alkaparmar thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
hai everyone ,we are so tensed about the show running so rudely and we cannot tolerate this anymore. so here for change i want to change ashus personality in positive way.i am writing his biography on his pov. hello, main dr.ahutosh hoon.mera janm ek gaon me hua tha.sab bacho ki tarah mere bhi kuchh armaan the.lekin gaon me ek beemaari faili jisme mere maa aur papa ko muzse chheen liya.me anaath ho gaya.wahaa dr ki teem ke saath dr.maathur aaye umko muzpe daya aayee aur woh muze apne saath lucknow le aaye.mera sachwala bachpan to unhike saath shuru hua .main baba aur hk.humaari ek duniya thi baba muze violin bajana sikhate,kabhi gardning sikhate,aur jeeneke achhe tarike sikhate.unhone muze padhneke liye london bheja.aur wahaa meri zindagi ki nayee shuruat hui.naya desh,nayee jagah ki beech muze mallika mili.paraye desh me jab koi apne desh ka milta hai to bahoot khushi hoti hai.usne har achhe bure waqt mera saath diya.hum saath pudhte,saath music show me jaate ,aur woh meri sabse achhi dost bani.mainzindagi me chot khaaya hua tha lekin ek baat ki khushi thi kee baba bmuze mile. london se padhai karke wapas aaya toh ek sapna lekar ki apna ek hospital banaunga aur logo ki sewa karroonga.aur apni puri lagan aur mehnat se kgh banaya.usme mallika ne har kadam pe mera saath diya.aur achanak ek din baba muze chhodke chale gaye.unhone sab kuchh mere naam kiya sirf uss makan ko chhodke jisme mere bachpan bitaya tha.woh makan unhone apni poti ke naam kiya.woh ghaar sirf ghar nahin tha,meri yaade,mera bachpan sab usme kaid tha. haalaatonki wajahse main heartstone bangaya.mera sirf ek maksad tha marizoki sewa karna,meri zindagi registaan thi aur maine apne aap ko ek band killeme kaid kar liya tha.jahaan kisike liye koi emotions nahin the. lekin achaanak meri zindagi me ek intern ne dustak dee.dr.nidhi verma.chulbuli,manmoji,hunmesha galtiyaan karnewaali lekin dilki bilkul saaf.usne muze kahaa ki woh dr.banana nahin chhahti thi lekin uske baba ki wajah se woh dr bani.apne baba ki laadli thi woh,aur apne DB ki jaan anji uski pyaari saheli aur rohan achha dost.woh hospital aati toh hosp mehek uthta aur children ward ke bachhe muskurane lagte.aur unhe musk dekh main bhi khush hota.humare beech me 18 saal ka fark tha lekin woh muzse jyada samazdaar thi shayad.usne muze sikhaya ki sirf inj aur dawaiyase mareez theek nahin hote.woh bachoko kahaani sunaati,unhe picnic le jaati aur unke saath khub khelti.iss dauraan muze kab usse pyaar ho gaya muze pataa hi nahin chala.lekin phir bhi ekraar karnese darta tha.muze pata tha ki woh muzse pyaar karti hai lekin duniya ke darr se aur use badnaami se bachaneke liye maine use hosp. se beijaat karke nikaala.aur badle me main khud bhi khub dukhi hua.usne meri zindagi badal di,jaise jaise use bhoolneki koshish karta,usse jyada pyaar karne laga.lekin arman aur rohan ne shaayad humare pyaar ko samza aur hume milwaya.lekin humare pyar ko itni jaldi manzil kahaa milnewali thi,ek toh humare beech 18 saal ka furk aur phir uske ghar walon ka virodh.phir mallika se muze pata chala ki nidhi mere baba ke ghar ki maalkin hai,jis se main nafrat karta tha.aur nidhi ne muze bataya ki apne baba ko heart attack se bachneke liye usko woh ghar bechna pada. aakhir humara pyaar kamiyaab ho gaya uske gharwalon ne meri aur nidhi ki shaadi karwai.muze abhi bhi yaad hai woh haldi,woh mehandiki aur sangeet ki raat,humaare phere,jaimala jaise mere zindagi ka suhaana sapna ho.mere baba muze mile mallika ne muze baba ka ghar dilwaya,aur mallika ne jagan se shaadi karli aur woh meri zindagi se chali gai ek ehsaan chadakar. aur achanak muze mallika mili,paagal see raastome bhatak rahi thi,aise darawni thi,koi paas aaye to chillane lagti thi,aur daudne lagti thi,nidhi ne use hospital me bharti karways.main uski haalat dekh nahi sakta tha.muze yaad aaye woh din jab london me woh meri khushiyaan aur gum baatti thi aur mera saath usne her baar nibhaya,lekin mere dil ne kabhi use dost se jyada nahi dekha.woh jitna muzse pyaar karti thi main usse kai jyada nidhi ko chhahata tha,kya kare,dilpe jor nahi gaalib. mallika ne mere baba kemakaanke liye apna ghar becha,uske bhai aur bhabhi use chhod ke videsh chale gaye,jagan ne use dhokha diya,main use kaise ghar se bahaar nikaal saktaa hoon,jab use sab se jyaada dr.ki aur ek dost ki jarroorat hai,main ek dr hoo aur main jaanata hoon ki dr hone ke naate jo main karta hoon pati honeke naate nidhi ko injustice kartaa hoon.lekin pehle mainek dr hoon aur phir kisiska pati.usne nidhi ke saath galat kiya,lekin abhi woh is haalat me nahin hai ke kuchh samaz sake.aur main apne dost ko aisi haalat me kaise chhod sakta hoon.lekin meri zindagi me nidhi ki jo jagah hai woh koi nahin le sakta. comments welcome

Created

Last reply

Replies

4

Views

1.1k

Users

5

Likes

8

Frequent Posters

mudraswathi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
Very good post...

Koi aake past ek hafte ke episodes ko delete maaro toh kitna achcha hoga!
*Dev.* thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 13 years ago
#3
EXCELLENT ALKA...😳

Kaash aisa kuch acha ho raha hota abhi...😭
busybee.. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#4
Very good post alka:-):-) 👍🏼
karajekar thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5

it was wonderful alka



sonali

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".