Nari tu naurangi, hai usme pehle 1988 me Nobel Prize jitnewali Egypt ki novel ke writer Najib Mahkz ki 1952 me likhi gayi novel ki haal hi me huve translation me The palace walk me hero Al Saiyad Ahmed ka beta yasin uski patni ko kehta hai ki purush ko woh jo chahe woh karne ka abadhit adhikar hai aur stri ki zimmedari ye hai ki woh uska kaha maane aur niymo ke dayre me bandhi rahe. Usme woh add karta hai ki Stri ek tarah ki paltu janvar hai aur uske sath us tarike ka vyavhar hi hona chahiye. Jagat ke itihas me aisa koi yug nahi jisme adhe se zyada manushyjati me stri ko nyoon sthan diya naa ho. Usko vyakti samajne ke kisse rare honge Uski durdasha ke baare me add karo phir stri ke viruddh jo pehle kiya jaata tha bachpan me hote shadi uske baare me aise kisse par ab sab badal gaya hai aur kya kya parivartan huve woh likho aur France, America Germany jaise desh me sudhare ke liye jo jung hui uski baat, jisme shamil huve log Gandhiji, Nyaymoorti Rande, Dada karve, Miss merry carppents, Mrs. Shehpherd etc.. Stri ka kya mahatva hai ghar me aur koun koun se rishte woh nibhati hai uske baare me likho, phir har kshetra me stri aage aa rahi hai, usme Sunita Wiliyums, Zansi ki raani jaisi har kshetr ki ek ek aurat ka udahran likho, bas is sab ke bawjood koi uski agrimata manne ko taiyar nahi aur women's day sab celebrate karte hai magar us ek din ke liye hi uska mahatva hota hai phir jaise the, bas in points ko expand karke likh do tumhra topic taiyaar.
2)Ati sarvatra varjyate, ye sanskrit ki line hai, uska arth hai ki ati ki koi gati nahi hoti, aise hi badhti aabadi ki koi gati nahi, usse koun koun si samsya ye khadi hoti hai, kudarat ne panch tatvo ko milakar ek adbhut sharoir ki yani ke manushya ki rachna ki magar uski sankhya badhne ke niraksharta bekari jaisi samassya, jisse desh ko jo nuksan hota hai woh, likho, pichhle saal ki counting me is saal kitni badhi aur kitna zyada badha aur har saal 1 crore 80 lakh log bharat me badhyte hai, usse taklif badhti hai aur uske rokne ke liye akshar ganan jaise karykram karke usse badhti rokna chahiye, isse badakar likho doosra taiyaar ho jaayega.
3) Joint family ke baare me pehle poorane zamane me jo vyavastha thi woh kaisi thi, phir kya badlav aaye usse kya faida huva aur kya nuksan woh sab likhiye, bachho ko humko kya faida huva woh sab likhiye aur bas uske baare me badakar likhiye to ye bhi solve ho jaayega.
Actually ye sab topic ke upar maine prize jeete hai aur sab taiyaar hai magar problem ye hai ki main aap ko sirf do ghante me type karke kaise doon isliye uske baare me kya likhna chahiye ye maine aap ko bataya hai ab aap us par soch sakti hai aur phir likhiye aap se ye zaroor hoga, ekbaar aur bhi kahungi ke main madad zaroor karti aur sab likhkar deti magar aap ne koi time hi nahi diya, I mean jab aap ka e-mail maine pada phir aap ko pm kiya aur uska reply aap ne late diya aur phir 2 hrs. isliye taklif hui magar ab kisiko bhi madad ki zaroorat ho main aap sab ki madad zaroor karoongi magar aage se bolna to. Bye, kaisa huva iske baare me inform zaroor karna.