Last Remaining #DeletedScenes of Drama #YKS.
Episode number : 30
scene : 1 - maqam : hospital / corridor / ICU exterior
waqt : late night - kirdaar : asfand yaar. Zobia .
yeh scene wahein se jari hai jab Zobia asfand ka sahara pa kar apni kefiyat aur jazbaat uss se khul kar bayan kar rahi hoti hai .
chand lamhay zaro qitaar rotay rehne ke baad woh chup hoti hai. asfand yaar jaisay usay tasalii aur dilasah dainay ke liye uss ke kandhay par narmi se haath rakhta hai .
Zobia ab roti nahi hai. woh sadme aur dukh mein ghiri aawaz mein bolti hai. asfand ki taraf nahi dekh rahi hoti hai .
'' kitna aasaan hota hai aurat ke kirdaar par tohmat laga dyna. . kitna aasaan hota hai usay buray kirdaar ki keh kar uss ki jaan le lena. .'' ( pause )
woh jaisay madham bharai aawaz mein nazrain apne hathon ya apni goad par jamaye khud se bol rahi hoti hai .
'' kitni khush thi woh apne maa ban'nay par. . jab main ne usay yeh khushkhabri di thi to pehli baar uss ki aankhon mein sachhi khusi aur sachhi hansi dekhi thi. .'' pause ) )
'' Khajistah se uss ki woh wahid khushi' woh wahid rishta bhi uss zalim shakhs ne chheen liya. .'' pause ) )
asfand yaar gehray dukh aur apnayet ke sath usay dekh raha hota hai. woh jaisay uss waqt Zobia se apni khafgi bilkul bhola betha hai .
Zobia jaisay is waqt sirf Khajistah ke liye nahi ro rahi balkay apni maa ke liye aur apne liye bhi ro rahi hoti hai .
'' woh itna bara zulm kar ke aik baar phir bach jaye ga. . koi usay kuch nahi kahe ga. .'' pause ) )
Zobia aansoun bhari nazrain utha kar asfand yaar ki taraf dekhtii hai aur uss ki pehlay kahi baton ka hawala day kar talkh aur ghusse bharay lehjey mein jazbati ho kar bolti hai .
'' aap to aaj bhi yahi kahain ge naa ke yeh Khajistah aur bahadur ka zaati maamla hai hamara kaam sirf Khajistah ka ilaaj karna hai. woh bach gayi to theek. . mar gayi to ALLAH ki Raza . . aur bahadur. . woh dan'danata phiray ga. . phir koi bachi khareed laaye ga. aur phir uss ka har maamla zaati ho jaye ga. . woh iss bachi par bhi zulm kere ga. . zulm ka yeh silsila jari rahay ga ".
asfand yaar Zobia ke kandhay par haath rakh kar uss ka chehra apni taraf kar ke mazboot lehjey mein kehta hai .
'' is baar aisa nahi ho ga Zobia . .
mein iss baar aisa kuch nahi kahoon ga jaissa pehlay kaha tha. . iss baar waisa kuch nahi ho ga. . jaisay pehlay hoa tha. . iss baar mujrim ko saza gi. . is baar bahadur saza se nahi bachay ga. . usay uss ke har jurm ki poori saza miley gi. . mera tum se wada hai. .'' pause ) )
Zobia aur asfand yaar aik dosray ke be hadd nazdeek. . donon ki ankhen aik dsosray par jami hui. . Zobia ki aankhon se be aawaz ansoo girna shuru hotay hain. agar Zobia ke lehjey mein gussa aur talkhi apni maa aur khud par sahy zulmon ki wajah se aa rahi thi to asfand yaar ke lehjey mein mazbooti azm aur yeh determination keh woh mujrim ko saza dilay ga Daniyal ko yaad kar ke aa rahi hai. woh jaisay jazbati tor par iss waqea ko Daniyal ke noori walay case ke sath connect kar ke dekh raha hai .
asfand yaar :'' tumhen mujh par bharosa hai ?'' ( Zobia ka chehra hathon mein thaam ke pooch raha hai. )
Zobia ne rotay hue asfand yaar ki aankhon mein dekha hai. uss ne gardan haan mein hilai hai. asfand yaar kaafi jazbati ho ke bol raha hai. woh donon aik baar phir jazbati tor par aik doosray ke bohat nazdeek aa gaye hain .
asfand yaar Zobia ki aankhon mein dekh ke boltaa hai .
'' bas phir iss bharoosay ko tootnay mat do. . mera tum se wadah hai Khajistah apne mujrim ko saza mlitay dekhe gi. . main bahadur ko uss ke injaam tak pohnchaye baghair chain se nahi bhethon ga. .'' pause ) )
'' Khajistah zindah rahay gi. . woh apni aankhon se bahadur ko jail ki salakhon ke peechay jata dekhe gi. .''
woh bohat narmi aur pyar se Zobia ke galoon par se bahtay aansouon ko apni unglion se saaf karta Zobia se apni tamam tar khafgi bhula ke jaisay iss waqt us ki bohat parwah bohat khayaal kar raha hota hai. Uss ki aankhon mein Zobia ke liye gehri mohabbat nazar aa rahi hoti hai. woh apne haath se ab usay Paani pila raha hota hai .
intercut
Iss scene mein hospital ke corridor mein Zobia aur asfand bench par sath baithy hotay hain. yeh Fajar ka waqt hota hai. Zobia bench se taik lagaye so rahi hoti hai. Uss ne asfand yaar ka aik haath mazbooti se thaam rakha hota hai. Zobia ne jaisay tahaffuz panay aur support panay ke liye asfand yaar ka haath thaam rakha hota hai. asfand yaar khamoshi se betha Zobia ke chehray ko aik tik dekh raha hota hai. woh Zobia ke chehray par bhikri saadgi aur sachaai aur masoomiyat dekh raha hota hai. usay Zobia ki mukhtalif batain yaad aati hain .
usay flash aata hai. . .
jab asfand aur Zobia chandni raat mein kisi darya aabshaar ke samnay raat ke waqt sath kharray hotay hain. asfand yaar ne Zobia ka haath thaam rakha hota hai aur Zobia uss se bol rahi hoti hai. Uss ki nazron aur Uss ke lehjey mein asfand yaar ki mohabbat wazeh nazar aa rahi hoti hai .
'' zindagi mujh par bohat meharban kabhi nahi rahi. . mujhe dukhoon ka matlab pata hai mujhe akailey reh janey ka dukh pata hai. main abhi zindagi mein pehli baar In paharon mein reh kar khush rehna seekh payi hon. . mujhe bhi khush hona' hansna nahi aata tha. .''
asfand yaar ko uss ke sath hi dosra flash aata hai. jab Zobia Intehai be rukhi bharay andaaz mein asfand yaar se bol rahi hoti hai .
'' problem yeh hai ke mujhe shadi nahi karni. . na aaj na kabhi. . na aap se na kisi aur se. . jo hum donon ne aik doosray ke liye feel kiya woh aik Waqti attraction aur infatuation ke siwa aur kuch nahi. . ab isss ki main yeh qeemat chukaon ke aap se shadi kar loon to I am sorry. yeh mujh se nahi ho ga. "
"mujhe aap mein interest iss liye hoa kyunkay aap bohat handsome' qualified aur Ameer kabeer hain.''
''mohabbat is daur mein hoti kahan hai ?''
asfand yaar ko jaisay aik taraf Zobia ki mohabbat aur chahat ka yaqeen dilaati batain yaad aa rahi hoti hain aur doosri taraf woh be rukhi bhari negative baten jo woh uss ke office mein aa ke uss se kar gayi thi .
Zobia : ' shayad hum do tootay hoye bikhre huye log hain aur shayad issi liye. .''
asfand yaar :'' aur shayad issi liye hamaray dil aik dosray ki taraf khinche hain ke hamein aik dosray ke nazdeek aa ke apne apne zakhmi aur adhooray wujood mukammal karne they. .''
flash khatam. .
asfand yaar uljhan bhari nazron se Zobia ko dekh raha hota hai. jaisay woh uss ko samajhney ki koshish kar raha ho. jaisay usay samajh mein na aa raha ho ke woh un do zobiyaon mein se kis Zobia ko sacha aur kis ko jhoota samjhay .
Zobia v / o :'' Khajastah ke andar main kis kis ko dekhtii hoon. . aap ko nahi pata. .
main ne khud se wada kiya tha usay iss zulm ki bhaint nahi charhne dun gi jis ki bhaint meri maa charhi thi' main charhi thi. .
jo mere sath hoa, meri maa ke sath hoa, main chahti thi woh Khajistah ke sath kabhi na ho. .''
asfand yaar v / o :'' aik larki woh hai jo iss waqt mere paas hai' usay main jaanta hoon yeh bohat naram dil' hassas' sab ka khayaal rakhnay wali' mohabbaton se bhara dil rakhti larki hai. aur aik woh thi jo kal mere office mein aa ke barri be rehmi aur safaki se dil dukhaane wali batain kar ke' mujhe hurt kar ke mujhe dukh day ke gayi thi. woh meri Zobia nahi thi. . woh khud gharz aur be reham larki meri Zobia ho hi nahi saki. .'' pause ) )
'' main jaanta hoon tum aisi nahi ho. . jaisi tum kal lagi theen tum waisi bilkul nahi ho. . tum mera dil dukha ke mujhe khud se badgumaan karwa ke jaan boojh kar khud ko mujh se daur le jana chahti ho. . lekin kyun. .'' pause ) )
asfand yaar ko jaisay yeh samajh mein aa raha hai ke koi na koi raaz hai Zobia ki zindagi mein jisay woh chupaye rakhna chahti hai. aur uss se chupaye rakhnay ki khatir hi shayad woh jaan boojh kar asfand yaar se daur chali jana chahti hai .
asfand yaarv / o :'' kyun Zobia ? aisa kon sa raaz hai' kon si baat hai jisay chupaye rakhnay ke liye tum mujh se allag ho jana chahti ho ?'' pause ) )
'' woh kon si cheez hai jo tumhe mujh se door le janey par majaboor kar rahi hai. koi masla hai. . koi na koi cheez hai tumahray past mein. . kuch hoa tha tumahray maazi mein jo aaj bhi tumhen pareshan karta hai. jo tum mujhe bta bhi nahi rahen aur jo tumhen itna disturbed kar raha hai ke tum ne mujh se allag ho janey ka faisla kar liya ?'' pause ) )
'' lekin woh masla hai kya ?. . tumahray past mein kya hoa tha. . main kis se pouchon. . kahan se suraagh lagaun ?''
uss ki nazron mein Zobia ki fikar aur bohat saari uljan bhari hoti hai. woh jaisay Zobia ki pareshaniyon ka sabab dhoond lena chahta hai .
cut
Last Episode :
scene : 8 - maqam : pahari raasta / sarrak
kirdaar : asfand yaar .Zobia
yeh scene tab ka hai jab Zobia ka bhai hospital aata hai sharminda sa' apni behan se milnay. Zobia jab apne bhai ko asfand ke sath dekhatii hai to woh ghabra jati hai. usay khauf hota hai ke uss ke baare mein asfand ko jab haqeeqat ka ilm ho ga to woh bhi uss se nafrat kere ga. woh deewangi, junoon aur pagal pan wali aisi kefiyat mein chali jati hai jo Insaan par shadeed mayusiyon aur zindagi se na umeedi ke baad taari hoti hai. issi kefiyat mein woh hospital se nikal jati hai .
asfand ko jab ilm hota hai ke Zobia disturb si ho kar hospital se nikal chuki hai to woh Uss ki talaash mein gaari nikalta hai. asfand halki raftaar se gaari chala raha hota hai uss ki nazrain charon taraf ghoom rahi hoti hain. yak dam hi samnay kahin kisi buland pahari maqam par taiz taiz hawa se urta Zobia ka gulaabii dupatta asfand yaar ko dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai. Asfand Yar ki aankhon mein Zobia ki fikar' aur pareshani nazar aati hai. usay khauf hota hai ke kahin usay kuch ho na gaya ho. .
asfand yaar andha dhund gaari wahein chhor kar gaari se utartaa hai. baghair soochey samjhay aur aik lamhay ki bhi der lagaye baghair woh issi khatarnaak pahar par bhaga hai. usay iss waqt sab se ziyada fikar yeh hoti hai ke kahin Zobia ko kuch ho na gaya ho .
woh pagalon ki terhan Zobia ko dhoond raha hota hai ke usay door pahar ki choti ki taraf bhaagti Zobia nazar aati hai. abhi un ke darmain khasa faasla hota hai. asfand yaar poori qoowat se chilla ke Zobia ko aawaz deta hai. ('' Zobia .'' ) sath hi woh mazeed taiz raftari se deewana waar Zobia ki taraf bhagta hai. paharon mein asfand yaar ki aawaz door door tak goonjti hai.
'' Zobia rukko. . Zobia meri baat suno.''
Zobia apne peechay aati asfand ki aawaz sun laiti hai. magar woh bajaye ruknay ke mazeed deewangi aur junoon bharay andaaz mein agay ki taraf dornay lagti hai. Zobia ki haalat bilkul abnormal hoti hai. jaisay woh apne hosh o hawaas mein na ho. jaisay woh har haal mein khudkushi karna chahti ho .
woh baghair ruke rotay hue chilla ke bolti hai.'' khabar daar wapas chalay jayen. . mujhe koi baat nahi sun'ni. .'' sath hi pagalon ki terhan Zobia bhagi bhi ja rahi hoti hai .
asfand yaar andha dhund tofani raftaar se bhaag ke Zobia ko pakarta hai. Zobia bilkul machhli ki terhan uss ke hathon se phisal kar khud ko uss ki girift se chhurrane ki koshish karti hai.
'' chorain mujhe. .'' woh apne hawason mein nahi hoti hai. woh shadeed jazbati sadme wali kefiyat mein jaisay khud ko khatam kar lena chahti hai .
asfand yaar usay poori qoowat se pakar kar zor se jhinjhorta hai .
'' pagal ho gayi ho. . marna chahti ho ?''
Zobia :'' haan marna chahti hon. . chorain mujhe. .''
asfand jazbati ho kar uss par chilaata hai.'' khudkushi kar ke maro gi. . hosh karo. .''
Zobia jawaban rotay hue uss se bhi ziyada zor se chilati hai .
'' haan khudkushi karoon gi. . tang aa chuki hon zindagi se. . logon. . duniya se. . aur nahi lar sakti. . ab aur nahi lar sakti. .''
woh musalsal ussi junooni andaaz mein khud ko asfand yaar ki mazboot girift se churra bhi rahi hoti hai. asfand bohat jazbati ho kar boltaa hai .
'' tumhen meri mohabbat ki bhi parwah nahi rahi kya ?''
woh jaisay Zobia ki yeh haalat dekh ke uss se apni saari narazgi bhool jata hai. . ab uss ki aankhon mein agar kuch hota hai to sirf Zobia ki fikar aur uss ki mohabbat. . jabkay Zobia pagal pannay wali kefiyat mein chila chila ke rotay hue bolti hai .
'' haan nahi rahi parwah. . koi mohabbat nahi hai mujhe kisi se. . mera koi bhi nahi hai. . mera koi ghar nahi hai. . suna aap ne. . woh jo aa ke aap se bol raha hai mera bhai. . woh mera koi nahi lagta. . meri saari duniya mein koi nahi hai. . main akeli hon. mera koi nahi hai. mujhe kisi ki zaroorat bhi nahi hai. mujhe aap ki bhi zaroorat nahi hai .
main ne koi jhoot nahi bola tha. . aayi samajh. . main ne koi jhoot nahi bola tha. aap sab log mujhe meray haal pay chhor kyun nahi dete. .
main mar jana chahti hon. . mujhe sukoon se mar to janey den. ''
Zobia ' asfand yaar ki girift se khud ko churatay churatay yak dam hi uss ki bahon hi mein be hosh ho jati hai. Us ka nervous break down ho jata hai. asfand yaar usay yun be hosh dekh ke ghabra kar zor se chillata hai. . ('' Zobia . .'' ) paharon mein door daur tak uss ki cheekh sunai deti hai. . woh jazbati ho kar Ruhaansa ho kar apni bahon mein be hosh jhoolti Zobia ko zor zor se jhinjhor raha hota hai .
'' Zobia plzzz ankhen kholo. .
plzzz meri khatir. . hamari mohabbat ki khatir. . duniya mein koi aur tum se pyar karta hai ya nahi magar main to karta hon naa. . plzzz meri mohabbat ki khatir. .''
1k