Originally posted by: arviabhigya
Yaar yeh k khandaan waale ne mujhe pareshaan kar ke hi chodenge 🤣
Socha tha ki aaj online nahin aaungi ya aaungi toh 2 min mein chali jaungi kyunki I need to study 😆 magar iss k khandaan ke logon ne thaan liya hai ki Mihikaa ko toh forum pe atka denge 😆 🤣
Sab log aaj hi apni stories update kar rahe hain woh bhi choti-motu nahin balki badi NiBirFeels se bhari hui updates 😳 Upar se biwi ko online aaj hi aana tha 😆
Ab ek akeli jaan kitni der tak k khandaan ki kartooton se bache 🤣 🤣