Okay so Ive been upset at Dhara since she beat Krish and Shiva. It was incredibly disgusting and I think we have all went over it extensively in the forum. But I still wanted to address this. Here is my attempt. I know it is diaglogue heavy! It is mostly Suman ranting as I needed to take away my maan ki bhadas through her.
>Suman just learns everything that has happened. She learns of Dhara beating the sh*t out of Krish and Shiva.
“AAAE toh yeh khand tha tera Bhagodi ki Beti!”
“Mein to shuru se jaanti thi ki tu to yeh sab kar sakti thi, tere bache nah hue toh kya? Insaaniyat toh hai na? Ki woh bhi ud gaye teri ma ki tara?”
“Meine kaha ki dekh, yeh Dhara itne saal se mere bacho ko pyar se paal rahi hai. Toh sach mein bache nah hue toh kya! Ma nahi bani toh kya! Insaan toh thi nah! Ki janwar ban gayi tu!”
“Mere beto ko aise mara ki aaj bhi nishan hai. Dekh”, Suman grabbed Shivas arms and showed it to Dhara. Dhara winced away.
“Dekh meri taraf! Kya aaj tak tune mujhe marte dekha hai inko? Mein maa hu na? Kya koi maa dekh sakti hai yeh sab?”
“Aur tu Gautum? Tu chup chap dekhta raha? Kitna behrami se mar rahi thi mere bacho ko, teri bhaiyon ko, lekin tu ne ek shabd nahi bola apni biwi ke khilaf? Petticoat chaap toh mein tujhe aisi hi boolati hoon. Lekin tu toh sach mein ban gaya re!”
“Lekin Ma, Dhara ne-” Gautum.
“Chup!”
“Dhara ne yeh sab parivar ke liya kiya? Inko sikhana chahti thi ki Rishita ki izaat kare? Lekin tu bata Gautaum, tu meri izaat karta hai ki nahi? Bata!?”
Silence. Everyone stared as Sumans rage and Dharas guilt filled the room.
“Baata na!”, Suman said.
“Ha Ma mein teri izaat karta hu”, Gautum whispered.
“Dekh liya Dhara, yeh izaat karta hai meri. Lekin meine to kabhi nahi maara”
“Ek baat boloon?” Suman said raising her finger. “ Are mein kya tujhse pooch rahi hu. Lo bol hi deti ho. Izaat bade hone se nahi milti. Us tara rehna bhi padta hai ki koi tumse izaat kare. Rishita ne nahi thi us lyke. Shiva aur Krish to bache hai. Woh toh khel kar rahte te. Lekin tumne toh jaan nikal di inki.”
“Tu toh bohot samaj dar thi na? Tu aur Gaumbi?”
“Aur yeh bata, shyad ab yeh Rishita ki izaat kar bhi le. Lekin kya Raavi, apne pati ko izaat kar payegi? Tu ne to sab ke samne iske pati ko peet diya. Aur bhyan ke Krish ko koi pasand aa gaya. Aur tune bhi ek do laga diya biwi ke samne. Toh kya Krish ka suhaag dekh payega.”
“Wah re Dhara! Wah!”
“Jee karta hai ki mein tujhko bhi ek do de hi du. Lekin kya hai na. Mein teri tara pathar dil nahi hoon.”
“Abhi issi waqt, mera bada beta aure badi bahu maafi maange ge”
“Lekin ma, koi zarooat nahi hai. Hume dard bhi nahi hua” Shiva whispered.
“Acha toh yeh laal laal nishan le kar kyon ghum raha , kya kisi ne pappi di he tujhe ulti tara”.
“Dhara. Gaumbi. Maafi maang. Aur yeh kaho ki aaj ke baad tum dono inpe haath nahi uthao ge.”
“Aur agar aaj ke bad kuch hua toh hum baato se kam chala enge. Haath aur pao nahi. Badi aayi apne aap ko Maa khelwane”.