Os:hum youngistan Epilogue page 18 - Page 2

Created

Last reply

Replies

139

Views

14.1k

Users

17

Likes

369

Frequent Posters

parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#11

Originally posted by: mudraswathi

yeh kaise maine miss kardi?

Part 1 is perfect setting.. I will read part 2 and come back😊

thanks mudraji waiting for your reply
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#12

Originally posted by: deepa17

Very nice Alkaben please continue soon.

thanks deepa,i will continue it soon
ttrocks thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#13
Very nice story Alkaben... Thank u so much... u r giving beautiful stories one after another... 😃 This one has a different concept and part-1 and part-2 are perfect setting!! I could literally visualize the images of village, Nidhi-Anji walking, Dr. Mathur introduing Ashu to old and new age-group ppl... Very very beautifully narrated... so, what's next? Ahsu has acknowledged to Nidhi that he likes someone who likes her partner to like this village also... Is Nidhi able to get the hint and their lovestory will start now?? Or some more drama is coming up?? Please update soon. 😃
mudraswathi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail
Posted: 12 years ago
#14
A very nice part 2...

I have become all nostalgic... Some how remembering DK... very heart touching

especially ..this part... kaash aur kuch gaav ka description bhi mil jaaye...😳

Baba: Ashutosh,teen saal pehele yahaa sabse bada bhukamp aaya tha.Sara gaav tehes nehas ho gaya tha.Tab Nidhi yahaa sabke saath aayi thi.Lekin yahaa aaneke baad uski zindagi badal gai.Gaav itna khubsurat tha,lekin us hadse ne gaav ki puri kaya badal di thi.Tab Nidhi aur Anji ne sabko eksaath bulaya aur is gaav ko fir se basane ki thaan li.Aur uske dost iske liye fauran taiyaar ho gaye.Col Verma aur Kapil Solanki ne toh apni property tak dene ki baat ki thi.Lekin ab hum sab matlab hum aur gaav walone milkar gaav ko fir se hara bhara kar diya hai.


Edited by mudraswathi - 12 years ago
suku_07 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#15
It was awesome Alkaji.. Ashni in village so good to see that.. I could actually imagine all this !! Once again beautiful Alka ji..
andy.a thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#16
very nice concept
loved part one and part two
its really beautifull
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#17
Part 3 Nidhi:sir,muze pata nahi aap kiske bareme baat kar rahe hai?lekin thanks ki aapne madad karne ki sochi.Lekin ek baat bolu?you are not serious about your decession to stay here permantly.Yeh sirf isiliye hai kyonki aapka first expression hai is gaav ke bareme.Lekin kabhi kabhi aisa hota hai ki jo hum sochte hai wohi baad me hume boar kar deta hai.Abhi toh aap excitement me bol rahe hai ki main yahaa rehena chahte hai.Lekin jab yeh aapka routine ban jayega toh aap is se boar ho jayenge.Aapko in sab cheejo ki aadat nahi hai.Yeh gaav vale jab tak pyaar se rehete hai tab tak theek hai.Lekin jab koi bimar ho jata hai aur use koi aisee bimari ho jati hai jo humare haath se nikal chuki hai.Tab in gaav valo ko sambhalna mushkil ho jata hai.Tab unka gussa,galiya khane ke liye bhi taiyaar rehena padta hai.Hume utna patience rakhna padta hai.Aap samaz rahe hai na main kya keh rahi hoo? Ashutosh was quite impressed about her explanation.And he thought,"kitni samazdaar hai yeh.Itni si umar me kitni badi badi bate karti hai yeh ladki?itna deeply toh maine bhi socha nahi tha. Tabhi ek Tempo hospital ke samne aa ke khada ho gaya.Ek ladka niche utara.Usne ashu se puchha,"dr Nidhi kahaa hai?is se pehele ki woh kuchh bole usne shayad Nidhi ko dekh liya tha.Woh nidhi ke pas pahucha.Usne nidhi ko hug kiya. Nidhi: jaiye,muze aapse baat hi nahi karni hai.Itne dino ke baad meri yaad aayi na? Woh ladka: are nahi re!kaam se bahar gaav gaya tha.Subah lauta aur yahaa aa gaya.Tumhe toh main zindagi bhar nahi bhul sakta,mere golgappe queen."aur usne nidhi ke gaal khiche. Nidhi:achha,ab maska marna band karo aur batao Raju kaisa hai?padhta hai ki nahi?aur Lata anty?woh theek hai ki nahi? Ladka:Bus,unke bareme puchho jo samne nahi hai?aur main yahaa khada bakbak kar raha hu mere bareme toh puchho?aur ha meri mummy tuze muzse jyada pyaar karti hai.Tabhi toh aam ki zeason aayi nahi ki peechhe pad jati hai.Nidhi ke liye aam le ja.use bahoot pasand hai.Aur beta toh jaise dikhta hi nahi. Nidhi:jao,Jalkukde kahi ke!kahaa hai mere aam?jaldi do. Ashutohs was getting frustrate of seeing this scene.Usne apni hathoko gusse se rok ke rakha tha. Ladka: Bus sirf aam chahiye na?aur woh kitabe aur tumhara saamaan nahi chahiye kya?dekh main tere liye matlab tum sabke liye chudidar aur dress material laya hoo.Humari toh kabhi kadar karo. Nidhi: theek hai,theek hai.Thank you so much. Ladka: Anji kahaa hai? Anji: main yahi khadi hoo.Lekin tumhe Nidhi ke samne koi dikhta hai kya? Aur Anji ne bhi jake use hug kiya. Ashutosh was confused who is he? Baba hospital ki sidhiya chad rahe the.Unhe dekha toh woh ladka baba ke paas daudte hue aaya aur unhe apna haath dene laga sidhiya chadne ke liye.Baba ne uska haath pakada aur dheere dheere sidhiya chad ke aa gaye.Aur bole,"Rahul?kab aaye tum?itne dino baad yaad aayi nidhi aur humari?" Rahul:nahi dr chacha, woh main apne kaam se south me gaya tha.Wahaa maine apni ek branch Baonglore me kholi hai.Maine bataya tha na aapko?ab wahaa sab set karke aaya hoo.Aapko pata nahi na Nidhi aur aap ki wajah se main yeh jagah bilkul chhodna nahi chahta.Aapne jo mere liya kiya hai uska ehsaan toh main zindagi bhar nahi chuka sakta.Aapne toh muze aur Raju ko nayee zindagi di hai.Woh agar hostel me achhi padhai le raha hai aur main aur maa apne pairo par khade hai woh aap sab ki wajahse. Itne me baba ka dhyan ashu ki tarah gaya.Usne Rohan ko apne saath liya aur ashu ke pas le gaya use."Rohan,yeh kaun hai pata hai tumhe?yeh dr Ashutosh hai?"Rohan: kya?dr Ashutosh?sorry maine aako pehchana nahi."Baba,"Ashu,yeh rohan hai.Yahaa se 25 km dur ek sheher hai wahaa iski kapado ki dukaan hai.Yeh jo hospital ki jameen hai na woh iski hai.Isine woh jameen hume hospital banane ke liye di thi. Rohan: Kya dr chacha aap bhi?woh kya hai na sir.Jab woh bhukamp aaya tha tab humara ghar tehes nehes ho gaya tha.Main sheher gaya tha aur ma chhote ko lekar mandir gayi thi.Baba akele the.Baba ko humne tabhi aakhri baar dekha.Fir baba ke jane ke baad Solanki uncle aur verma uncle yahaa aaye aur unki madad aur unke help se maine apna chhota sa kapadoka business shuru kiya.Aaj meri 5 dukane hai.Aur Nidhi toh meri jaan hai.Woh meri bebhen se bhi jyada hai.Usne mere bhai ko padhaya.Use padhai karne Ooty hostel me bheja.Wahaa use scholarship mili aur uska pura kharcha Nidhi ne diya.Haa,lekin meri is nanhi si pari ki shadi ki jimmedari meri. Nidhi: jao bhaiya,mere liye koi rajkumar nahi aayega.Yahaa gaav me aake rehene ke liye kaun taiyaar hoga?aur main toh yeh gaav chhodkar jane se rahi. Raat me ashu nidhi ke pas aaya aur bola,"Nidhi,main tumse kuchh bat karna chahta hoo.Kya tum mere saath Mandir chalogi? Aur woh dono gaav ke shiv mandir me aaye.Ashutosh,Nidhi,main tumse ek baat kehena chahta hoo,lekin pata nahi kyon keh nahi pa raha hoo? Nidhi:bezizak kahiye. Ashu:Nidhi,main yahaa aaya tha baba e liye.Lekin tum sabko dekhkar meri soch,meri duniya badal gai.Tumne kahaa tha ki main is bareme sochu.Maine socha aur ab isme koi shaq nahi hai ki main yahaa rehena chahta hoo.Kyon ki muze tumse pyaar ho gaya hai?haa yeh baat alag hai ki tumhe main ek aur baat batana chahta hoo ki main tumse 10 saal bada hoo.Aur yeh bhi ho sakta hai ki jitna main tumhe pasand karta hoo tum muze na bhi karo? Nidhi: sir,Hum India me rehete hai.Aur yahaa waise bhi shadi ke baad patni pati ko janti hai.Aap ki parvarish baba ne ki hai.Aur baba ki parvarish par main aakh band karke bharosa kar sakti hoo.Aur 10 sal ka gap mere liye koi mayne hi nahi rakhna.Lekin aapko pehele apne baba se fir mere baba kse bat karni padegi. Ashutosh: toh iska matlab,tumne haa keh di? Main bahot khush hoo Nidhi.Bahoot khush.I love you. Nidhi: iska jawab main aapko humare engegment pe doongi. Aur dono ne milkar shivji ka aashirwad liya.Apne pyaar ki shuruat karne ke liye!
Edited by alkaparmart - 12 years ago
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#18

Originally posted by: ttrocks

Very nice story Alkaben... Thank u so much... u r giving beautiful stories one after another... 😃 This one has a different concept and part-1 and part-2 are perfect setting!! I could literally visualize the images of village, Nidhi-Anji walking, Dr. Mathur introduing Ashu to old and new age-group ppl... Very very beautifully narrated... so, what's next? Ahsu has acknowledged to Nidhi that he likes someone who likes her partner to like this village also... Is Nidhi able to get the hint and their lovestory will start now?? Or some more drama is coming up?? Please update soon. 😃

thanks tupu,in my os no negetativity.Only love 😉
parmarA thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#19

Originally posted by: mudraswathi

A very nice part 2...

I have become all nostalgic... Some how remembering DK... very heart touching

especially ..this part... kaash aur kuch gaav ka description bhi mil jaaye...😳

Baba: Ashutosh,teen saal pehele yahaa sabse bada bhukamp aaya tha.Sara gaav tehes nehas ho gaya tha.Tab Nidhi yahaa sabke saath aayi thi.Lekin yahaa aaneke baad uski zindagi badal gai.Gaav itna khubsurat tha,lekin us hadse ne gaav ki puri kaya badal di thi.Tab Nidhi aur Anji ne sabko eksaath bulaya aur is gaav ko fir se basane ki thaan li.Aur uske dost iske liye fauran taiyaar ho gaye.Col Verma aur Kapil Solanki ne toh apni property tak dene ki baat ki thi.Lekin ab hum sab matlab hum aur gaav walone milkar gaav ko fir se hara bhara kar diya hai.


ya dk is most fav serial of mine.I have tried to include village culture here.Hope you will like it.Thank you mudraji
ariyadasa thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#20
sorry alka for the late reply fed up all these work 🤗
asusual love ur os so much as it brings the memories of KTLK👍🏼👏
LOVE UR DIO specially the followings 🤗
Ashutosh was quite impressed about her explanation.And he thought,"kitni samazdaar hai yeh.Itni si umar me kitni badi badi bate karti hai yeh ladki?itna deeply toh maine bhi socha nahi tha.
love to see the following scene in real KTLK
Raat me ashu nidhi ke pas aaya aur bola,"Nidhi,main tumse kuchh bat karna chahta hoo.Kya tum mere saath Mandir chalogi? Aur woh dono gaav ke shiv mandir me aaye.Ashutosh,Nidhi,main tumse ek baat kehena chahta hoo,lekin pata nahi kyon keh nahi pa raha hoo?

Nidhi:bezizak kahiye. Ashu:Nidhi,main yahaa aaya tha baba e liye.Lekin tum sabko dekhkar meri soch,meri duniya badal gai.Tumne kahaa tha ki main is bareme sochu.Maine socha aur ab isme koi shaq nahi hai ki main yahaa rehena chahta hoo.Kyon ki muze tumse pyaar ho gaya hai?haa yeh baat alag hai ki tumhe main ek aur baat batana chahta hoo ki main tumse 10 saal bada hoo.Aur yeh bhi ho sakta hai ki jitna main tumhe pasand karta hoo tum muze na bhi karo?

Ashutosh: toh iska matlab,tumne haa keh di? Main bahot khush hoo Nidhi.Bahoot khush.I love you. Nidhi: iska jawab main aapko humare engegment pe doongi.

awaiting to see ur next update

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".