Hello guys.... dekhiye main phir wapas aagayi with my analysis on 22nd june episode of LRL.... episode overall was a very good one..... Rajveer was there in the show yesterday aur sachchi kal ke LRL episode ko tho chaar chand lag gaye..... things started moving smoothly...... kal ka LRL dekh kar tho jee khush ho gaya... kal ke episode mein Rajveer ko dekhkar tho aisa laga kii jaan mein jaan aagayi... i was too over-whelmed to see Rajveer woh bhii sahii salamat.... warna mujhko tho darr lag raha tha kii kahiin Rajveer ko kuch hua na ho..... me tho ab total happy.... ab me coming to my detailed analysis on kal ka epidode... tho kal episode starts from there jahaan Naina , Huda , Ali & Pooja are waiting for the man in the car to get down... who is supposed to be the asli boss.... lekin they do not show his face... well this is the tactic used by all the serial makers.. suspense badane ke liye woh kabhi villian ka chehra nahii dikhathe... villan ko tho ek hii baar dikhayenge.. aur us ek baar mein hii humare hero jee yaani kii Rajveer usko khatam kar dalenge.... haha.. Navin kii awaaz background mein aathi rehthi hai kii jung mein sabse zyada khatarnak woh hotha hai joh kabhi dikhtha nahii.. well yeh poori tarah se sahii hai... jung mein hamesha humko yeh patah hona chahiye kii hum kiss se lad rahe hai aur kiss ke liye lad rahe hai... lekin agar dushman ke chehre par nakaab ka mukhota laga hua ho tho hum kabhi jaan nahii sakthe kii kaun dost hai aur kaun dushman....Navin ke baaton ka yeh bhii matlab ho saktha hai kii shayad koi dost ke roop mein unke beech koi dushman chupa ho.... ab woh aadmi leaves the place..& as expected uska tho chehra nahii dikhaya.... Naina wants to go and see kii woh aadmi kaun hai... well Naina has to understand kii agar woh aisa karegi tho woh apne saath saath apne saare dosto ko bhi mushkhil mein dalegi.. lekin dekha jaye tho Naina kii restlessness bhi sahii hai.. kyunke uske liye sabse zyada zaroori is to know kii Navin ke maut ka zimedaar kaun hai... Pooja ka stopping Naina..yeh achcha hai.. kyunke Pooja , Ali & Huda know kii if Naina goes woh kitni badi musibat mein phas sakthi hai... yahaan thak kii Naina apni jaan bhi gawa sakthi thi agar Pooja ne usko rokha nahii hotha tho... now that man jaathe jaathe drops a bomb... aur chala jaatha hai... Ali , Pooja ,Naina & Huda starts running inside... woh log yeh jaanthe bhii nahii kii kya Rajveer andar hai ya bhi nahi... un charo ke dil mein ek hii thought hai kii they have to find out Rajveer whereabouts & save him... unka wohii ke lakshya hai.. aur us lakshya ko paane ke liye woh apne jaan ko jhokim mein daal rahii hai... in chaaro ka jazba shows kii un logon ke Rajveer un sab ke liye kitni emiyat rakhtha hai...aur un sab mein yeh himmat aur yeh jabza hai uski wajah bhii Rajveer hii hai jisne hamesha cadets ko ladna sikhaya... problems se bhaagna nahii.... aur yeh cadets us pariksha mein khare utre hai... this shows Rajveer kitna achcha teacher hai.....
then the next scene of Ud & Neelu.. their scene was a necessity.. kyunke it was high-time Ud ko Alekh kii begunayi patah chal jaathi... this scene showed Neelu kii concern she has for Alekh....is scene mein Neelu ke ankhon mein Alekh ke liye pyaar tha... & mujhko is scene mein Ud par thoda ghussa aaya...par woh ek bhai ke tarah react kar raha hai... that is right absolutely right...achcha hua kii Neelu ne waqt rehthe hii Ud kii saari ghalatfaimiyaan about Alekh durr kar di... kyunke Ud aur Alekh ke is misunderstanding ke chakkar mein uska adverse effect inki achchi-khassi dosti par ho raha tha... tho this scene was a compulsory necessity... warna najaane Ud ke ghalatfaimi ke rehthe aur kitna sehna padtha Alekh ko...
next scene... yahaan Huda , Ali , Pooja & Naina are shown carrying Rajveer outside... jab maine woh scene dekha tho meri jaan atak gayi thi for a second.... kyunke they showed Rajveer tied up aur uska chehra bhii nahii dikha rahe the.... i was seriously praying kii Rajveer ko kuch na hua ho... then wahaan blast hua..& Rajveer is shown.. yippee.... me tho was shouting ghar par... mere dil ko chaine mila seeing Rajveer fit & fine... Rajveer ka sabko thank karna..shows kii he knows pretty well kii he would have lost his life by now agar yeh cadets aakar usse correct time pe nahii bachathe... is scene mein Rajveer ke aankhon mein ek tarah kii proud feeling bhii thi kii uske cadets ne uski jaan bachayi.. he is proud of his cadets yeh baat uski aankhon mein dikh gaya... ab next Rajveer & Naina ke beech tho koi baat nahii hui lekin unke beech kii khamoshi ne sab kuch darsha diya.... their looking at each other.... but not speaking... well dekha jaye tho Rajveer aur Naina ke beech koi baat kii zaroorat hii nahii thi... the kind off rishtha Rajveer & Naina have started from the start us rishthe mein koi explanation kii tho koi zaroorat hii nahii hai... & Naina ke aankhon mein there was a guilty & sorry feeling aur Rajveer bhii woh samaj gaya... tho Rajveer aur Naina ke beech feelings need not be put is in words... Rajveer ka making fun of the four of them saying kii un logon ne permission tho le liya na bahar aane ko... ab un chaaro ka kind off suprise hona aur Rajveer ka kehna kii woh mazaak kar raha tha... this was really very sweet... me happy kii Rajveer is back to his old-self..... he is trying to make the cadets ease the tension joh abhi kuch time pehle they have faced...... bohat achcha laga mujhko seeing Rajveer ko hasthe ho... warna tho meri aankhein taras gayi thi to see his genuine smile... ab Rajveer ke hasi mein yeh genuiness hai kyunke he knows kii Naina no longer holds any grudge aganist him....
ab Ud ka coming to meet Alekh in the cafe... he wants to tell something lekin keh nahii patah.. aur he enquires about Naina & others & leaves.... Ud ke chehre pe saaf jhalak raha tha kii how apologetic he is.... aur phir Alekh bhii yeh baat samaj gaya aur kehtha hai nautanki... how cute....this shows dosto ki dosti agar chahiye tho bhool jaana is the best policy... dosto kii chotti chotti ghalthiyo ko nazar-andaaz kar dena chahiye.... then the scene in Rohit ka ghar... was very nice...Rajveer used his brains.. he is too smart.... so very intelligent too good... usne apni hii nahii balki un chaaro ko bhii bachana... & saying kii it is a trap for them... i loved it completely.....aur Rajveer ka kehna kii ab they have to find the red box at any cost to prove Navin innocent... aur phir sabki kii aankhon mein ladne ka jazba tha... all their eyes where filled with determination... un sabki nazar mein unki ek hii manzil thi..aur woh thi unki jeet.... awesome... amazing.....
next scene in the cafe... woh Major. Nair ka... mujhko ek baat samaj nahii aathi hai... kii Major kii problem kya hai... pehli baat tho woh girl cadets ko pasand nahii kartha , hamesha achche logon se panga letha rehtha hai.. you know kabhi kabhi tho Major.Nair ko dekhkar mujhko aisa lagtha hai jaisa in other saas-bahu soaps there is a villian in hero or heroine's house....waise hii Nair is the villian in KMA...woh kehthe hai na ghar ka bhedi lanka dhaye... wohii Nair is doing by making all good people aganist him... he is failing to understand kii agar woh sabke saath achche se rahega , sakthi nahii bartega tho cadets bhii will listen to him... & example for this is Rajveer...Rajveer is so good & supportive with the cadets that the cadets listen to him without any protest... Nair should surely learn this from Rajveer... bechare Alekh ko itna tadpaya Major.Nair ne.. i was feeling so bad for him... ab Ud coming & helping Alekh... this scene was too good... Major.Nair ko jab Ud helped Alekh tab patah chala hoga kii he can never break unki dosti.... Ud ne ek sachche dost kii tarah Alekh ka saath diya...not caring for the punishment..yeh hui na baat.... ab Major.Nair ko is baat se chid hui & he starts being rude to Ud... i don't understand seriously kii what is Major.Nair kii problem.... then Major asking Ud about the four cadets... & Ud ka kehna kii woh game room mein hai... aur Major ka Ud ko warn karna.. kii agar woh log game room mein na hue tho usko saari duniyaan ulti dikhayi degi... uff... Major ka aisa attitude gets on my nerves... patah nahii kyun jab dekho in 6 cadets ke peeche pada hotha hai...haan may be Major.Nair is always after the 6 cadets kyunke they are the main cast of cadets..hahaha...lekin ek baat tho hai Major.Nair{i don't know his real name} is playing the role is very well... a typical villian.....
ab Major.Nair going to the game room jab he was going i was getting dam scared kii patah nahii kya hoga... mera dil tho bade zorro se dhadhak raha tha...... i was just getting worried about Ud ki haalat agar woh log games room mein na hue tho...... then Major.Nair ko jhatka milna when he sees the cadets playing carrom-board with Rajveer... Major.Nair might have surely thought gaya punishment dena ka chance haath se... Rajveer ka replying to Major.Nair.. in a way that was very challenging... Rajveer's expression was like mere rehtha aap in cadets ka kuch bhi bhighaad nahii sakthe...simply zabardast... ab Major.Nair leaves in huff... Navin ke awaaz mein background dialogue ka aana kii yahii fark hai Rajveer aur Abhimanyu mein.... Rajveer ke pass mission & he has a army to do it.... well is baat pe i would like to say kii humko sabhi bhi yeh baat bhool ni nahii chahiye kii Rajveer ne joh in 6 cadets ko apne saath milakar apni mission ke liye army banayi hai... woh usne khud banayi hai.... there were many differences between Rajveer & these cadets too... whether it was starting mein differences between Huda & Rajveer or Ali & Rajveer or Alekh & Rajveer ya Naina & Rajveer... all did have differences lekin.... bas ab baat itni hai kii they have put their differences far away behind them & all are working together as a team for the sucess of their mission..... then navin ka kehna kii Abhimanyu has to understand all this & then he will also have what Rajveer has... hmm.. yes.. this is right... Abhimanyu is new there.. usko cadets ko samaj ne mein... aur cadets to usko jannne mein waqt tho lagega hii... tho all that counts is patience...
then Rajveer & Abhimanyu ka scene... this scene showed kii Rajveer kitna determined hai to prove Navin is innocent... Rajveer ke baaton se aise lag raha tha chahe uski jaan bhii chale kyun na jaye woh Navin ko beguna tho sabit karke hii dum lega.... Rajveer ne taan li hai kii is baar kissi bhi haalat mein aar ya paar hokar hii rahega.... i love Rajveer kii yeh fighting spirit... kabhi haar nahii maantha... chahe jitni bhii mushkhile kyun na aajaye lekin he follows he sachcha soldiers principle " uth khada ho agge bad"... & that is commendable....
ab phir the last scene... Rajveer ka soch mein dhube rehna... phir ek red box ka uske kamre mein rehna... aur ab Navin kii voice mein yeh aana kii Rajveer pe aaj do fatal attacks ho chuke hai.. kahiin yeh bhii tho unke dushmano kii koi chaal tho nahii....hmm...is baat kii tho confusion mujhko bhii hai... kii aakhir agar wohii red box hai tho woh kissne wahaan rakhi... lekin i also think kii joh bhii problem ho Rajveer usse badii hii bhakhoobi se suljayega..... waise mere mann mein ek shak hai kii Navin ke maut ka zimedaar joh hai woh KMA mein hii hai... shayad the boss is somebody from KMA... i don't know exactly..par i have surely have a doubt about it... anyway woh boss joh koi bhii hoga Rajveer usse bohat jald dhoond lega..aur usse uski nani yaad dilayega.... this is what i think... what say guys...
atlast meri analysis khatam hua.. i think it was very long sorry for that.... i hope aap sabko mera analysis pasand aaya ho...& i even hope kii is analysis ne aap sabko pakaya nahii...... do tell me your views on it... i'll be waiting......
love
surya....😳