Hey all so i m bck with the continuation of our story.
From next time this story will be posted as Frienship first hamesha.. as its all about mjht therefore this name change. 😊
here we go with part 2
Samrat aapni table se photo frame pick karta hai...jisme samrat,Gunjan,Mayank n Nupur ka pic hai n continues....
Samrat:Kyun? "mayank...hum phir se wahi jazbaat,pyaar,ehsaas kyun nahi jee sakte",ab bhi hum waise hi mehsoos karte hain bhale hi ek dusre se bata nahi pate.
(pause)samrat ko lagne laga ki shayad mayank kahin na kahin guzre kal ki yaadoin ki warmth se melt ho raha tha..jo usne ek word bhi abhi tak samrat se nahi kaha,
to samrat is koshish me lag jata hai ki yahi sahi wqat hai jab mayank ko convience kiya ja sakta hai...ki wo udas,gum me saas leti hui chashmish to wapis hasti khilkhilati Samrat ki Chashmish, zindagi to jeene ki chahat rakhne wali
Gunjan me badalme meri help karega.
samrat dheere se table ke pass khade mayank ke pass jata hai..aur mayank ke shoulder par apna haath rakhta hai...jaise ki keh raha ho...
ki main tumhara har dard,taklif aur khamoshi ko samjh sakta hun.mayank turn karta hai..aur uske chere par ek shikan ek shikayat thi ki,jo 3 saalon phele hua
wo hua to kyun hua....kyun maine itne ache dost ko kho diya ...kyun apni zindagi apni nupur ko kho diya...jo ki samrat sab samjh raha tha ki mayank ke dil me kya sawal uth rahe hain.
Mayank ko tasali dete hue Samrat aur bhi Setimental ho jata hai(jo ki baatoin baatoin)me dono phele hi senti ho chuke the.
aur samrat kehta hai...
Samrat:Main maanta hun ki jo hua usse main badal nahi sakta aur aj tak...uska regret bhi hai meri wajhse3 zindagiyaan..(he goes into a pause)
par mayank ek baar meri bhi baat sun lo phir tumhara jo bhi decision hoga muzhe manzur hoga.
(Mayank jo ki phele hi samrat ki baat aj pheli baar sunna chahata tha...(he nodded his head politly)
N Samrat proceeds...his talk..
Samrat:In 3 saalon me maine aapne aap ko bahut blame kiya hai, jo tumhare saath huaus ke liye aur jo Gunjan ke saath hua uske liye bhi...Par tum ne jo kiya wo bhi to sahi nahi tha na ...
muzhe bina bataye meri life se aisea chale gaye jaise kabhi mere life ka hisa hi nahi the...Aur chashmish wo to meri "ring" bhi mom ke pass chod gayi, bina kuch sune aur bina kuch bataye.
aur aj jab tum muzhe mile ho to....
Samrat aapni shikayat me itna involve ho jata hai ki usse mehsoos hi nhai hota ki uska aim kya tha aur wo kis direction me ja raha tha.
Suddenly usse lagta hai ki wo aapne aim se mislead ho raha hai(aapni direction change karte hue samrat...agar kehta hai)
pata hai mayank in 3 saalon me muzhe sirf isi baat ka dukh tha ki main tum dono ke saath tumhara dukh,dard share nahi kar paya.
aur ek intazaar me tha ki chashmish ki life me phir se wahi khushiyan,muskurahat wapas la sakun jo us ne mere wajh se kahin kho diye the
main uske aakhon me wahi...raunak le aun jo meri chashmish ki aakhon me hua karti thi.usse phir se khul kar zindagi jeena sikha dun....uska har gum,har aason usse chura lun..aur usse phele jaisi Chashmish bana dun(smiles)
Aur aj muzhe ye mauka mila hai Mayank...plzz isse miss mat hone do..kya tum nahi cahte ki chashmish phir se apni life hasti hui jeeye bilkul phele ki tarha?
Mayank ko pheli baar laga ki samrat ki aakhon me sachai hai...aur wo dil se chata hai ki Gunjan aapni life ko ek mauka aur de....(he smiles)jaise keh raha ho ki haan main bhi tumhare is imtihaan me tumhare saath hun.
Mayank:"Haan samrat chahta to main bhi yahi hun ki Gunjan aapni life ko phir se track par lane ki koshish kare...aur purani yaadoin ko bhul kar aage badhe"
Samrat ko to jaise koi khazana mil gaya ho ....jiske milne ki khushi wo bayan nahi kar paa raha tha...aakhon me ek chamak....n suddenly he says
Samrat:sach mayank kya tum mera saath do ge?bolo
Myank:Haan samrat!
Samrat:"Sach mayank"?
Mayank:"Haan samrat",agar nupur hoti to wo bhi wahi karti...hai na?maine to ussi ke kushi me apni khushi ko dekhta hun..aj bhi..Nupur gunjan ko is haal me dekh kar dukhi to hoti hogi na...
aur main dil se chahta hun ki gunjan aapni life me aage badhe..sab kuch bhul kar....phir main aapni Nupur ko dukhi nahi dekh sakta...so main tumhara saath dunga(Smilies).
Samrat itna khush ho jata hai ki excitment me wo mayank ko apne gale se laga leta hai aur uska thanks karta hai....(Mayank again gives a sweet smile)
Samrat:(ek naye josh ke saath...)ab dekhna mayank main kaise gumsum si,chup si Gunjan Bhushan ko....apni pyaari si sweet si Chashmish me convert karta hun...!!
Mayank ab samrat se jane ki permission leta hai....aur wahan se chala jata hai.
Samrat....me jaise phir se jaan aa gayi ho(bg me mjht titletrack ka music play hota hai)...n he says
Samrat:Hun dekhna Makhnaji!!...kaise Samarjeet Singh Chaddha..tuhadi life me life le kar aanda hai...bas dekhde jao ji...suddenly samarjeet singh's ton changes to Samrat's tone "tum kaise aapni zindagi se phir pyaar karne lagogi ye tumhe bhi pata nahi chalega"..(Smiles).
part 3
Next day college me Samarjeet Singhji apne room me(Rohan,ria N shukla sir)ko apna agla plan batate hain...ki agge kya karna hai aur kaise karna hai..
itne me Ash wahan aati hai..kuch kaam se ...lekin bas usse dekh kar achanka chup ho jate hain...ki kahin usne humare plan to nahi sun liya ...kyunki Ash bahut gusse me Trustee Sir ke room me enter hui thi.
Phir,,,Samarjeet ji ria ki tarf dekhte hue ria se kehte hain ...
Samarjeet:Ohh..putterji!!
Ria:Yes Sir!
Samarjeet:eenj karo ja ke zara Professor Mayank aur Gunjan Makhanaji ko mere office me bula kar le kar aao.jaldi jao!
Ria bahar ki tarf rush karti hai aur dono ko bulane ke liye chali jati hai.
shukla Sir bhi wahan se kuch kaam ke bahane chale jate hain.
Samarjeet Ash ko dekh kar ye jaane ki koshish karte hain ki wo itne ajeeb behaviour ke saath yahan kya kar rahi hai...?
Ash putterji!!ki hoya tussi ene jaldi wich kito aa rahe ho ???
Ash jo ki trustee ke room me itne sare logon ko dekh kar thodi si shant ho ho jati hai ki kahin unhe mere (Ash)ke yahan aane ka reason na pata chal jaye.
Ash:Wo Sir!!Bas kuch nahi wo actually main aapse ye puchne aayi thi ki "Samrat Sir kahan hain aj kal college nahi aate hain"...!
Itne me rohan ko thoda ajeeb sa lagta hai....n he asks Ash..
Rohan:kyun Ash aj kal tum Samrat sir ke bare me bahut puchtash kar rahi ho...kal bhi tumhe main Sir ke bare me investigation karte huye dekha tha.
wahan Samrat ke expression kuch aise change ho rahe the jaise...rohan usse tease karne ki koshish kar raha ho...kyunki ash se baat karte karte wo simultaniously samrat ke tarf kuch teasy tarike se dekh jo raha tha
aur jaise samrat Rohan ko aakhon hi aakhon me keh raha ho ki"Tum tumhari investigation...aur Postmortum to main karunga zara...dekh te jao"
Itne me Mayank,Gunjan n Ria room me enter karte hain...to ash gunjan ko wahan dekte hi thoda sa concious ho kar answer karti hai...
Ash:Wo Nahi Rohan actually muzhe na Sir se thoda sa kaam hai..to main Sir ke bare me Samarjeet sir se puch ne aa gayi...(Samrat sochne laga ki ash ko muzhe se kya kaam ho sakta hai,kahin usko sach me humare paln ke bare me pata to nahi chal gaya)
N then he answers ...
Samarjeet:Ash putterji!!ohh..Trusteeji kuch dina layi kisse kaam vaaste gaye ne ...ohji tahi ta main eethe hai gaji!!(Starts laughing)
(Gunjan wonders ki trustee se Ash ko kya kaam hai.....she asks ash )
Gunjan:kya baat hai ash tumhe aisa kya kaam hai?jo tum trustee Sir ko puch rahi ho...aur kya wo kaam samarjeet Sir nahi kar sakte...kyunki ab yahi to hain yahan ke trustee(smiles)
Ash:Wo Di!...Wo main..Wo...!
Itne me mayank gunjan n ash ki baation me inturrpt karta hai,kyunki usse dar hai ki kahin baatoin me Samrat ka naam samne aaya to bahut badi gadbad ho jayegi....jisse sitution ko sambhalna bahut mushkil ho jayega)
Mayank:sir!!ye sab hum baad me dekhenge phele aap bataiye ki aapne humein yahan kyun bulaya...kuch kaam tha kya??
Ash ko to jaise mayank ki inturrption se rahat ki saans mili ho..."ufff"
Samarjeet:Ohh..dekho ji gal eh haigi eh ke....aj sham mere ghar party haigi eh ji!
(mayank,Ash N Gunjan)ek saath ek tone me bolte hain !!Party!!
Samarjeet:Hain ji!!Party!
Mayank thoda sa shocked ho kar sochne lagta hai ki "ye achanak samrat hoho kya gaya..? ab ye party ka kya chakar hai)
Gunjan bhi ye thoda sa shant awaz me puchti hai sir party kis kushi me?
Ash:Bhi apni Di ke tarha jana chahti hai kis khush me?
Ash:Wow!!!Party!par kis khushi me sir??
samarjeet thoda sa low voice me sabko batata hai ki party kyun rakhi gayi hai.
Samarjeet:Gal ye hai ji, ki aj meri te Harbeer kaur ji ki "Anniversry" hai ji!....Aj ke din maine Harbeer Kaur ji ko pheli baar dekha tha ji...aur maine apna dil unna nu de dita si
(Smilies...apni chashmish ko pheli baar milne wali scene yaad karte hue)jab wo dono
aur same happens with Gunjan...usse bhi apni pheli mulakat samrat se jo ki pool party me hui thi yaad aati hai.samrat(samarjeet)ke aakhein gunjan par tik jati hain..aur uske chehre par aayi us pal bhar ki chamak ko dekhti hain...
jo usne kabhi saalon phele dekhi thi..aur Mayank in dono ko dekh raha hai....aur rohan n ria bhi...!!
Aur Ash samrat ki yaadon me kho jati hai...!
(Rohan...samrat ka dhayan gunjan se hatane ke liye kehta hai)
Rohan:Sir Party plans kya hain!!..(sab aapne apne khayalon se bahar aate hain.
Samrat:Haanji! te us din to baad main har saal bade chaw naal celebrate karda haain....par is waar ta koi apna hai hi nahi jis naal celebrate karun..(aur samarjeet ji Rohan ki tarf dekhte hain ki wo apna
dialouge bolega par...Rohan to ash ko dekhne me busy hua pada tha...jisko samrat ke instructions ka kuch khayal nahi raha)
aur samarjeet ji Rohan ko badi thiki awaz me awaz dete hain...!
Samarjeet:ohh...putter Rohan...tu.(Rohan ka dhayan tuta)ki tabhi us laga ki mere dialouge bolne ki bari hai..)
Rohan:Sir!!Hum hain na infact hum sab aapke apne hi to hain!!
Samarjeet:Ohh!!Haanji haan...hun tusi sare hi ta ho meri Family...oh ji!!Te phir gal paki hai ji ....tusi sariya ne mere ghar party te aj shaam nu aana hai ji!!
Gunjan:Par sir! Hum sab...!!
(Mayank inturrpts karta hai)
Mayank: Sir!!!Muzhe aapse bahut zaruri baat karni hai...ek Minute!!
(Room se bahar jate hue mayank asks samrat)
Mayank:"Ab ye kya naya Dramma hai samrat"?? ab kaunsa plan bana rahe ho...
Samrat:daro mat Mayank main jo bhi kar rahan hun bahut soch samjhkar kar raha hun...main is baar koi galti nahi karna chahta...jisse chashmish ko aur chot pahunche.
Mayank lekin samrat Gunjan ko tumhara sach pata chal gaya to phir, tum jante ho na...kya hoga..aur main nahi chahta ki phir hum dono
ko situation sambhalna mushkil ho jaye....tumhe pata bhi hai tum kya karne ja rahe ho...(samrat mayank ki baat kate hue)
Samrat:muzhe pata hai mayank...is baar main tumhe aur na Chashmish ko disspoint nahi karunga...Don't worry...!!!
Mayank:lekin Samrat..!
Samrat:Mayank jaldi andar chalo nahi to gunjan ko aj sab kuch zarur pata chal jayega...plzz Mayank...muzh par bahrosa rahko plzz!!
(and dono andar jate hain)
Samarjeet(Samrat):lao gi sab Final ho gaya hun tusi sare ...aj sham nu mere ghar aa rahe ho...kyun Makhna ji!!
Gunjan:(Thoda sa pause dene ke baad)muskurakar!! Ji Sir!!
(Aur sab apne apne kaam ke liye nikal jate hain....Sivaye Rohan ke,Samrat usse kehta hai)
Samrat:"kyun Rohan kya chal raha tha...bahut uchal rahe the Ash ke samne"..??(Rohan apne defense me kehta hai)
Rohan:Nahi Sir !!Main to Ash ka Temper(Gussa)cool kar raha tha...(samrat...ek halka sa clap rohan ho marte hue kehta hai)
Samrat:"ash ka temper(Gussa)Cool kar rhae the ya mera Temper Badha rahe the"?...agar kahin kuch gadbad ho jati to...Gunjan, ya Ash ko shak ho jata to
Rohan:Sir!!aise kaise dout ho jata ....rohan ke hote hue aisa kabhi nahi hoaga...(Samratdheemi si voice me)
Samrat:"Tu ho isiliye to zayada tension hai...!!Okkiee...Rohan now get back to work!!
Dono saath milkar bolte hain"Mission Party"!!