Jab Purvir ek dusre ki aankhon me gum the.
Vir: (sochte hue) ye manne ke ho raha hai.
Pur: (sochte hue) mukhi ji mere bare me kya sochte honge. Hamen is baat ko yahin khatam karna hoga.
Pur: hum aapke kapre nikal dete hai, aap badal lijiye.
Vir bed pe baithkar kurta nikalne ki koshish karta hai per peeth k chot se pareshan hai.
Pur dekhti hai aur wo vir ki madad karti hai.
Ghav dekhkar pur kahti hai,
Aapke peeth pe itni chot, kitna dard ho raha hoga. Aapne humen bataya kyu nhi.
Mukhi: kaise batata tanne? Mere sir ki choti si chot dekhkar tu itni bechain ho gai thi, ro rokar tune apni haalat kharab kar li thi.
Pur ne socha k ye sahi mauka hai apni naadani ko sahi karne ka.
Pur: aisa kuch nhi nahi hai. Hum itne bhi pareshan nahi the.
Mukhi: accha, to abhi kuch der pahle wo sab kya tha.
Pur: humne kaha na, ab aap jyada mat sochiye.
Ab mujhe lagta hai aap thik hai.
Aur kurta mukhi k haath me dekar wahan se jane lagti hai.
Tabhi mukhi pur ka haath pakadkar apni taraf khinchta hai, purvi uski godi me aa girti hai.
Pur: ye aap kya kar rahe hai, chodiye hamen.
Mukhi: bawri tu hai, mai bawla na hoon. Abhi jo to sareer aatma aur pata nhi kya kya bol rahi thi, ise pareshan hona nhi, ise kuch aur kahte hai.
Pur: humen lagta hai aapke sir k chot ne aapke dimag pe asar kiya hai.
Mukhi: matlab tujhe meri parwaah na hai.
Pur bina kuch bole vir ki godi se uthkar wahan se jane lagti hai tabhi vir apna ghutna (knee) bagal me rakhe table pe de marta hai aur karahne lagta hai.
Purvi daurti hui uske paas pahunchti hai aur zameen pe baithkar vir ka ghutna sahlane lagti hai.
Pur: dhyan kahan rahta hai aapka. Ek k baad ek chot.
Mukhi pur ka chehra uper karta hai aur kahta hai ab bol
Mukhi mukhiyain ko bahoon se pakadkar uthta hai. Dono aamne saamne khare hai.
Mukhi apne aur purvi k faasle ko kam karte hue behad kareeb aa jata hai. Purvi k haath apne ungaliyon se khel rahe the. Tabhi mukhi purvi k dono haathon ko pakadkar uske piche le jata hai aur purvi ko apne aur nazdeek le aata hai.
Pur ko ghabrahat to ho rahi hai per ushe accha bhi lag raha hai. Ye ek aisa ehsaas tha jo ushe pahli baar hua. Wo samjh nhi paa rahi thi ki wo ab kya kare. Jaise mukhi k aage usne apne aapko samarpit kar diya ho.
Mukhi ne abhi bhi pur ka haath pakda hua tha. Wo pur ki taraf badh raha tha. Pur apne kadam piche le rahi thi. Dono wahan rukte the jahan dressing table tha.
Mukhi pur ka haath chodta hai aur use kamar se pakarkar table pe baithata hai.
Pur ne bhi apne dono haath se vir k kandhe ko pakad liya.
Mukhi pur ki taraf thoda jhuk kar apne dono haathon ko pur k agal bagal rakh deta hai jisse pur bhag na jaye. Pur ki aankhen jhuki hui hai.
Mukhi: ib bol
Pur: (himmat karte hue) kya
Mukhi: chal chod, tu na bolti to mai bolta hoon.
Purvi ki ghabrahat uske chehre pe saaf dikh rahi thi. Pata nhi mukhi ji kya bolenge.
Mukhi: pata nahi tu vishwash karegi k nahi, manne na pata, per jab mera accident hua to mujhe sirf teri yaad aayi. Sirf tera chehra meri aankhon k aage aaya. Tere saath bitaya hua her wo suhana pal mujhe yaad aaya. Mujhe to ye bhi laga k tu mera parivaar sambhal legi, mujhe kuch hua to.
Purvi ne apne haathon se mukhi k hothon ko band kiya aur use bich me roka. Mukhi ne pur ka haath hatate hue kaha
Meri baat abhi puri na hui hai.
Mai nahi janta yo sab ke hai. Per jab mai tere saath hota hoon mai mai nahi hota. Mai wo kahta hoon jo tu sunna chahti hai, wo karta hoon jisse tu khus hoti hai. Aur teri khusi dekhkar mai khus hota hoon. Tu mere paas hoti hai to lagta hai bas ab tu hai aur mai hoon. Tanne dekhta hoon to baki sab bhool jata hoon, kisi aur ki sudh nhi rahti manne. Tu manne acchi lagne lagi hai, baawri.
Purvi ka chehra sarm se laal ho chuka tha.
Mukhi ko thodi shaitani sujhi.
Wo jhat se pur se thoda door ho gaya aur kaha k tanne to meri parwaah na hai na. Tujhe kya fark padta hai k mai tere liye kya sochta hoon.
Purvi: aisa nahi hai, hamen aapki bahut chinta rahti hai. Jis tarah se aapne her kadam pe hamara saath diya, hamen hamesha se aisa pati chahiye tha. Hum bhi aapko bahut pasand karte hai, mujhi ji.
Purvi ne apni baat ek saans me kah dali.
Mukhi pur ko dekhta hai aur apne dono haath ko piche karte hue apna sir uncha karke ek winning smile di.
Purvi samajh jati hai ki mukhi ne badmashi ki hai,. Wo sarmate hue wahan se jane lagti hai. Tabhi mukhi pur ka raasta rokkar khada ho jata hai. Wo pur ka chehra apne haath me lekar uska maatha chumta hai. Then they hug each other tightly.
End
Umeed hai pasand aaiga