HELLO INDIA-FORUMS MEMBERS
How are you all..hope life is rocking….
I was wondering why this happens in real life…and forum life too..
Jo hamara dost hota hai aur koi hamari family mein se hota hai..
Jaane woh ruth hum se kyu jaata hai…
Is all this words just words?????
Hum unhi se ladte hai jisse hum pyaar karte hai…
Hum unhi ko daante hai jinhe hum apna samajhte hai
A enemy will agree with you but a friend will argue…
So I want to ask you all does this words have any real effect..
Hum Tumhe Apna Samajh Kar Kuch Keh Gaye,
Aur Tumne Humein Paraya Samajhkar Humse Rooth Gaye,
Haste Khelte Ek Pariwaar Se Hum Yaha Ban Gaye,
Jaane Kis Wajah Se Hum Ek Dujhe Aaj Ruth Gaye…
Lagta Hai Hamare Rishte Ko Kisi Ki Nazar Lag Gai,
Aap Ke Chehre Se Jaane Aaj Woh Khushi Kyu Hat Gai,
Kabhi Jo Aapka Saath Naho To Darr Sa Lagta Hai,
Gulab Bhi Hamein Aaj Kaanta Sa Lagta Hai…..
Khata Agar Humse Hogayi To Khafa Tum Na Hona,
Apni Dosti Ko Is Bheed Mein Tum Kahi Na Khona,
Ajao Tum Ab Aur Bhi Dil Na Dukhao Tum Hamara,
Baahe Pehlakar Ab Kar Rahe Hai Intezaar Tumhara…
So can you all give us solutions how to console a person(s)
who is upset with some one..??
Kya Dosti Ke Rishte Ko Kabhi Nazar Lagti Hai??
Waiting to see your opinions and solutions coz you can be
a reason for bringing smile on someones face…