Big Boss 19: Daily Discussion Thread - Aug 29, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 Aug 2025 EDT
MAIRAs SCHOOL 29.8
MAIRA KNOWS 30.8
Param Sundari opens well
Aneet and Ahaan on the cover of THR!!
Abhira : The self-respect queen
Geetanjali Saree look
Throw back! When katrina did not take 'gentle' gently from Shah!
Anupamaa 29 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Monsoon Magic Micro-fiction Contest Felicitation Ceremony
Deepika Ranveer At Ambani Ganpati Festival
Cannot decide who is most annoying
Bullying in the first week?
Nazar laga hua anda mein nahi khaata
Ijja-jjat hai
Trailer - Do You Wanna Partner - Tamannaah Bhatia Diana Penty
Unseen bollywood pics
Queen 2 Tanu Weds Manu 3 Get Rolling
How about giving us an update tonight?
Can we expect an update this week?
CHAPTER 8
Maahir was extremely impatient since morning after the Anu Bulbul fiasco and was waiting desperately for her call. More than Anu at that time, he was worried about Bulbul as he thought that Bulbul might never want to talk to him. Many times he picked up his phone and planned to call back Bulbul but couldn't just because of Bulbul's warning, he had to step back. Maahir stayed in his office, even when the whole office was empty as he didn't want to go home or anywhere else. But again he also didn't want to stay at his office and he realized that he will not get peace at any place and so he decided to return home. He took his car keys and was about to leave for his home when his phone started ringing. On seeing Bulbul's name blinking on his screen, he felt like he has got back his whole world which shattered few hours ago.
MAAHIR : "Hullo Bulbul?? Beta aapne aise phone rakh diya, kamsekam mujhe explain karne ka mauka to do.
MADHU : "Maahir puttar main bol rahi hu.
Maahir was shocked to hear Madhu's voice after such a long time and didn't expect her to call him. Just then he checked the time and realized that it was Bulbul's school time so she would have left for school by that time.
MAAHIR : "Sorry...vo main subhe se Bulbul se sirf ek baar baat karne ke liye besabri se intezaar kar raha tha to mere dimaag se hi nikal gaya ke abhi to vo school ja chuki hogi. Aap kaisi hai auntyji?
MADHU : (in a bit hurt tone) "Mummyji se auntyji ho gayi main? Chalo bhale hi mujhe tum ab apni saas na maano lekin mere liye tum hi mere jamai ho.
MAAHIR : (chuckled sadly) "Par aapke liye to aapki beti ek naya jamai laane waali hai.
MADHU : "Kaun vo Reyhaan?? Vo to Bela ke papa chahte hai ke uski shaadi Bela se ho, varna meri kudi ko usme koi interest nehi hai. Meri beti to aaj bhi tujhise pyar karti hai puttar.
MAAHIR : "Pyar karti to chor kar nehi jaati aur Bulbul ke baare mein mujhse kabhi nehi chupaati. Usne 8 saalo tak meri beti ko mujhse dur rakkha hai. Main iske liye usko kabhi maaf nehi karunga.
MADHU : "Isme galti usse zyaada meri hai puttar!! Uswaqt Bela ki aisi haalat thi ke...Vo itna depression mein thi ke ek time par uski pregnancy mein bohot saare complications aa gaye the. Yahatak ki uski delivery bhi 7 ve mahine mein ho gayi.
MAAHIR : (shocked) "Kya? Iska matlab vo jab India mein thi tab... "
MADHU : "Tab vo sirf do hafte pregnant thi, us condition mein hum usko kahi lekar nehi ja sakte the aur vo India mein rehna nehi chahti thi. Hum usko Canada kaise lekar aaye sirf hum jaante hai aur ek to premature delivery aur upar se delivery mein bhi itni problems thi ke Bulbul kahi dino tak incubator mein thi. Sirf hum aur hamaara bhagwaan jaanta hai ke kya din guzre the vo.
Maahir was so shocked that he had tears in his eyes thinking about Bela's plight which she had to handle without him and his heart sank on hearing about the pain which his daughter had to go through during birth.
MAAHIR : "Mujhe nehi pata tha in sab ke baare mein. Lekin agar mujhe Bulbul ke baare mein pata hota to main koi usko uski ma se cheen to nehi leta, to kya uske baare mein main itna janna tak deserve nehi karta?
MADHU : "I'm sorry beta mujhe nehi pata ke main tujhse kya kahu.
MAAHIR : "Kuch kehne ki zarurat nehi hai kyuki kuch bhi kehne ko ab baaki hi nehi hai. Khair!! Aaj subhe Bulbul ne baat kiye bina hi phone patak diya...
MADHU : "Arey ha, pata nehi kya hua aaj subhe se Bulbul itni khurrat bani phir rahi hai aur ajeeb si harkate kar rahi hai aur to aur aaj kisiko apne gusse ke aagey tikne hi nehi de rahi hai. Kal tak to thik thi, subhe uska ye avatar dekh kar mujhe laga ke zarur tere saath koi panga hua hai. Ki ho gaya?
Maahir took a deep breath and told her everything about Anu Bulbul fight and also about his impending marriage with Anu and all the circumstances that lead him to the decision of the marriage.
MADHU : "Haaye rabba!! Ye to bohot bara siyappa ho gaya hai. Par puttar tu sachchi bata menu kya tu sahi mein us kudi se shaadi karna chahta hai?
MAAHIR : "Anu ne tab mera saath diya hai jab mere saath Bela nehi thi. She helped me a lot aur usne hamesha mujhse pyar kiya hai. Agar Bulbul meri life mein na aati to shaayad kar bhi leta lekin...mujhe abhi kuch samajhme nehi aa raha hai. Kyuki Bulbul aur Anu dono mein se kisiko main hurt nehi karna chahta aur...in short meri life jhand bani hui hai, shuttlecock ban gayi hai.
MADHU : "Kya tu meri beti se pyar nehi karta?
Maahir remained silent and what Madhu could hear only the deep painful breath.
MADHU : (smiled) "Main sab samajh gayi puttar, tu aur teri biwi bilkul ek jaise hai. Main bas tujhse sab kuch janna chahti thi aur tu fikar mat kar, main hu na, main Bulbul ko samjha dungi aur vo school se aane ke baad tujhse phone par baat bhi karegi.
MAAHIR : "Par agar vo nehi maani to?
MADHU : "Kaise nehi maanegi? Oye beti hogi teri, usko paal pos kar bara maine kiya hai. Usko to uski khud ki ma itna nehi jaanti hogi jitna main jaanti hu. Mujhe achchi tarah se pata hai uski kaunsi nas kab aur kis tarah se khichni padti hai. Tu bas phone ka intezaar kar.
MAAHIR : (chuckled) "Aap bilkul nehi badly hai mummyji. Aaj bhi bilkul pehle ki tarah hi hai, cool!!
MADHU : (became very happy on hearing mummyji' from Maahir) "Haayo rabba!! Ae hui na gal aur mujhe to cool banna hi parega na kyuki teri biwi aur tere sasur hot dimaag waale hai aur upar se teri beti... ye to paida hi dimaag mein jwalamukhi bhar kar hui hai. Gussa to hamesha iski naak par hota hai.
MAAHIR : "Mummyji kya Bela ke paas Bulbul ke liye sach mein time hi nehi hota hai?
MADHU : "90% cases mein nehi hota hai, vo koshish karti hai par nehi hota hai aur vajah se na Bulbul bhi aur bhi zyaada arrogant ho gayi hai. Ab main Bela ki jagah to nehi le sakti hu na uski life mein.
MAAHIR : "Aapko pata hai Bulbul mujhse kehti hai ke daddy main na mamma ki shaadi us Reyhaan uncle se kabhi nehi hone dungi chahe uske liye mujhe kuch bhi karna pare'. She's so cute!! Par vo shaayad apne naanu ko nehi jaanti hai. Unko main kabhi pasand nehi tha aur dekhiye na main aur Bela alag ho gaye.
MADHU : "Puttar teri na koi galti nehi hai, tu bhi apni kudi ko achchi tarah se nehi jaanta hai. Agar usne kaha hai na ke shaadi nehi hone degi to ye shaadi kabhi nehi hogi aur puttar tu fikar mat kar, vo teri shaadi bhi kabhi nehi hone degi aur agar iske liye na vo dulha aur dulhan sher ke pinjre tak mein bandh kar sakti hai. Achcha tu fikar mat kar main baat karwaati hu teri usse, uske school se aane ke baad.
Maahir thanked Madhu for understanding him and he hoped that after returning from school, Bulbul would call him back.
[Canada]
After Bulbul returned from school, she changed her clothes and then came downstairs to have her food. But before doing that she picked up the phone and dialled her mother's mobile number.
BELA : "Hullo!!
BULBUL : "Hullo mamma main bol rahi hu.
BELA : "Main aaj tumse bohot naaraaz hu Bulbul, aaj subhe tumne jo kiya hai na... Pata hai Reyhaan uncle ko kitna bura laga hai...
BULBUL : "I don't care!! Mujhe Reyhaan uncle se koi matlab nehi hai. Mujhe bas aap dono ka ek saath office jaana bilkul bhi pasand nehi hai aur jab yehi baat aapko samjhaane par bhi aap samajhti nehi ho to mujhe yahi karna para aur main bilkul ais hi karungi.
BELA : "Bulbul pehle beta tum itni badtameez nehi thi. Achaanak se kya ho gaya hai tumko?
BULBUL : "Kuch nehi hua hai mujhe aapse dusri baat karni hai.
BELA : "Kya?
BULBUL : "Main aaj ke baad aapse kabhi bhi India jaane ki zidd nehi karungi par aapko promise karna hoga ke hum Italy jaayenge.
BELA : (Bela was so happy on hearing about the decision made by Bulbul that she forgot the morning's incident) "Aww mela baby!! That's like my good girl!! Mamma tumhe promise karti hai ke hum Italy zarur jaayenge main aaj hi saara arrangement karwaati hu.
BULBUL : "Ok main jaati hu mujhe bhukh lagi hai.
BELA : "Ok bye!!
After disconnecting the phone, she came back to the dining table to have her food. Madhu served her food and asked,To...Tune to kaha tha ke India jaayegi aur uske liye apni ma ko manaa legi to kya plan hai uske liye? Bulbul looked at her plate and angrily replied,Mujhe India nehi jaana hai. Mamma ne kaha hai na ke mujhe Italy lekar jaayengi to maine unko abhi phone karke bol diya ke main India nehi jaaungi aur isiliye mamma abhi hamaare Italy jaane ka arrangement karne waali hai. Madhu was shocked on hearing Bulbul's decision of not going to India and even was more shocked when she informed that she had already asked Bela for taking her to Italy. She asked,Hai??? Italy?? Par usdin to tu bara uchal rahi thi ke India jaana hai, daddy se milna hai. Ab kya ho gaya? Bulbul was already annoyed at Maahir and out of that anger, she said to Madhu,Kya maine aapse kabhi pucha hai ke mamma aur daddy ke beech jhagra kyu hua tha ya phir aapne kya kabhi mujhe bataya hai is baare mein? Nehi na? To abhi itna sawaal kyu puch rahi ho? Mujhe is baare mein baat hi nehi karni hai. Mujhe India nehi jaana hai to bas nehi jaana hai. Baat khatam!! Madhu was very worried thinking that if Bulbul didn't get ready to go to India then may be the last chance of uniting Bela and Maahir would slip away from her hands as Bulbul was the last person who could really unite her parents against all odds. Madhu tried her best to change Bulbul's mind and asked,Agar tu India nehi jaayegi to tere mamma papa ko yu milwaayengi kaise? Bulbul was having her food and then swallowed her food and replied,Kyu? Jab unko ek dusre ke saath rehna hi nehi hai, jab vo kisi aur ke saath shaadi karna chahte hai, kisiko agar meri pari hi nehi hai to phir main kyu apna dimaag kharaab karu? Unhone socha mere baare mein? To phir main kyu sochu? Unko jo karna hai vo kare, I don't care! Madhu found that Bulbul was too adamant to be explained anything rationally and so she decided to tell her the truth,Tere papa ne us larki se shaadi ki nehi hai karnewaala tha par jabse usko tere baare mein pata chala hai na bichaara bara confused sa ho gaya hai. Bulbul was shocked on hearing that Madhu knows everything and so she stopped eating and looked at her and asked,Aapko kaise pata iske baare mein? Madhu poured some curry on Bulbul's plate and replied,Kyuki main teri ma ki ma hu, mujhe tere baare mein sab pata hota hai yahatak ke vo bhi jo tu kisiko bhi batati nehi hai. Teri ma ne tujhe janam dene ke alawa aur kuch nehi kiya hai by the way. Mujhe samajhme aa gaya ke tera Maahir ke saath koi problem hua hai isiliye tere school jaane ke baad maine usko phone kiya, usine mujhe bataya hai sab kuch. Bulbul narrowed her brows and said,Par daddy ne khud bola hai ke vo usse shaadi karne ja rahe hai. To abhi palti kyu maar rahe hai? Madhu took a spoonful of food from her plate and replied,Dekh puttar 8 saal pehle jhagra karke teri ma tere papa ko chor kar aayi thi aur abhi dekh vo Reyhaan ke saath ghum rahi hai na to agar tere papa ne aisa socha to isme galat kya hua? Agar aaj tu apni ma ke jagah apne papa ke paas rehti aur teri ma ko tere baare mein pata nehi rehta to vo bhi shaayad aaj tere papa ki tarah shaadi ke baare mein soch rahi hoti. Bulbul took the food from Madhu's hand, chewed it and then after swallowing replied,Par mamma to us Reyhaan uncle se shaadi nehi karne waali hai na, mamma ne bataya mujhe. Madhu said,Ha kyuki teri mamma ke saath main hu aur sabse upar tu hai, hum thore hi hone denge uski shaadi kisi aur se par soch beta tere papa ke saath to koi bhi nehi hai. Kya pata uski kya majburi ho ke usko us larki se shaadi karni par rahi hai. Bulbul looked worried and asked,Daddy ne aisa kaha aapse? Madhu replied,Aisa kaha to nehi lekin jab maine pucha ke vo teri ma se pyar karta hai ke nehi, to usne koi jawaab nehi diya aur aise silence ka matlab ha hi hota hai. Bulbul still angry at her father replied,To kya vo chote baby hai, bol nehi sakte hai ke unko usse shaadi nehi karni hai? Madhu replied,Abhi dekh tu apni ma ke saath rehti hai tabhi bhi tujhe kitna dar lagta hai ke kahi vo Reyhaan usko pata na le. Kyu? To phir tu soch waha pata nehi bichaare Maahir ki kya haalat ho rahi hogi, vo to kisiko bol bhi nehi pa raha hoga. Bulbul felt very sad and asked,To phir main kya karu? Madhu shook his shoulder and replied,Mujhe kya pata? Baap to tera hai. Bulbul thought for a very long time and very long time for her means full one minute and then she sat straight and said,Nehi main India jaaungi, mujhe daddy ki shaadi rokni hi paregi aur vo bichaare akele kuch bhi nehi kar sakenge. Mujhko India jaana hi parega. Madhu had a smile on her face and she got relieved thinking that at last she was able to change Bulbul's mind by playing the right trump card. She asked,Par tune to abhi abhi apni ma ko phone karke bola na ke tu Italy jaana chahti hai. Bulbul put her hands on her waist and said,Kyu mera mood nehi badal sakta hai? Mamma ki permission lekar mere mood ko badalna parega? Mamma ne to aajtak mujhe kitne saare promises kiye hai, kya unhone apne saare promises nibhaaye hai? Mera pehle mood hua tha abhi badal gaya, abhi to mujhe India jaana hai. She then said to Bulbul,Achcha thik hai pehle daddy se baat karle vo bichaare kabse tere phone ka wait kar rahe hai. After finishing the food, Bulbul went to her room to call Maahir. Maahir whose eyes appeared to be stuck to the clock got startled when his phone started ringing.
B : "Daddy main bol rahi hu.
M : "Bulbul mera bachcha!! I was waiting for your call. Aapko pata hai aapne uswaqt phone kaat diya aur mujhe explain karne tak ka mauka nehi diya.
B : "Mujhe naani ne sab bataya hai. Mujhe pata hai ke aap mamma se bohot pyar karte ho lekin vo chipkali aapke peeche pari hui hai na isliye aapko usse shaadi karni par rahi hai.
M : "Beta vaisi baat nehi hai actually... I should not speak all these things to you aap bohot choti ho aap samajh bhi nehi paaogi.
B : "Mujhe samajhna bhi nehi hai, main bas ek baat jaanti hu ke meri mamma aur mere daddy ek dusre se bohot pyar karte hai aur mujhe apni life mein dusre mamma papa ki koi zarurat nehi hai isiliye chahe mujhe kuch bhi karna pare, main ye shaadi nehi hone dungi.
M : (amused at the way Bulbul spoke and so he teased her) "Agar aisi baat hai to aapko meri shaadi rokne ke liye India aana parega na.
B : "Ha to aa rahi hu na main vo Suhaani maasi ki shaadi hai na, to isliye main aur naani India aa rahe hai.
M : (could not believe his ears and was super excited) "What? Kab?
B : "Pata nehi kab par mamma to mujhe aane nehi dena chahti hai kyuki unko lagta hai ke main Delhi mein aate hi aapko dhundhne beth jaaungi jo meri mamma chahti nehi hai. Isiliye yaha thora maamla set karna parega.
M : (worried) "To agar mamma aane nehi degi to kaise aaogi?
B : (with full confidence in her voice) "Bulbul ki marzi ke khilaaf usko rokne ki himaat khud God mein nehi hai. Agar maine socha hai ke main aaungi to mamma mujhe khud Delhi ki flight mein bithaayegi. Par uske liye thore papad belne parenge na aur ha main pehle se hi keh rahi hu main Sunhaani maasi ke ghar mein nehi rahungi, main aapke saath rahungi.
M : (happily) "Of course ye bhi koi kehne waali baat hai? Bulbul apne ghar mein hi to rahegi. Oh God!! Mujhe to kitni saari tayyari karni paregi.
B : "Daddy don't be so panic!! Par ek baat promise karo ke mujhe saari Punjabi khaane khilaaoge aur ye jo mamma mujhe angrezo ka khaana thoosti rehti hai vo aap bilkul nehi karoge.
M : "Whatever you ask for Bulbul, aap jo kahogi vaisa hi hoga. Arey Punjabiya angrezo ka khaana nehi khaate hai.
B : "Ok bye daddy!! Main abhi phone rakhti hu mujhe bohot neend aa rahi hai.
M : "Ok bye!!
[India]
After disconnecting the call, Maahir was so excited thinking that he will be finally seeing Bulbul for the first time in his life that he was about to leave for shopping for her at that time. That night, out of excitement, he could not sleep properly. In the morning, he got ready for office on time and on getting to office, at first he went to Kuhu's cabin, where surprisingly he found Anu sitting and having a chat with Kuhu and Rohit. Maahir wanted to talk to Anu but she completely ignored him and seeing that Maahir would have felt bad if it would have been any other day but that day he was too happy to give any importance to Anu. Kuhu asked,Kya baat hai Maahir aaj bohot khush lag rahe ho? Maahir replied,Vo Bulbul India aa rahi hai. Both Kuhu and Rohit were surprised and together they uttered,What!! but Anu was shocked. Rohit asked,Kab aa rahi hai vo? Maahir replied,Pata nehi kyuki Bela usko yaha aane nehi dena chahti hai isliye usne kaha ke pehle usko apni ma ko pataana parega.Socho gayi bhi mujhpar hai, apni ma ko pataayegi. At the next moment, he made a face and said,Just imagine!! Us aurat ne na matlab meri tarah meri bachchi ki zindagi bhi na jhand bana kar rakkhi hui hai, itni khurrat hai na apne baap par gayi hai puri ki puri. While talking about Bela and Bulbul, he forgot that Anu was still there and Anu, on hearing Bela's name got up and walked out right away and seeing that Rohit followed her. Kuhu said to Maahir, "Tum na kabhi kabhi ye bhul hi jaate ho ke kiske saamne kya baat karni hoti hai. Maahir replied,Main kya karu Kuhu? Main usse baat karna chahta tha magar usine mujhe ignore kiya. Mujhe nehi pata hai ke meri beti jisey main pehli baar milne ja raha hu usse milne ki ye khushi chupaayi kaise jaati hai. Maine usko sab sach sach bataya tha and I know uske liye ye bohot shocking hai. Par Bulbul mere liye per ki koi daali nehi hai jisey main kaat kar phek sakta hu. Vo meri life ka sabse bara sach hai. Mera aur Bela ka rishta khatam ho sakta hai lekin mera aur Bulbul ka rishta kabhi bhi khatam nehi ho sakta hai, kamsekam is janam mein to nehi. I know she needs to handle this and she can have all the time she wants. On the other side, Rohit stopped Anu and she asked,Tum mujhe kyu rok rahe ho Rohit? Rohit replied,Meri baat pehle sun to lo. Anu nodded her head and sarcastically said,Mujhe kuch sunna hi nehi hai, dekha nehi Maahir kitna khush hai kyuki uski beti aa rahi hai. Usne ek baar bhi mere baare mein nehi socha. Bulbul ka yaha aana matlab Bela ka yaha aana aur kya pata ke vo Bela jaan bujh kar usko yaha bhej rahi hai taaki vo waapas se Maahir ki zindagi mein shaamil ho sakey. 8 saalo baad vo phir se mera pyar mujhse cheenna chahti hai. Rohit said to her,Dekho Anu agar usko aisa karna hi hota to pehli baat to vo kabhi India chor kar hi nehi jaati aur 8 saalo tak usne apni beti ko uske papa se dur rakkha hai to vo achaanak Maahir ki zindagi mein waapas se shaamil hone ke liye aisa kyu karegi? Aur vaise bhi Anu chahe tum is baat ko kitna bhi jhutlaane ki koshish karo lekin Bela aur Maahir abhi bhi husband wife hai, Bela ko Maahir ki zindagi mein daakhil hone ke liye Bulbul ka istemaal karne ki koi zarurat nehi hai. Phir Maahir agar chahta na to Bulbul ki baat tumse chupa bhi sakta tha lekin usne aisa kuch nehi kiya, usne saaf saaf tumhe sab kuch bataya hai to phir tum Maahir se kyu gussa ho? Isme us bichaare ki kya galti hai? But Anu was in no mood to understand any logical point of view and replied,Main abhi kisi bhi cheez ki mood mein nehi hu Rohit, main chalti hu. Saying Anu left from there and Rohit returned to Kuhu's cabin and found Maahir almost grabbing Kuhu's hand and pulling her out of her cabin and Kuhu said,Maahir shopping karne mein bohot time lagta hai aur upar se larkiyo ki shopping... Maahir replied,To phir main tumhe aaj ke din ki chutti sanction karta hu abhi tum chalo kitni saari shopping karni hai, naye kapre, naye video games, naye khilone aur ha uska room bhi to set karna hai. Abhi mere ghar mein bachcho ka alag karma to hai hi nehi, room tayyar karna parega, paint selection. Bohot kaam baaki hai yaar abhi chal. Kuhu agreed and and said,Ok, tum car nikaalo main abhi aa rahi ho. Maahir nodded his head and asked her to come soon and then left from there. After Maahir left, Kuhu asked Rohit,Tum Anu ke peeche gaye the na to kya hua? Rohit replied,I tried to explain her par vo sunne ko tayyar nehi hai and of course, Anu se main kisi logic ki ummeed bhi nehi karta hu. Main reality mein nehi chahta hu ke in dono ki shaadi ho par I just want ke ye inkaar Maahir ka khud ka ho aur kisi emotion mein aakar vo ye decision na le balki purey hosho hawaz mein ye decision le. Koi bhi rishta na kisi bhi misunderstanding ke vajah se nehi tootna chahiye, after all vo dono itne saalo se friends bhi to hai. Kuhu gave him a smile and replied,I don't know, tum aisa soch kaise lete ho. Iam so lucky to have you in my life. Rohit chuckled and said,Achcha abhi jaao varna ye Maahir phir se tumko dhundhne yaha aa jaayega. Kuhu agreed and then left from there.
[Canada]
"What??? Phir se?? Bela yelled at Bulbul by putting her hands at her waist, standing at the hall, staring at Bulbul. After Bela returned from office, without wasting any more second, in which Bulbul was actually very good at just like her father which was not wasting time on important issues, told her mother straight away about her change in plans regarding the destination which had shifted from Italy to India. Bulbul also looked at her mother in such a way as if she didn't opt for India, but had committed a simple crime by stealing from the kitchen. Bela asked,Kya main jaan sakti hu ke achaanak se ye plan kyu change hua? Bulbul casually replied,Mera koi fault nehi hai mamma vo kya hai na main to Italy hi jaana chahti thi lekin vo so kar jab main evening ko uthi na mujhe India waali craving aa gayi. To maine ye decide kiya ke main India hi jaaungi, Italy nehi. Bela mocked her and said,Cravings aa gayi? India ki? Bol to aise rahi ho jaise India nehi DC ja rahi ho. Maine saara arrangement karwa rahi hu aur madam abhi mujhe bata rahi hai ke unko India jaana hai. Bulbul was in a total cracking mood and so she replied,Mamma Italy aur India dono hi to I' se shuru hote hai. To isme problem kya hai? Saying this, Bulbul herself giggled for a second before becoming serious again but that didn't go unnoticed by Bela and she said,Mazaak chal raha hai na mere saath? Ek thappar lagaaungi na Bulbul saara mazaak nikal jaayega main bata rahi hu tumko. Koi India Vindia nehi jaana hai ab to kahi lekar nehi jaaungi main tumko. Bela grabbed her head and dashed on the sofa and ordered one of her servants to bring her a cup of coffee and some brownies. Whenever Bela suffered from tension or anxiety she preferred brownies and that was why the kitchen had amples of supplies for it. Bulbul said,Vo to mamma maine saare kha liye. Bela looked at Bulbul with shock in her eyes and asked,Saare kha liye?? Maine kal hi to banwaaye the? Bulbul replied,Vo main confuse ho gayi thi na Italy aur India ko lekar to main brownies kha kha kar soch rahi thi usse concentration zyaada milti hai. Bela was so disappointed that she asked,Mere liye ek bhi nehi chora? Bulbul nodded her head and Bela angrily raised her hand and said,Bulbul aaj na sach mein bohot maar paregi tumko main bata rahi hu.Oye tu kyu meri naatin par chilla rahi hai aise? Just then Madhu came and scolded Bela hiding Bulbul behind her and glaring at Bela. Bulbul pouted and replied,Naani dekho na maine brownies kha liye isliye mamma mujhpar chilla rahi hai. Madhu angrily said to Bela,Itni si baat ke liye tu meri kudi par chilla rahi hai? Brownies hi to khaaye hai na isme kaunsi bari baat hai? Hum punjabiyo ko khaana pasand hai aur hum to khaate peete khaandaan se hai aur tu kaun hoti hai usko bolne waali? Yaad nehi kaise apni pregnancy ke waqt tu brownies thoosa karti thi, maine to tujhe kabhi kuch nehi kaha to ye aadat teri beti ko bhi lag gayi hai. Khabardaar agar khaane peene ko lekar meri bachchi ko kuch bhi kaha to. Madhu patted Bulbul's head and Bulbul gave a teasing smile to Bela and seeing that Bela said,Naani aur nawaasi se to baat karna hi bekaar hai. Par ek baat saaf saaf kaan khol kar sun lo Bulbul, you are not going to India. Bulbul replied,Vo to main jaaungi hi, mera mood koi aapki permission lekar to badlegi nehi. Mujhe India jaana hai to matlab jaana hai aur main to jaakar hi rahungi. Bela said,Thik hai main bhi dekhti hu ke tum jaati kaise ho. Bulbul made a face and replied,Thik hai dekh lena aur main bhi dekhungi ke aap mujhe rokti kaise ho. Agar aap mujhe khud Delhi ki flight par nehi beetha kar aayi na mamma, to main bhi Bulbul Maahir Sehgal nehi, yaad rakh lena meri baat. Bela glared at Bulbul and walked to her bedroom. After she left, Madhu asked,Kya karegi? Bulbul replied,Arey naani itna tension kyu leti ho? Kal jab mamma mujhe khud jaakar school se waapas lekar aayegi na tab vo khud hi bata degi aapko. Saying she left for her own room. Next morning, when both Bulbul and Bela were ready to leave, Bulbul said to Bela,Mamma aaj na apne meetings jaldi jaldi khatam kar lena ya phir rakhna hi nehi, kyuki aaj aapko mere school aana parega. Bela asked,Kyu? Kya badmaashi ki hai school mein? Bulbul smiled and replied,Ki nehi hai mamma aaj karungi na isiliye pehle se bata rahi hu baad mein mujhe mat bolna ke maine warn nehi kiya. Bela was confused and asked,Kya matlab? Bulbul replied,Matlab kuch nehi hai mamma, vo to jab aapko mere school se call aayega na aapko samajhme khud hi aa jaayega. Bela then immediately understood Bulbul's agenda and sat on her knees and said,Agar ye tumhaara koi naya plan hai na aur agar tum sochti ho ke ye sab karne se main tumhe India jaane dungi to puttar tussi apni ma ko pehchaaneya nehi. Ye saare paitre main apni life mein bohot baar use kar chuki hu so... sorry. Bulbul replied,Nehi main naani se aapki bachpan ki saari kahaaniya sun chuki hu par vo kya hai na aap meri mamma ho par aap to Bulbul nehi ho na vo to main hu. Aapko bhi to nehi pata hai ke main kya kya kar sakti hu. Bela smiled and asked,To phir tumhe apna plan mujhse share nehi karna chahiye tha hai na? Bulbul replied,Par mamma aap hi to kehti ho na ke opponent ko uske ghar mein ghus kar haraane mein jo mazaa hai vo aur kahi nehi hota. Vaise hi warn ke haraane mein na mazaa aata hai. Bela raised her brows and with a typical professional badass' smile she said,I love that killer attitude!! So the game's officially on!! Bulbul shook hands with Bela and replied,It's already started mamma!! Best of luck!! Bela kissed on Bulbul's forehead and replied,Same to you too!! Bulbul kissed on both her cheeks and seeing that Bela replied,Tumko pata hai na ke mamma ke liye Bulbul ke kisses kitne lucky hote hai. Bulbul said,Isiliye hi kiya hai na. Achcha abhi main chalti hu varna school ke liye late ho jaayega. Saying she ran towards her car and it took her to school.
CHAPTER - 9
Aww
Super cute bubbly bulbulEnjoyed a lotEnd was superbUpdate soon plzCz want to knowWhat bulbul is up to?