
Part 7
Next day morning 7 o clock
Nidhi's phone rang
it was from Ashutosh.Nidhi ka dil jor se dhadkane laga.
Nidhi: hello
Ashutosh: Hello Nidhi,Good morning.Sorry agar maine aapko disturb kiya.
Nidhi: no aapne muze disturb nahi kiya maj ashutosh.Kahiye
Ashutosh: kya muze aap abhi breakfast se pahele mil sakti hai? i want to talk to you.
Nidhi:ha,magar mera session 9 baje ka hai aaj.Agar aap muze aadhe ghante me mil sakte toh achha raheta.
Ashutosh: theek hai,great.Toh aapke hotel ke straight 7Up Coffee shop hai.Wahaa aayengi.Main 15 minute me pahuch jata hu wahaa.
Nidhi:sure,main bhi jitna jaldi ho sake aane ki koshish karoongi
7 Up coffee shop:
Nidhi entered in 15 minute with red and white dress with matching duppatta.She told mallika that she will join her in the session.
Nidhi saw ashu was sitting in the corner table.He was bitting his nail.
Nidhi came there and ashu use dekhkar jyada nervous ho gaya.
Nidhi: Good morning major ashutosh
Ashutosh: Good morning dr nidhi.agar aap ashutosh bolenge toh chalega.
Nidhi: fir toh aapko bhi muze sirf nidhi kehena padega.chalega?
Ashutosh ke samne chair par nidhi baith gai.
Thodi der tak koi kuchh nahi bola
Ashutosh: muze aapse kuchh kehena hai.But pata nahi kaise kahoo?i am still nervous
Nidhi: kya agar aapki permission ho to main kuchh kahoo?
Ashutosh: ji jaroor.
Nidhi: Major saheb muze lagta hai aapke dil me jo baat hai woh aap jab tak sure nahi hote tab tak mat kahiye.
Ashutosh: matlab?
Nidhi: dekhiye,main sure hu ki muze aapko kya kehena hai?mere dil me regretting ki koi duvidha nahi hai.Main nahi janati aapka faisala kya hoga.But still i want to say ki main aapse pyaar karne lagi hoo.
Ashutosh was shocked after hearing her confession.He was still thinking
Ashutosh: Nidhi,tumhe pata hai yahi kehene ke liye main dar raha tha.samaz nahi aa raha tha.Kyoki I love you keh dene se baat khatam nahi hoti.Fir kuchh log in shabdo ko is ehsaas ko sambhaal nahi pate aur fir pyaar shabd ki tauheen kar dete hai.
Nidhi:Maj saheb,pyaar koi military ki training nahi hai.Jo rules ke mutabik.parade ke mutabbik chale.Woh toh dil ka ehsaas hai.Aur aapko dar lagta hai tab tak theek hai.Lekin aap is feeling ko lekar duvidha me hai toh mat kijiye ijhaar.Muze bura nahi lagega.Kyonki yeh jaroori nahi ki mere dil me aapke liye jo feeling hai woh aapko mere liye bhi ho.Mere dil me tha aapko batana toh it's ok naa
Nidhi bole ja rahi thi aur ashu pure gaur se sun raha tha.
Nidhi: Major saheb,jab aapne training ki shuruat ki thi kya tab aapko sab aata tha?lekin aapka yeh pakaa irada tha ki muze training puri karke fauz me jana hai.Wohi aapko aage le gaya.Gadi chalaneka sikhanewala agar accident se darne laga toh kya woh gadi sikh payega?road cross karte waqt agar hum yeh soche ki sara traffic khatam ho jaye aur main nikaloo toh yeh kahaa ki samazdari hai?
Ashutosh: Nidhi,main sure hoo apni feeling ke liye.Aur main tumse pyaar bhi karta hoo.But
Nidhi apne chair se khadi ho gai aur fir boli," Major,jab tak aapke har sentence ke picche but,kintoo,parantoo lagega aap confuse karenge.Bus jab aap sure ho jaye tab batana.I am really mean it.Main tab tak intejar karoongi.
And she raised her hand to shake hand to ashutosh
Ashutosh: Good day major ashutosh.
Tabhi ashutosh ne uska haath halke se pakada
Ashutosh: yeh kya Nidhi?tumhari har baat maine shanti se suni na?tum toh meri baat sun hi nahi rahi ho.Toofaan express ki tarah chali ja rahi ho.Chalo,sit down
Usne itne attitude se kahaa ki nidhi baith gai.
Ashutosh: Nidhi,maine kabhi nahi socha tha ki muze koi ladki pasand aayegi aur itni ki main sote jagtte uske sapne dekhne lagoonga.Par aaj main sirf tumhe dekhne ko tarasta hoo.Muze confusion yeh nahi hai ki main tuse pyaar karta hoo ki nahi conf yeh hai ki main nibha sakoonga ya nahi.Meri job aisee hai ki kabhi bhi kuchh bhi ho saktta hai.
Nidhi;Major saheb,aajkal har kisi ki life unpredicatable hai.Aur risk toh har life me hota hai aapko shayad yaad nahi lekin mere papa bhi col the.Aur zindagi chhoti aur khubsurat honi chahiye aur pyaar se bhari honi chahiye.Agar aapke dil me pyaar hai kisi ke liye toh aapka dil khudbakhud use nibhata jayega.Aur agar pyaar me shart aayi toh woh pyaar nahi vyaapaar hua.
Ashutosh: hey bhagwaan,kaise samazaoo is ladaki ko main?
Nidhi: maj,main samazti hu aap kya kehena chate hai.Toh theek hai na,jane dijiye.Muze aapse jo kehena tha woh maine keh diya.
Aur jaise hi Nidhi uthane lagi.Usne nidhi ka haath kaske pakda aur use uthane nahi diya.
Ashutosh: baar baar ek hi baat dohorati ho?thakti nahikya?
Nidhi: nahi thakti.Kyonki main toh insaan hi nahi hu na?Alian hoo
Aur usne aisaa pout banaya ki ashu hanse bagair raha nahi.
Ashutosh:Bus nidhi ab koi confusion nahi koi dar nahi.I Love you.Bus yahi sach hai aur yahi haqeeqat.Aage ki aage dekh lenge.Jahaa tak pyaar ki baat hai main tumse pyaar karta hoo aur bahoot karta hoo.Bus thada dar raha tha lekin agar tum saath ho toh ab muze koi dar nahi hai.Baki aage destiny jahaa leke jaye.Bus main tumhe bahoot pyaar dena chahta hoo aur tumhe hamesha muskurata dekhna chahta hoo.
Nidhi: waah major sahab,janaab aap toh sudhar gaye.Sidhe khadoos se sweet ban gaye.
Ashutosh: bus ab jyada mat bolo,warna jyada meethe se muze diabetes ho jayega.Chalo,ab tumhe main hotel chhod deta hoo.
Nidhi: lekin aapne toh jo kehena tha woh toh kahaa hi nahi
Ashutosh: kya?
Nidhi:wohi jiske liye aap muzse milna chahte the.
Ashutosh: hey bhagwan,woh toh bol chuka na?
Nidhi ne pyaar se ashu ko dekha
Nidhi: muze firse woh sunana hai,bilkul bina kisi hesitation se,confidence aur pyaar ke saath,please
Ashutosh yeh sunkar emotional ho gaya.Usne nidhi ki aankhome apne liye dher sara pyaar dekha aur bola," Nidhi.I love you.I love you.Yeh mera tumhe life time ka promise hai.Ki main yeh promise marte dum tak nibhaoonga.Lekin ek baat hai.Ab main tumse dur kaise rahoonga?
Nidhi: Majo
Ashutosh:ab toh ashutosh bolo nidhi.
Nidhi: [ with shy] ashutosh,hum dono ka profession aisa hai ki woh hume samay ki ehsaas karaata rahega.Lekin hum usme se bhi humare pyaar ke liye waqt nikaal lenge.Kuchh yaden hum bana lenge.
Ashutosh: take her hand ih his hand and pur her hand on his own eyes and said," Yeh,dil yeh chehera,sur aakhopar."
Aur usne apni aankhe band kar di
Hope you like this update.I will come soon to recomment.Please forgive me.Ghar mehmaano se bhara pada hai abhi.Will give my next update soon