nahi dhakta hai dinkar
surya ke sameep jati
chidiya lagataar udd kar
dinkar-sun sameep -near
garmaai ke aule padte
chidiya ke pankho par
bina dare bina thake
gagan ko naapti hai par
gagan-sky
tinke ki pukar le jati
usse uske manzil ki or
man ki dridhta deti
door udd jane ki zor..
dridhta-strength
jo karna hai wo karna
hai phir ye kaisi der
nikal chalo issi raat ko
raaste mein hoga saber...