Bhaiya is baar aap mere saath nahi hu lekin aapki yeh behen aapko har pal yaad karti hai... đ
Aapki is behen ki taraf se aapko Raksha Bandhan ki dher saari shubhkamnayenđđ¤
Meri rakhi accept karoge na Bhaiyađł
Maa se dua karti hu aur karti rahungi ki kamyabi aapke kadam choome...aapko har pal bas khushiyan hi naseeb ho...aapke jeevan mein kabhi koi dukh na aaye...aapko sab ka pyaar mile aur aapko meri bhi umar lag jayeđ
Jeevan mein kabhi aisa koi pal aaye jab aapko meri yaad aaye to main apne aapko khushkismat samjhungiđ
Aapke liyeđđ¤
Bhaiya is saal aap mere saath nahi ho lekin agar aap mann se hi meri rakhi accept kar loge to main samjhungi ki Bhagwan Ji ne mujhe maaf kar diyađ
Har janam mein aapki hi behen banna chahti hu...lekin asli behen ...jise aap chhod kar na jaa paaođ
Is janam mein aapke saath bitaye huye palon ki yaadein hi bahut hainđ
Raksha Bandhan par dher saara pyarđ¤
Aapki Pari
Edited by braveheartdoc - 7 years ago