So us k shahar main kuch din thahar k dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon say
So apany ap ko barbad kar k dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-nazuk us ki
So hum bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari say shagaf
So hum bhi mojaze apany hunar k dekhtay hain
Suna hai bole to baton say phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo bat kar k dekhtay hain
Suna hai raat use chand takata rahata hai
Sitare bam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki gazal se ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko use titaliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnuu thahar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saye guzar k dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
So us ko surmafarosh ankh bhar ke dekhtay hain
Suna hai us k labon say gulab jalate hain
So hum bahar par ilzam dhar ke dekhtay hain
Suna hai aina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dil hain ban sanvar ke dekhtay hain
Bas ek nigah say lutata hai qafila dil ka
So rahravan-e-tamanna bhi dar k dekhtay hain
Suna hai us k shabistan say muttasil hai bahisht
Makin udhar ke bhi jalve idhar k dekhtay hain
Ruke tou gardishain us ka tavaf karati hain
Chale tou us ko zamane thahar k dekhte hain
Kisay nasib k be-pairahan use dekhay
Kabhi kabhi dar-o-divar ghar k dekhtay hain
Kahaniyan hain sahi sab mubalage he sahi
Agar wo khawb hai tabir kar k dekhte hain
Ab us k shahar main thaharain ki kuuch kar jayain
'Faraz' aao sitare safar ke dekhte hain