Dev grows restless with all his emotions jumbled up within him. He decides to pen down his feelings for Vidhi in form of a letter, knowing fully well that it can never ever reach her.
He writes "Dear Vidhi" on a paper, but immediately makes a frustrated face and tears and throws it away. He takes out another paper and instinctively writes "Pyaari Vidhi", but again irritatedly tears it and throws away the paper. He knows all too well that she is not his, and that she never will be, so how can he address her as "dear" or "pyaari". He hasn't even given himself the right to address her like this, even in a letter that she will never read.
He decides to write just "Vidhi", after all that's as close as he has come to calling her in real life as well, though he tries his best to stick to "Ms. Vidhi" to maintain a false sense of distance between them because his heart knows how close she really is to him. With all these thoughts running in his mind, he starts writing again-
"Vidhi,
Dear Vidhi ya Pyaari Vidhi likhna toh chahta thha, par woh haq khudko dene se darta hun......... Kyunki kahin agar anjaane mein mere kadam aage badh gaye toh main shayad peeche nahin hat paaunga......... "Kyun Sir?", yahi puchna chahti ho na? Kyunki tum ho hi itni alag, duniya se bilkul alag........ Ab shabdon mein kaise bataon ki kitni khaas ho tum........
Main jhoothi taareef nahin kar raha....... Bahut duniya dekhi hai maine, bahut logon se mila hun, par tum....... Tum jaisa koi mila hi nahin kabhi...... Itni maasum ho ki mere jokes ko bhi seriously leti ho.... Par phir kabhi kabhi itni gehri baatein itni saadgi se keh deti ho........ Yun toh chup-chaap rehti ho, par ek baar bolna shuru kiya toh kisiki majaal hai jo tumhe chup karaa sakey........ Upar se koi dekhe toh dari sehmi si rehti ho humesha, ek baar kuch zor se bol diya toh chehra utar jaata hai tumhara, par agar ek baar thhaan lo toh chahe kuch bhi ho jaaye peeche nahin hat tee....... Sorry aur Thank you tak ka hisab rakhne waali tum jaisi kahan koi hogi?
Itni saari khubian hai tum mein, par phir bhi itna sa bhi gumaan nahin tumhe....... Isse khaas bhala kya ho sakta hai kisi mein.......
Kitni bebaaki se tumne apne dil ki baat mere saamne rakh di........ Main toh dekhta hi reh gaya, kuch keh hi nahin paaya........ Sach kahun toh main hairaan thha tumhaari himmat pe, kyunki kayi dinon se woh himmat main khud nahin jutaa paa raha thha........ Aur acha hi hua jo himmat nahin jutaa saka main........ Warna shayad main khudko kabhi maaf nahin kar paata.......
Abhi tumhe sirf pyaar dikh raha hai, aur iss pyaar ke ehsaas mein haqiqat nahin dikhti....... Maine bhi kuch waqt ke liye haqiqat ko undekha karke socha tha tumse keh dun........ Keh dun ki mere liye tum kya ho, keh dun ke mera har khayal na jaane kyun tum taq mujhe kheench le jaata hai, keh dun ki tumhaari choti se choti baat ka mujhpar kya asar hota hai, keh dun ki tumhaari irritating harkatein bhi mujhe ab pyaari lagti hain......... Keh dun ki har baar jab tum apne dil ki baat tod marod kar mere saamne rakhti ho, toh bhale hi main saamne se rookha banta hun, par har baar mere dil ke kisi kone mein yeh khayal aata hai ki abhi tumse keh dun ki tum kya ho mere liye........
Par uss khayal ko har baar maarna padta hai, kyunki agar aisa nahin kiya maine toh jisse tum pyaar samajhti ho, woh shayad ek pal ke liye sukoon de jaaye tumhe, par phir uss pyaar ke saath saath aisa sailaab aayega jismein tumhaari poori zindagi tehes-nehes ho jayegi.........
24 saal ka faasla hai humaare beech...... 24 saal...... Yeh faasla bahut bada hai aur duniya ka koi pyaar isse tai nahin kar sakta......... Aur darta hun ki ek pal ke liye agar iss faasle ko tai kar bhi liya, toh aage chalkar kahin tumhe pachhtawa naa ho.......
Tumhaari umra sirf 21 ki hai abhi....... Dekha hi kya hai tumne zindagi mein....... Tumhare mann ki baat main samajhta hun, pehli baar agar koi humein support kare, guide kare toh uske liye kuch feel karna normal hai, ho jaata hai....... Tum uss din puchh rahi thhi na infatuation aur pyar mein kya farak hota hai........ Toh yeh jo tum feel karti ho mere liye yeh infatuation hai...... Yeh pyaar ho hi nahin sakta....... Aur agar pyar hua bhi toh aise pyaar ke raaste par main tumhe chalne nahin de sakta jahan aage chalkar bas dard ho tumhaare liye.........
Haan ab tum mujhse puchogi ki jo main feel karta hun tumhare liye, who kya hai - pyaar ya infatuation? Sach kahun toh pata nahin! Kyunki shayad abhi tak maine khudko kuch khulke feel karne ki ijaazat hi nahin di.......... Nahin de sakta main khud ko ijazat ki main tumhaare liye kuch bhi feel karun......... Kyunki iss rishte mein barbaadi ke siwa tumhe kuch nahin milega.........
Shayad tumhe aaj humaare beech yeh umra ka farak naa dikhe, par ye umra ka faasla waqt ke saath badhta jaayega, kam nahin hoga....... Main nahin chahta ki tum apni aadhi zindagi mera khayal rakhne mein bitaa do, aur baaki ki zindagi akelepan mein......... Main jaanta hun tum kya kahogi, "aap toh ekdum fit hain Sir"....... Haan hun, aaj hun, par kab tak reh paunga? 10 saal, 20 saal? Par kabhi toh zindagi ki raftar se haar hi jaunga na? Tab kya hoga? Socha hai? Maine socha hai, bahut socha hai........ Aur isiliye yahi sahi hai ki mere dil mein jo bhi hai, mere dil mein hi dafan rahe, humesha ke liye........