kuch samaj me nahi aa raha ki kya karoon.........kya main jo mehsoos kar rahi hoon....kya wahi Ranbir mere liye mehsoos kar raha hoga...........woh mujse kyun pyaar karega.........woh to pyaar jaise shabd pe yakeen hi nahi karta..........lekin agar jo Archie us din keh rahi thi ki Ranbir badal gaya hai aur yeh baat main bhi jan chuki hoon.........woh Ranbir ab pehle jaisa nahi raha........woh badal gaya hai mere liye........usne her woh koshish ki jo muje khushi deti hai..........yaha tak ki woh mere liye yaha chawl me rehne ko bhi taiyaar ho gaya...........iska matlab Ranbir bhi mujse pyaar karta hai...........isse pehle bahot dair ho jaye muje Ranbir se baat karni hogi............main ab apne pyaar ko nahi chupa sakti............ek bar main sab kuch Ranbir se keh dena chahti hoon jo mere dil me hai.........aage kya hoga woh main kuch nahi janti........jyada se jyada woh muje mana kar dega....meri sakal nahi dekhega........lekin mere pass uski yaadein hai jo zindagi bitane ke liye kafi hai.........lekin agar woh mujse pyaar karta hai to main uski zindagi jannat bana dungi...... Kanya Ranbir ko phone karti hai......
Kanya: hello.......Ranbir.............
Ranbir: Kanya tum......itni raat ko........sab kuch thik to hai........
Kanya: kuch thik nahi.........
Ranbir: kya hua tumhari tabiyat to thik hai .......main abhi doctor ko phone karta hoon......
Kanya: nahi muje doctor ki nahi muje tumhari zaroorat hai.......main tumse kuch zaroori baat karna chahti hoon...........
Ranbir: thik hai .....main kal subaah tumhare ghar pe milunga........
Kanya: tab tak main intzaar nahi kar sakti...........muje abhi ke abhi tum Purane wale Shiv Mandir me milo.....main tumhara intzaar kar rahi hogi.........tum aana zaroor.........
Ranbir: main abhi bas kapde badal ke nikalta hoon......lekin tum itni raat ko.......
Kanya: meri fikar mat karo.......main pahonch jaungi............
Ranbir: bye......
Kanya: bye.............
************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ *****
Kanya apni almari me dekhne lagti hai.......
Kanya: kya pehnu...........ranbir ko mujpe lal rang bahot pasand hai............main lal hi rang pahenugi......lekin kya..........
Jab kanya ki nazar ek khubsurat laal saree pe jati hai...........Kanya use pehenti hai..........jab woh jane hi wali hoti hai ki uski nazar apne mangalsutra pe padti hai.............kanya use leke apne kamre se nikalti hai jab Shantu aur Pooja use dekh lete hai........
Shantu: aye.......kanya......ruk..kaha ja rahi hai itni raat ko.....
Kanya: mere pass aapke sawaal ka jawaab dene ka waqt nahi........muje dair ho rahi hai..........
Pooja; itni raat ko ja rahi hai..........aur woh bhi tv serial ki heroin ki tarah saree pehen ke.............kaha ja rahi hai.....agar mama ne pucha to...........
Kanya: apni zindagi ke pass ja rahi hoon.......ab main chalti hoon......
Shantu: aye pooja.......rok ise....yeh marne ja rahi hai......
Pooja: kya shantu tu bhi pagal hai.......woh marne jayegi aise saj dhaj ke........woh Ranbir se milne ja rahi hai.......
Shantu: us saandh se........itni raat ko...........chal pooja hamari Kanya khatre me hai........
Pooja: nahi shantu........khatre me nahi pyaar me hai......
Shantu: nahi aisa nahi ho sakta........kanya us gende se pyaar karti hai...........
Pooja: haa Shantu woh use pyaar karti hai......ranbir bhi kanya se pyar karta hai.........lagta hai yahi upperwale ko manzoor tha..........kyunki dekhna serial ki tarah tuj jaisi vamp ke hote bhi hero heroin mil rahe hai..........ab yeh dukh ke aanshu khushi ke aanshu me badal de.....kyun ki yahi sach hai ki Kanya Ranbir ki patni hai.......
Shantu; tum keh rahi hai to thik hai......lekin agar us saandh ne meri kanya ka dil toda to main use tod dalungi.....
Pooja: agar tum un dono ke beech aayi to ranbir tuje mar dalega.......ab chal raat kafi ho gayi hai.......Subaah Kanya se baat bhi karni hai.....
Shantu: chal.......sote hai....neend to nahi aayegi lekin phir bhi koshish karte hai...........
Shantu aur pooja so jate hai.............
************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ *****
Jab Kanya Shiv Mandir pahonchti hai to Ranbir ki car dekhti hai.........Kanya taxiwale ko paise lekar upper sidiyaan chadne lagti hai........jab Kanya sidiyaan chad ke upper aati hai to Ranbir use dekhta hi reh jata hai...........
Kanya: Ranbir.......
Ranbir apne sapno ki duniya se bahar aata hai......
Ranbir: haa.....kanya..bolo tumne muje itni raat ko kyun bulaya..........
Kanya: kuch sawalo ke jawab chahiye............
Ranbir: lekin yeh koi waqt hai sawaal jawaab karne ka.....kal shaadi hai ghar pe......
Kanya: Ranbir......her waqt mazak mazak.......ab jo main puchungi uska sahi sahi jawab dena.........
Ranbir: thik hai bolo........
Kanya: Tum Ranbir Nanda.........12000 hazar karod ke malik ..............woh ranbir jisne mere saath contract marrige kiya hai........woh ranbir jo pyaar pe yakeen nahi karta........woh ranbir jo kabhi kisi ladki ka apne pass na aane de.........................lekin ek mamuli ladki se shaadi karke apna alishan ghar chod ke mere saath kyun chawl me rehne ko taiyaar ho gaya ........woh ranbir jisne meri izzat bachane ke liye khud ko girata gaya logo ke samne.........woh ranbir jo muje hamesha haste dekhna chahta hai........woh ranbir jo mere ek aanshu se woh puri duniya sir pe le sakta hai.........woh ranbir jo muje kisi aur ke saath dekh ke uski aankhoin me main jalan dekh sakti hoonj......woh aaj chup chup ke muje dekhta hai...ab bhi woh muje dekhta hai to muje lagta hai ki main is duniya ki sabse khubsurat ladki hoon........jab woh mere saath hota hai to muje kisi ka darr nahi lagta........woh ranbir jo mere liye sirf contract pati hai......lekin farz woh ada karta hai jo mere pati ko karna chahiye.........Kyun Ranbir.......kyun kar rahe ho aisa.........
Ranbir: Kanya.........woh main bas......aise hi...
Kanya: aise hi......aise hi kya Ranbir........jab pyaar karte ho to darte kyun ho.....tumhe kya laga ki main tumhari aankhoin apne liye pyaar nahi dekh sakti......sab janti hoon me.......raat ko chup chup ke muje dekhna.........mere dupatte ke saath khelna.......mere pass rehna tumhe achcha lagta hai..........lekin kabhi yeh socha hai ki main tumhe itni kareeb se kyun janti hoon.....main to apne liye tumhare dil me pyaar mehsoos kar saki........lekin tum kabhi mere dil ko ya muje nahi samaj paye..........ab aur bhi kehna padega.........Ranbir....main tumse bahot pyaar karti hoon.........itna pyaar ki tumhare bigar ji nahi sakti.....Ranbir I love you..........
Ranbir: sach to yeh hai ki main bhi tumse pyaar karta hoon.....bahot pyaar karta hoon.....tumhare bina ek pal bhi katna muskil hai...............tum hi woh ho jisne muje pyaar ka matlab shikhaya.......tumhi woh ho jisne mere dil ka dhadkana shikaya........tum hi ho jiske naam ki dhadkan mere dil me dhadkati hai.................I Love You kanya..........ple muje chod ke kabhi mt jana........
Kanya: bandh lo muje apne aap se...taki duniya ki koi bhi takat hume alag na kar sake.........ranbir yeh wahi Mangalsutra hai jo Mummyjee apni bahu ke liye layi thi........maine kabhi ise pehna nahi kyunki muje lagta tha ki ispe mera hakk nahi........lekin aaj tum muje woh hakk wapas dila sakte ho...........ranbir bandh do yeh Mangalsutra mere gale me...........taki main saat janmo tak tumhari ho jau.........
Ranbir Kanya ko woh mangalsutra bandh deta hai aur waha pe pada sindoor uski maang me bhar deta hai............
Kanya Ranbir ki aankhoin dekhti hai aur uske gale lag jati hai...............Ranbir bhi use zor se gale lagata hai.........
Ranbir: chalo......kanya......abhi ek aur kaam bhi baki hai......
Kanya: kaha........
Ranbir: apne ghar Nanda House.......
Kanya: lekin mere ghar pe.....
Ranbir: woh log ko subaah pata chal jayega.......abhi chalo............
************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ ************************************************************ *****
Kanya aur Ranbir Nanda house aate hai lekin sab log so chuke hote hai.........Ranbir Kanya ko apni god me leke apne room me lejake utarta hai.......
Ranbir: Kanya tum yahi ruko main abhi aata hoon........thodi dair baad Ranbir aata hai.......
Kanya: yeh kya hai......
Ranbir: woh contract papers.........ise main aaj khatam kar dena chahta hoon.........
Kanya: nahi ise tum nahi main khatam karungi.......kyunki ise khatam karke hi main tumhare saath naya rishta shuru kar paungi.......
Kanya: sare papers ko fad deti hai...........
Ranbir us paper ko machis se jalata hai aur Kanya apne andar natasha ko mehsoos kar sakti hai..........
Ranbir: Kanya....kya hua.....tum itni kap kyun rahi ho.......
Natasha: dur raho main Kanya nahi........Natasha bol rahi hoon..........
Ranbir: Kanya......mazak karna bandh karo.........tum natasha hohi nahi sakti........
Natasha: mere raste se hat jao.......muje tumhe marne pe mazbur mat karo.....jante nahi tum kis se baat kar rahe ho.........Natasha se ...jisse pura seher kampta hai..........main kisi ko nahi chodungi jo aurat pe zulm karte hai...........
Ranbir: nahi tum natasha nahi kanya ho..........meri patni......Kanya Nanda.......
Natasha: phir se wahi..........Kaun hai yeh Kanya.......jo bhi dekhta hai wahi kehta hai.........aaj main use mar hi dalungi...........i wont leave you Kanya.........
Kanya apne aap ko marne ki koshish karti hai jab Ranbir pakad ke use zor se ek thapad marta hai aur Natasha behosh hoke gir jati hai..........