Kapde dhoye tide se aur dil pe lagaya godrej dye:D - Page 3

Created

Last reply

Replies

28

Views

2.4k

Users

18

Likes

77

Frequent Posters

joesone thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#21
Priya pyaare lal Ji... Aapki tippani pad kar hamein bahut anand hua...bhayyaji hamare itne lazy hain ki Khud ga dimaag bhi use nahi karte( i doubt if he has one)... aur khud ke chotte bhaiyya ko copy karne chale aur usme bhi fail hogaye... Bhayyaji ko kaun bataye ki kuch cheese kihne special logon par hi acche lagte hain.. Copy karne ki liye bhi talent chayiye... Kaun samjhaye bechare bhayyaji ko...
MG_Love thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#22
Awosum post pyaare_laal..Agree with u..👍🏼
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#23

Originally posted by: joesone

Priya pyaare lal Ji... Aapki tippani pad kar hamein bahut anand hua...bhayyaji hamare itne lazy hain ki Khud ga dimaag bhi use nahi karte( i doubt if he has one)... aur khud ke chotte bhaiyya ko copy karne chale aur usme bhi fail hogaye... Bhayyaji ko kaun bataye ki kuch cheese kihne special logon par hi acche lagte hain.. Copy karne ki liye bhi talent chayiye... Kaun samjhaye bechare bhayyaji ko...

Meri tippani padke aapko anand huwe isse jyaada khushi ki baat humare liyeh aur kya. Coming to Bhrashtbuddhi Bhratashri weh roz roz naye naye kriya se humein hasya pradan karte rehte hain, ab toh unhone expressions ki chori bhi aarambh kar li. Sahi kaha bechare bhratashri ko kisi ne sadbuddhi nahi di, budhe kakashri dikhne mein toh kaafi mature pratit hote hain par unhone bhi bhrashtbuddhi ko kuch nahi sikhaya!
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#24

Originally posted by: RohiDDan4ever

<font color="#FF0000">Awosum post pyaare_laal..Agree with u..👍🏼</font>

Thank you very much.
leelaa9 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#25

Originally posted by: pyaare_laal

'Kaapde hain safed magar dil hai Kaala'- I dedicate this line to our very own bhratashri.'Khoon mein kameenapan' what an excuse to all his neech karams! Jis baap ko usne kabhi dekha nahi , dekhna to dur abhi tak sure bhi nahi ki wohi MK aur Meera ka baccha hai , kameenapan use uss aadmi se mila! Bhratashri kuch suryoday aur suryast ki baat kar rahe the, Kya unhe nazaron k luft uthane ,kuch dialogues sunane, aur apna newly invented or rather say copied smirk dikhane k liyeh saathi nahi mila jo RK ko bulwa liya. Yeh sab chodiye aapko yaad hoga k gadi todne k paschat bhratashri ne jo ek prem patra RK k liyeh choda tha usme unhone apne aap ko suraj kaha tha toh kya hum unke suryast dialogue ka yeh matlab nikalein ki bhratashri ka aast nikat hai. Bhratashri ka uss table (ya jo bhi tha) se kudna aur unka uss 'vinaash' wale hoarding par do goliyan barsana bhi koi impression nahi jama paaya balki humein to woh scenes atyant hasyajanak pratit huwe. Aur precap mein toh bhratashri ki irshya saaf jhalak rahi thi iske baad bhi koi unki prashansa kare ya unki harkaton ka samarthan kare to manna padega ki bhratashri type log real mein bhi exist karte hain.Note: apni tippani se sabko pareshaan karne k liyeh chamaprarthi hain. Dhanyawaad. Note 2 : yeh ho kya raha hai? Humne sirf do comment kiye hain aur bataya jaa raha hai ki 24 ghante se pehle hum aur tippani nahi de sakte isi karan hum aap sabko dhanyawaad avam uttar nahi de pa rahe. Hum chama chahenge.

Kapde dhoye tide se aur dil pe lagaya godrej dye:D

Awesome post.👏
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#26

Originally posted by: leelaa9

<h1><font size="2">Kapde dhoye tide se aur dil pe lagaya godrej dye:D</font></h1>Awesome post.👏

Dhanyawaad ji.
Shazzie thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#27
Kya baat hain pyaareji! Ati uttam post banayi aapne aur bade hi sahi vichaar likhe. Bhai ka dimaag aur yaadasht dono kamzor hain. Saara dimaag ghutne main hain na! Khud ko suraj bol ke khud hi ko ast karne aaya hain! Hamein toh bhai ki neeyat par bhi bahut bada shaq hain! Kaise tadap ke intezaar kar raha tha RK ka! Hamein lagta hain ki sultan ki nazar RK par hain, madhu par nahi! Bichaara RK! Ek Anar aur 100 bimaar!
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#28

Originally posted by: Shazzie

Aapne humari tippani k uttam mana iss k liyeh sahridaya dhanyawaad . ROFL! Bhratashri ki neeyat par to humein bhi viswaas nahi! Aur hope bhrashtbuddhi(Sullu) ka aast ati shighra ho jaye.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#29

Originally posted by: masan1

Pranam pyaare ji, aapki smaran Shakti to atyant ujjwal hai,hmm to kya hum man sakte hai Ki suryast nikat hai.

Aapko bhi Pranam ji , pata nahi hum jab bhi aapko uttar dene jate hain kuch gadbad hoti hai aur uttar post hi nahi hota isi karan aapko reply karne mein thoda vilambh ho gayi, chama chahenge. Aur haan shayad humein maan hi lena chahiye ki bhratashri apne hi doobne ki baat kar rahe the.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".