Dearest Bittuu,
Kaisa hai tu?Sab thik-thaak hai ya Huda tujhe sata raha hai?Agar sata raha hai na, toh bataa de... uski toh main aisi-ki-taisi kar dalungi..Dar mat. main hoon na....Waise bhi tu toh mera dost hai na,brave hai..
Toh, acha, ek cheez bata, woh daaku humaari Naina ko tang-shang toh nahin kar raha na???Agar kar bhi raha hai, toh de use, kharcha-paani....
Haan woh toh tujhe bhi taana marta rehta hai.Tu kisiki bhi baaton ka bura mat maan.Jaanta hai main tere saath hoon,Naina tere saath hai..Achcha waise bata tu kyun test main fail ho gaya?Mujhe bikul yakin nahi hua ki tu test mein fail ho gaya..
Agar paas hota toh teachers ke nazaron mein uth jaata..Tujhse ek request hai..Maanega na?Plz Neelu ko bhool ja aur apni training par dhyaan de..
Aur haan sunn koshish kar ki tu har test mein paas ho jaaye.
Aur ek baat plz mana mat karna,Daroo ko chhod de.Nahi toh Daroo hi teri watt laga dega..Maan ja meri baat..
Naina ne kaha daroo chhod do, Yudi ne kaha daroo chhod do, sab ne kaha daroo chhod do, aur humne bhi kaha, daroo chhod do....
Dekh Alekh daroo ke wajah se tu Captain Sir ke mission pe nahi ja paaya.
Dekh le... Galat baat hai ki nahin....
Bechaare triggers. gaa rahe honge.... Alekh ke bin, hum yun, kaise chupein, kaise chupein Alekh ke bin.....
Aur phir Naina ko kaun samjhaye ki Captain uske dushman nahi,Dr.Ritu hai.
Haan.. Ek tu hi toh hai na.... Naina ko samjhaane wala..
Achcha Alekh main ye letter khatm karti hoon.Apna khyaal rakhna..Aur meri baat maan kar daroo mat peena chahe jo ho..Iss letter ka reply zaroor dena..
No offence to anyone.