
Ye Jagah Archaelogical interest se bahut important hai...ab tak usse public interest me expose nahi kiya hai...
par for the love of this forum...main uska sneak peak laayin hoon...
iss jagah ne sab ko itna Konfuse kiya hai ki uss jagah ka naam hai...'Konfuse Place on Wall' in short KPOW...
haan to mujhe information mili...Khudaai ho rahi hai aur bahut purani civilisation ka pata chala hai..
Main gayi daudte daudte...


KPOW ek underdeveloped civilisation tha...kyuki wahaa ke log ajeeb se behave karte they...
Sabse jyada striking baat thi ki Khudaai karte karte 500 pages ka posts mile jispar bas likha tha.
'Ashni Ashni'...
Archaelogists ek dusre ka chehra dekh ke bole.."This is Famous AshNi Land...Ohh Godd..Atlast we found it...I really emphathize with these people.."
Aur sab chilla chilla ke rone lage..unke dukh se meri aankhein bhar aayi..
Aaiye jaane KPOW se kya kya mila...
1.Bajrang bali ki murti mili..par uss murti ki khas baat ye thi ki Bajrang bali ji ne apne kaano par haath rakha huaa tha...Aisi Ajeebogareeb Murti nahi thi kahin... sab shocked they...
par mujhe pata tha...Reason Jai Screechy ki..
2.ek akhbaar mila dated 19th oct 1886...ek chair par rakhi huyi...pure KPOW me bas ek hi akhbaar tha..sab phir se shocked ho gaye...
reason CB ne puri life wahi akhbaar padhi thi..ussi chair par..
3.two medicine ke bottles mili jo pure duniya ke liye revolutionary discovery hain...
a).Taklu mathe par ghane safed baal ki med
b)Yaadasht waapis aane ki med ...wo bhi within one week...
sab ye dekh ke bahut khush they...
4.Ek best seller book mili..."How to jhelofy other women in your hubbys life and remain sane 10 tips"-Author Dr Nidhi...
Hum uss book mein bahut intersted ho gaye aur usse padhna start kar diye...
aur iss chakkar mein baki kya kya mila miss kar gaye...
koi baat nahi next post mein batayenge KPOW ki dastaan..
Filhaal hum uss book ko padhne mein vyast hain..Sayonara...