's to each other, but Raavi knew that time was coming soon. They resumed their make-out for half an hour or so, not knowing Rsihita and Krish were standing outside, waiting for them.

"Thank God, Jhagda finally mitt gaya." Rishita exclaimed as she walked outside the store, Krish following her.

"Aapko kaise pata? Humein to kuch sunayi bhi nahi diya...", Krish asked, confused.

"Are mere detective dewar. Tu abhi baccha hai. Aisi baatein tujhe samajh mein nahi aayengi..." she chuckled as she flicked his forehead and left the store, probably to tell the good news to everyone.

----

Later on, when Shiva opened the door, Krish quickly covered his eyes as he saw Raavi's disheveled state and knew Rishita was right.

Soon they were joined by GauRa, DevTa who had smiling and knowing faces. Dhara hugged them, too happy for them that they had resolved, while Gaumbi pinched Shiva's ear for bringing all the difficulties over them.

And then, Gaumbi, Dev and Krish forwarded their hands in front of Raavi. She looked at them questioningly.

"Humne suna hai tere pass Bhai nahi hai. Aur chaukane wali baat yeh hai ki humari bhi koi behen nahi hai. Aaj Raksha Bandhan hai, to socha ki hume behen mil jayegi, aur tujhe 3 bhai mil jayenge. Bol kya khayaal hai?", Gaumbi chuckled as Dhara brought the pooja ki thali in front of Raavi.

Raavi's eyes glistened and quickly tied all the 3 rakhis. When she was tying Raakhi to Dev, she stole some glances at Shiva who was smirking at her. She smirked too as she tied the raakhi to her 'ex-love' Dev without any hesitation. The thought would have appeared absurd to everyone, but not anymore.

"Rishita, tujhe kya alag se bolna padega?", Gaumbi teased her as he and Krish forwarded their hands in front of her.

"Mujhe laga koi bolega hi nahi." She mumbled as she clutched the pooja ki thali.

"Humein pata hai ki tumhara bhi koi bhai nahi hai." Dev clutched her shoulders as she tied raakhi to both of them.

Next she walked to Shiva who was standing away from them. "Mein tumse naraaz zaroor hun, lekin itna bhi nahi ki tumhe Raakhi nahi baandh sakti.Tumne jo bhi kiya apne aur Raavi ke rishte ke liye, wahi kaafi hai, and I'm proud of you. Tum apne rawaiye ko badalna chahte ho, mere liye ye hi kaafi hai. Aur waise bhi, Itna takatwar pati hai mera, bhai bhi mil jayega to koi mujhe chedne ke baare mein sochega bhi nahi." She mumbled moodily as she tied the raakhi to him, to which Shiva just chuckled as he

"Tumne Raavi ko sorry bola na?", she asked threateningly, just like an elder sister does and Shiva just nodded at the authority in her voice with a smile on his lips. She chuckled too as she turned towards Raavi to give her a hug.

To say Shiva was happy was an understatement. He was foolish to think that whatever he was doing was right, by walking away from Raavi, but he was so wrong. He just realized that had he ended their relation, he would not have got the chance to see this kind of moment.

He just thanked Somnath ji for sending Raavi in his life as his life partner. It's her efforts that kept them from walking away from each other. And now he will make sure that they stay tightly tied in their knot, and that only death will do them apart.

"Ye sab to theek hai, par Maa ko kaise manayenge?", Rishita questioned suddenly and the atmosphere suddenly shifted to a tense one.

That was going to be a task, everyone thought simultaneously...



The end.


How was it??

I know this was too long, but I hope you liked it🤗

Comments are always welcomed🤗

Dandellion_22 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago
#84

Originally posted by: MayaTharkiFairy

YAAAASSSS!!!!

UPDATE!

AND PLEASE FOR THE LOVE OF GOD UPDATE THE PART 7 OF HORMONES AND SEXUAL FRUSTRATIONS....I BEG YOU🥺😉❤🤣


Yes dear, I have updated please check🤣

And that update is due today too, will update soon😆

MayaTharkiFairy thumbnail
4th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 4 years ago
#85

Ooooo loved it loved it❤❤❤🌹🌹🌹🐒🦎

QUEEN RAAVI CLAIMING HIM🔥🔥✊✊

KAADU SHIVA....BUT FINALLY HE REALIZES....ALL IT TAKES IS A FEW WORDS AND KISS FROM RAAVI AND HE WILL MELT😉...HOPE THEY SHOW THIS IN SERIAL🤣

KRISH AND HIS INNOCENT EYES ARE TORTURED IN EVERY FANFIC😆🤣

LOVED THE RAKSHA BANDHAN CONCEPT ESPECIALLY RISHITA AND SHIVA EQUATION....

YAAASSS UPDATE THE PART 7 ALSO✊✊

kayinat thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 4 years ago
#86

Sweet and cute update 😊

maanmeet1 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 4 years ago
#87

was he sacred or bothered about his s.x.al desires? he thought he would be too aggressive for her?


boy this gal single handedly won the war.....she made him understand every scenario and possibility........changed his mind and perception........so impressed.....no looking back for either of dem.......

MeDHellsAngel thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 4 years ago
#88

Originally posted by: Dandellion_22


Thank you so much dearsmiley27smiley31

Haan re, I am so proud of myself for not deleting this, thanks to all of you for loving it🤗

Raavi should seriously do that for shiva in the show, like someone triggering is the key here. Uske bina Raavi ke andar aag nahi jagegi

Next update next kuch mins mein😉

I so agree with you. Ek do power packed performances or deni chahiye inko. And is bar raavi ka keher barasna chahiye not Shiva ka.


Ha bas padti hu. 🤗

MeeraWrites thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 3
Posted: 4 years ago
#89

I enjoyed reading this story. ❤️

It was great.

sosweetsumi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 4 years ago
#90

i love this tsory

haha this rishitha is great

haha

loved it

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".