Always with you - ViDev two shots

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#1

Dev was hanged up in thoughts. He was turning pages and pages of the album.

Vidhi : Aap kya dekh rahe hein Dev ?

Dev quickly shut the album and pretended a smile.

Dev : Vidhi bas aise hi..Chalo naa so jaate hein.

Vidhi : Ji

Dev and Vidhi lie down at the bed. Vidhi gently held Dev's hand and Dev was not responding. Vidhi felt strange.

Vidhi ; Kya huwa aapko ?

Dev : Kuch nahi Vidhi, tum so jawo.

Vidhi : Hamare shaadi ho chuke hein..Joh bhi khushiyan hein, dukh hein hum donon ko saath mein baatne hein. Kya chupa rahe hein aap?

Dev : Vidhi !!

Dev hugged her tightly and cried bitterly.

Vidhi : Kya hua Dev ? Aap ro kyun rahe hein ?

Dev wiped his tears.

Dev : Woh bas ....

Vidhi : Uss album mein kya hein ?

Vidhi opens the album and smiles.

Vidhi: Yeh toh !!

Dev : Chitra jab choti bacchi thi tab maine isse aise hi apni godhi mein bitathi thi..Woh dusre page mein dekho Raksha bandhan mein kaise Chitra ne pehnayi thi Rakhi mujhe. Jitne bhi Raksha bandhan huye hein uske saare tasweer samayi hein mere..

Vidhi : Dev !!!

Vidhi held Dev's hand and Dev looked her.

Dev : Sab khush the, shaadi bhi acche se huye. Par kisi ne bhi dhyaan nahi Diya uss behan kee taraf joh dholl waalon mein shamil hoke chupke se aake apne bade Bhai ko sehra bandhke chali gayi thi . Meri baraat mein naa woh naach paayi , aur naa hi shaadi mein!!!

Vidhi : Dev !!! Sambhaliye apne aap ko. Hum log jaante hein naa kee woh kitni majboor hein.

Dev : Kahin naa kahin uski yeh haalat ke zimmedar mein hoon Naa Vidhi.

Vidhi ; Aisa kyun keh rahe ho ? Aapne toh unki pasand jaankar shaadi karwayi naa. Amba Mam apni obsession mein joh bhi kar rahi hein uss mein bechari aapke behan fas gayi.

Dev : Mein kya karun Vidhi ? Chitra se yeh toh keh nahi sakta tum apna sasural chod do . Uski zindagi kaa sawal hein. Jiske faisle usse khud lene honge. Hamari shaadi hoke 4 din huye . Lekin abb tak Chitra se mil hi nahi paaya..Uske phone ko try karta hun toh woh phone bhi udda nahi rahi hein..Maa ne toh Mehta house jaane se bhi mana kiya hein. Mujhe apni behan ki bahut yaad aa rahi hein Vidhi. Bahut !!! Aankhein band karta hoon toh Chitra kee bachpan mere saamne aati hein. Duniya mein kisi bhi Bhai ko bhagwan aise majboor naa bana de.

Vidhi wiped Dev's tears.

Vidhi : Dukh toh mujhe bhi bahut huye. Hum puri koshish karenge Kam se kam ek baar hi sahi Chitra ji se mil paaye. Aap please rona bandh keejiye.

Dev lie down at Vidhi's lap and Vidhi waved his forehead.

Vidhi: So jaayiye Dev..Mein aapke saath hoon.

Dev held Vidhi's hand like a kid and slowly he fell asleep. Vidhi picked the pillow and slowly made Dev's head to rest there..

Next morning

Dev woke up and find Vidhi was not in bed.

Dev checked washroom, Vidhi was not there.

Dev thought : Shayad jaldi udke tayyar huyi hogi..Mein bhi fresh ho jaata hun..

Dev took bath and came out from room.

He searched for Vidhi in whole house ,but nobody knows where Vidhi has went . Suddenly Dev's phone rang and he picked it.

Vidhi : Dev !!

Dev : Vidhi kahen ho tum ? Aise kisi ko bina bataye Kahan chali gayi tum ?

Vidhi: Dev, sab batawungi. Pehle aap Baalghar aayiye. Abhi issi waqt.

Vidhi cuts the call. Dev took his car and rushed to Baalghar.

Vidhi came before Dev and smiled.

Dev : Tumne toh tension mein daali , mujhe. Vidhi bata toh sakti thi Naa ?

Vidhi : Pehle aap saans leejiye aur aapki Ganga maa ki room mein jaayiye.

Dev : Kyun ?

Vidhi ; Jaayiye toh sahi

Dev went inside and to his surprise he saw Chitra there.

Dev : Chitra!!!

Chitra : Bhai !!!

They both hugged each other emotionally.

Dev : Tum yahan kaise ?

Chitra : Vidhi bhabhi mujhe lene aayi thi Ghar pe. Keh rahi thi aap mujhe kitne miss kar rahi ho..

Dev : Par Chitra tum aise kaise ? Tumhare sasural mein!!!

Chitra : Bhai, aapko wahan honi chahiye thi kee kaise Vidhi bhabhi mujhe uss ghar se leke aayi. Sach mein bhabhi bahut acchi hein. Meri majboori kaa fayda uda Rahi thi Amy Mausi. Par Vidhi bhabhi ne unhein palatkar jawab diya..

Dev ; Par Vikram

Chitra : Vikram ko samajh mein aa raha hein kee Amy Mausi ko treatment Dena kitni zaruri hein..Isliye usne Aaj kuch bhi nahi kaha . Vikram leke Gaya hein Amy Mausi ko pshychartist ke paas.

Dev : Tum naraaz toh nahi ho naa mujhse ?

Chitra : Bhai, mein aapki behan hoon. Aapki kiddo kaise naaraz ho sakti hein aap se?

To be continued 😄😄😄😄

Created

Last reply

Replies

11

Views

1.5k

Users

5

Likes

22

Frequent Posters

Fanzzz thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail 3rd Anniversary Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#2

Wah wah wah.... Kash Aisa kuch dikha de...

Parud7 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#3

Very nice 👍

Kash aisa kuch show mein bhi dikhate

Inka kya pta khi tumara os chura hi na lein😆

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#4

Thank you, going to write next part.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#5

Agar churane kaa man hein toh acche ViDev scenes chura le, jaise tumhare khatir likhi thi Bathroom mein inn donon ke romance, Shirtless Dev se Vidhi kaa hug. Aur Dev was telling Hum roz aise nahayenge , tabh tum bhi bath towel mein aur mein bhi . Abb toh donon ki shaadi bhi ho gayi , bindaas dikha sakte hain. 😆😉

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#6

Part 2

Dev : Chitra tumhein yahan dekhke mein kitna khush hoon mein bata nahi sakta.

Chitra : Shaadi kee mithayiyan kahan hein Bhai ?

Dev : Mein bhejna toh chahta thaa, par Abhimanyu bata raha thaa ki kaise shaadi ke invitation card ko Amba ne aag mein jalane ke liye tumhein majboor kee . Uss waqt toh kisi ne kuch kaha toh nahi lekin baad mein jaise hi tum chupke aake sehra bandhne ke baad chali gayi thi, mujhe Shaq huwa kee kuch toh huwa. Tabh ghar mein Khushi kaa maahaul thaa. Isliye tabh maine kisi se kuch bhi nahi kaha. Meri shaadi bhi ho gayi aur sabhi pariwar waale maujood the. Lekin meri apni behan wahan pe nahi thi....Vidhi ke haath dhaamna meri zindagi kee sabse badi khushi kaa mauka aur iss mein donon pariwar waale bhi khushi - khushi shaamil huye. Par meri pyaari behan!!!

Chitra : Bhai !! Mein aana toh chahti thi !! Par kya karun mein ? Sangeet mein aapne bhabhi ke saath kitne acche se naache, woh nazara mein phone mein hi dekh paayi Bhai.Kaash mein wahan hoti aur apni bhabhi aur Bhai ke saath thode Masti kar paati, unke shaadi ke baad sabke sath milke ghar mein swagat kar paati, apne haathon se Bhai ke kamre ko phoolon se saja paati. Aur jab Bhai raat ko aayenge , tab behan hone ke haq se mein unse shagun maangti . Apni pyaari bhabhi ke Mukh dikhayi mein kaise unko pari jaisi tayyar karti aur Bhai ke baare mein thodi bahut Chugli bhi karti !!!! Par mein kuch nahi kar paayi Bhai , kuch bhi nahi.

Dev : Chitra !!

Dev hugged Chitra and wiped her tears.

Dev : Par tum yahan kaise pahunchi ? Aur iss jagah ke baare mein?

Vidhi : Maine batayi Chitra ji ko .

Dev : Par yeh sab kaise ?

Flash back

Vidhi's thought

Maine keh toh diya kee Dev apni pareshaniyan mere saath baant kar sakte hein. Par kya baantna kaafi hein? Har baar meri pareshaniyon mein mere naa kehane pe Dev ne meri kitni madad kee ? Mere har problem ko unhone suljha dee. Mere sare dard ko mitane ke liye mere saath khade huye , jab mere Paapa ne mujhse baat karna choda thaa ,jab puri duniya ne mujhe galat tehraya tabh Dev ne kaise sabke samne meri maan samman rakhi..Mere Paapa ke aage jhukke Mera haath maanga. Umra ki seemayein todkar aakhir hamare pyar ki Jeet huyi. Hamare beech koyi bhi seema naa ho , isiliye unhone mujhe samjhaya kee mujhe unhein unke naam se pukarne honge. Aise mein rishton ke beech kareebiyan aayenge. Kitna kuch kiya Dev ne mere liye. Aaj jab foot footkar Dev ne roye toh mein kaise chup baith sakti hun ? Kam se Kam ek baar man halka hone ke liye mujhe Chitra ji aur Dev ke mulaqat karwani hogi. Abb chahe woh Amba Mam kuch bhi kare mein himmat se saamna karungi .

Vidhi looked sleeping Dev and took a deep breath.

At Mehta house

Amba : Tod do iss kangan ko Chitra.

Chitra : Nahi Amy Mausi..Yeh mein nahi tod sakti.Yeh mere Dev Bhai ne bhijwayi hein. Bhai chahte the mein isse pehanke unke shaadi attend karun.

Amba: Tum bhool rahi ho Chitra shaadi ke baad sasural hi ek aurat kaa asli ghar hota Hein. Aur uss Devvrat Raichand kaa diya huwa koyi bhi cheeze iss Ghar mein nahi honi chahiye. Utaro yeh kangan aur isse bhi daal do uss aag mein. Dekh rahi ho uss aag ko . Mere Tapasya kee, mere armanon kee jalti huyi chita hein. Jitne bhi Devvrat ke tasweer thi sab jala dee maine. Uske har cheezon ko mita rahi hun. Dev ke naam ki sindoor joh pichle Pandrah saal se pehanti thi uss sindoor kee jagah apne sapnon kee jalti huyi chita kee rakh pehanti hoon. Dekh lo iss raakh ko , gor se dekho. Joh bhi log Dev se jude hein , unn sabko ek ek karke barbad karungi . Mere badle ki aag tumhein isliye nuksaan nahi pahuncha rahi hein kyunki Tum Vikram kee Patni ho. Iss se pehle kee mein yeh bhool jaaun Dev ke diye huye kangan ko utaro Chitra.

Chitra : Nahi Amy Mausi. Mein shaadi toh attend nahi kar paayi please at least iss kangan ko rehne do mere haathon mein. Mujhe iss se yeh ehsaas ho jaayegi kee mere bhai mere saath mein hein , mere haath ko pakde hein. Iss kangan se gehra rishta juda hein mere aur Dev Bhai ke

Amba stared her with terrific eyes.

Amba: Gehra rishta hein, bahut gehra hein, abb ek gehre zakhm dungi tujhe kee tum majboor ho jawogi kee yeh kangan utarke phenkne mein.

Amba forcefully grabbed Chitra's hand and took her near the place where she was burning Dev's things. Chitra got extremely scared..

Amba extended Chitra's hand towards the fire. Before she could burn Chitra's hand she had a loud scream

" Amba Mam "

The loud voice made her shockingly surprised as she saw Vidhi before her eyes.

Vidhi : Aapki himmat kaisi huyi meri behan ke haath ko jalane kee ?

Amba: Vidhi !!

Vidhi: Sirf Vidhi nahi , Mrs Vidhi Devvrat Raichand acche se dekhiye mujhe, meri maang mein mere pati ne apne haathon se sindoor bhari hein. Aur unhone apne haathon se mere gale mein mangalsutra baandhi hein. Mein unki patni hoon ..

Amba: Abb kya lene aayi ho yahan? Meri sapnon ko dabochkar, meri chita ke upar Agni ko saakshi maanke Mere Dev

Vidhi : Excuse me!! Aapka Dev nahi. Kisi aur ke pati ko aap apna kaisa keh sakte hain? Aur aap yeh kya kar rahi thi? Mat bhooliye kee Chitra ji iss ghar ki bahu hein. Bahu ke saath aise vyavhar karna kanooni taur par gunah hein. Aur mein yahan apne pati kee behan joh meri bhi behan hein unse milne aayi hun .

Vidhi held Chitra's hand.

Vidhi: Aap theek toh hein naa?

Chitra: Mein theek hoon. Thanks Vidhi bhabhi.

Amba: Bhabhi !!! Tum iss two rupees cheapdi ladki ko bhabhi bula rahi ho. Iss ne dhoke se haasil Kiya hein sab kuch.

Vidhi: Lagta hein aapki yaaddash kamzor hote jaa rahe hein. Kitni baar aapko samjhane honge kee maine dil se apnaya hai Dev ko aur unhone bhi. Kisi ko haasil karne mein aur dil se apnane mein zameen aasman kaa fark hein..Aaj aapne saari haddhein paar kar dee..Abb mere pariwar ke kisi ek ko bhi chot pahunchane kee koshish bhi kee toh aapko uss se pehle mujhse ladne padenge. Mein dhaal bankar khadi hun apne pati aur pariwaron ke aage. Yeh kangan ek bhai kee amanat hein, uska pyaar hein apni behan ke liye. Aapka koyi haq nahi hein isse mitane kaa.

Chitra : Bhabhi aap meri wajah se Amy Mausi se ladiye mat..

Vidhi: Kiska dar hein aapko ? Iss aurat kaa ? Ek baar aap dehaleez paarke apne Dev Bhai ke paas toh aayiye. Mein bhi dekhta hoon kaun rokta hein aapko.

Chitra : Mein yahaan ruki hun toh Vikram ke liye..I truely loves Vikram. Iss Ghar mein bahut kuch hein, joh sirf mein hi samajh pawungi..Bhabhi aap chahe toh mujhe kamzor bula lo par Vikram ko chodke mein nahi aa sakti.

Vidhi: Mein chodne ke liye nahi keh rahi hoon. Bas ek baar sirf ek baar kya aap apne bhai se miliye..Unke raaton ke neend udd chuke hein. Jab bhi khud ko aayine mein dekhte hein toh khud ko doshi tehrate hein kee unki wajah se unki choti behan ki zindagi mein kitni pareshaniyan ho rahi hein..

Chitra ; Mein kya karun?

She hugged Vidhi emotionally.

Meanwhile Vikram arrived there.

Amba: Accha huwa Vikram , tum aa gaye. Yeh Vidhi manipulate karke Chitra ko tumse alag karne ke liye aayi hein..Tum kuch kaho .

Vikram: Maasi pehle aap baithiye.

Amba: Tum Vidhi ko bhaga do, security ko bulawo Vikram.

Vikram : Sab hoga..Pehle aap baithiye.

Vikram signed Chitra to bring water. He held Amba's hand and made her slowly to sat at the couch.

Vikram took a tablet from the cover which he bought.

Vikram: Aapka Blood pressure high hein.. Isliye doctor ne yeh tablet dee hein.. Please isse khaayiye.

Amba: Tum keh rahe ho toh mein zarur khaata hun . Iss duniya mein tumhare siwa abb kaun hein?

Amba takes the medicine and soon she fell asleep. Vikram looked Chitra with teary eyes.

Vikram: Jawo Chitra Vidhi ke saath.

Chitra : Vikram!!

Vikram; Mein hoon naaa Maasi ke pass..Yeh dawai isliye dee taaki mein Maasi ko pshychartist ke paas le Jaa sakun. Unhein baaton se nahi samjha sakenge kee unki obsession abb puri tarah se pagalpan mein badal chuke hain... Isiliye doctor ne yeh dawai dee hein..Unhein hosh aane mein kaafi waqt lagega. Tab tak tum jaake apne bhai se milke awo,Chitra. Mein bhi Maasi kee baaton mein aakar kaafi rude behave karta thaa..Iam sorry Chitra..Please mujhe chodke mat jaana..Hum Maasi ko best hospital mein dikayenge..Please mera saath kabhi nahi chodna.

Chitra : Vikram !!

Vikram and Chitra hugged each other tightly.

Flash back ends

Chitra : Uske baad bhabhi ne iss Baalghar mein mujhe leke aayi taaki Mera mood change ho..Yahan aake bacchon se milne ke baad mujhe kaafi accha feel ho raha hein Bhai..Waise iss jagah ko itna secret kyun rakha thaa aapne ?

Dev : Har insan ki zindagi mein kuch aise dard bhare Raaz jise woh aasani se khul nahi sakta..Yeh Paapa aur Maa ki favourite jagah thi..Issko banwana meri Maa Ganga kaa sapna thaa..Yeh Baalghar toh ban gaya..Par Maa zyada yahan aa nahi paayi, uske pehle kismat ne unhein mujhse alag kar diye..Aur phir Paapa bhi, lekin Satyawati maa ne mujhe pyaar dene mein koyi Kami nahi rakhi. Par kahin naa kahin maine apna bachpan khoya thaa aur uss bachpan kee kami yeh Baalghar door karti hein. Tumhein pata hein mein aur Vidhi aksar aate hein yahan.

Chitra : Mujhe pata chal chuka hein. Abb mein naa zyada der rukke aapki yeh joh favourite place aur private moment hein naa iss mein taang nahi adawungi. Waise bhi Vikram kaa call aa chuka hein..Mujhe jaana padega.

Dev : Chitra, woh mithayiyan!!.

Vidhi: Mere hote huye Chitra ji ko mithai naa mile Aisa thodi hi sakta hein? Maine mithayiyan already car mein rakhwayi thi.. Abhimanyu bhaiya kee gaadi mein gayi thi..

Dev : Matlab kya Ghar waalon ko pata hein?

Vidhi : Pura toh nahi, sirf itna kaha kee mujhe ek gaadi kee zarurat hein. Ek zaruri kaam hein bas..

Chitra : Bhabhi bahut brave hein Bhai..But trust me, aapke har problem kaa solution abb bhabhi nikalegi. She will Always be with you, mark my words.

The trio hugged happily each other.

Chitra : Bye abb mein chalti hun.

Vidhi: Apna khayal rakhna Chitra ji.

Dev : And kisi bhi cheeze ki zarurat ho toh phone karna.

Chitra smiles and leaves.

Dev looked Vidhi.

Vidhi: Aise kyun dekh rahe ho ?

Dev : Kahan se laati ho itni himmat, meri pyaari wife..Aaj toh tumhein jitna bhi thank you kahun with kam padega. Dil se bahut thank you my sweet heart

Dev hugged Vidhi. She too hugged his back.

Suddenly they heard kids making noise. All were standing at the door..

They were holding roses 🌹 in their hands..

Ruhi : Welcome Mr and Mrs Raichand

Dev hugged Ruhi

Ruhi : Yeh bolna kisne sikhaya aapko Ruhi?.

Ruhi pointed out her finger at Vidhi.

Vidhi rolled her eyes and said ; Nahi , maine kuch nahi kaha.Woh aajkal ke bacchon ko toh sab pata hein naa

Another kid : Jhoot, didi bata rahi thi kee roses leke Dev uncle aur didi kaa welcome karna hein..Dev uncle ko accha lagega aur woh khoob saare chocolates denge..Aur Ruhi se bola tha Mr and Mrs Raichand kehne ko.

Dev : Aapki Vidhi didi ne aisa kaha ?

All kids nodded their heads..

Dev looked Vidhi and Vidhi wasn't able to look at his captive eyes.

Dev : Bacchon sabko thank you..Yeh saare roses bahut beautiful hein kyunki yeh aap sabne bade pyaar se diye hein.

Dev and Vidhi collected all roses

Ruhi : Hamari chocolates kahan hein?

Vidhi; Abhi deti hun meri laado.

Vidhi took chocolates from the car and both Dev, Vidhi distributed chocolates.

When the kids were busy in having chocolates and playing Dev slowly held Vidhi's hand and took her to his Mom's room. He looked Shantanu's and Ganga's photos and smiled

Dev : Maa, Paapa dekhiye apni bahu ko..Kitna khayal rakhti hein yeh meri.

Vidhi: Aur nahi toh kya ? Patni hoon , ittu saa toh karna mera farz hein. Hey naa Maa, Paapa.

Dev smiled and looked Vidhi intensely.

Vidhi ; Paapa, Maa dekh rahe hein.

Dev : Toh dekhne do.

Vidhi smiled shyily and started running from there.Dev also started running behind her.

At a corner Dev held Vidhi's hand from behind and Vidhi said : Chodiye naa

Dev : Chodne ke liye dhaama nahi haath. Saath janmon tak romance karunga. Pati hoon, ittu saa toh karna mera farz hein.

He encircled his arms around her waist and blowed her hair . Vidhi shut her eyes and was able to sense his breath very closer towards her ear. He slightly kissed her earlobe and slowly he made her to turn her face infront of him.

Dev : Itna bada surprise Diya, mere subah kee shuruwat acche lamhon se karwaye, abb gift toh Dena Banta hein.

Vidhi ; Kaisa gift ?

Dev : Wahin gift , jisse dene kaa haq sirf Pati ko hota Hein. Tum nahi rok sakti mujhe woh pyaari gift Dene se Vidhi. Dher saara gift dunga abhi .

Vidhi: Par bacche !!!

Dev : Bacche khel rahe hain bahar. Rocky champion hey naa woh pehra lagayenge.

Vidhi: Aur hum !!!

Dev lifted Vidhi in his arms and smiled naughtily.

Dev : Mein tumhein gift dunga aur tum receive karti rehna, phir tum bhi mujhe gift dogi aur mein receive karunga.

Dev took Vidhi to a room.

Dev : Door bandh karo

Vidhi: Meri haath lock tak pahunchti nahi.

Dev slowly placed Vidhi in bed and locked the room.

Vidhi : Yeh secret kamra pehli baar dekh rahi hun.

Dev ; Iss kamre mein koyi aata nahi Vidhi..Tumhein pata hein bachpan mein Paapa Maa ke beech mein chaar saal kaa beta Dev yahin sota thaa.. Itna khaas hein yeh kamra.Kya pata kuch saal baad hamare beech mein bhi choti see Vidhi yaa Chote se Dev soyenge?

Vidhi shyily kept her palms at her face and smiled.

Dev sat beside her and removed her palms.

Dev : Gift receive karne kee tayyari Karo, bahut zyada dene waala hun.

Vidhi: Par

Dev kept his finger at her lips and kissed at her cheeks respectively.

Dev : Kaisa Raha yeh love gift ?

Vidhi: Ekdum dhaai. Abb meri baari hein.

Vidhi slightly kissed Dev's forehead.

Dev started kissing eyes, ears of Vidhi and slowly he rubbed his beard at her neck .

Vidhi : Mujhe gudgudi ho rahi hein.

Dev : Accha!! Toh aur hone do.

Dev did this again and again at her feets with his beard and kissed her feets..Like a kid he rolled his head over at her body and slowly both of them exchanged love gifts without bothering anything..

The End.

Geeta06 thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#7

Originally posted by: Revutty

Kaash iska aadh bhi episode mein hota... Kitna logical lag rha hai... But inhone to kabada kr diya yaar... Par aap ho na hamari taaranhaar... Thank you yaar thoda mood theek hua... Love you❤❤❤

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#8

Geeta, I watched the episode now. But I didn't feel the connectivity. Dekhte hein kya hota Hein, Thank you so much.

Fanzzz thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail 3rd Anniversary Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#9

Aaj ke episode ke baad Revu tumhara likhna hi Sahara hai behna... Bohot sundar...❤️

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#10

Haayee... ❤️❤️❤️

Kya bat hai Revu ❤️❤️❤️

Aik dum dil khush ho gya update parh k.. 😍😍

I really loved it..

Plz do write more amazing stuff about our king & queen ❤️❤️

Related Topics

Na Umra Ki Seema Ho Thumbnail

Posted by: Revutty

6 months ago

ViDev : Love beyond Everything (Two Shots - Shot One)

Dev folded his hands before Maa Milapini's idol. Dev's view Maa Milapini mein zyada puja paath toh nahi karta par Vidhi ke aane ke baad mein...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".