PART - 18 Kasturi is riding home in an auto. She has tears in her eyes and is remembering all that has happened in the past 3 months since her wedding to Raunak. She is completely broken. She does not know what to expect from her family. How they will react to this situation? What is she going to do now? Her mind will be in a turmoil with all these thoughts. She reaches Chandni Chowk and goes into her house.
As soon as she reaches her house, Robbie turns his car around and goes back! (You see, he has been following her to ensure that she did not take some drastic decision in her anger and that she reaches home safely).
As soon as she goes in, she finds Dadaji, Beeji, Kaushalya, JP, Alka, Pooja and Ajay and her sisters sitting in the living room and along with them are Nandini and Dushyant!!! While she was taking an auto and slowly getting home, they had already driven down to her house to explain the situation to K's family.
Everyone in the room will be solemn and serious. They will all be in a state of shock. As soon as she sees Kasturi, Kaushalya will go and hug her and bring her in. Ajay will take the suitcase from her hand. No one knows what to say and then Dushyant will speak up to break the silence
Dushyant : Kasturi, hame yahaan dekh ke tumko accha nahi lagaa hoga. Lekin hum nahi chahte the ke yeh sab tumhe akele apne gharwaalon ko bataana padhe.
Then he looks at JP
Dushyant : JP Saab, humne sab kuch aapko bataa diyaa hai. Mujhe samajh mei nahi aa rahaa, mei kis tarah se aapse maafi maangu! Mei nahi jaanta Raunak ne galat kiyaa, yaa sahi, lekin.....
Alka (cuts him off) : Sahii??? Aap ko abhi bhi lagtaa hai, aapke bete ne sahii kiyaa??? Isi liye kehti thi ke in bade paise waalon se door raho. Lekin kisine meri ek nahi suni. (and looks at K with anger). Ab bhugtho!
Arre, budha hua toh kya hua, agar mera bataayaa rishtaa karte, toh kam ke kam ladki shaadi-sudha toh rehti. Iss tarah shaadi tootkar waapas toh nahi aati!!! Biraadari mei muh dikhane ke laayak nahi choda hame, aur keh rahe hai ki sahi kiyaa!!!!
Dushyant and Nandini feel very bad.
Alka : Lekin kisiko kya kahe, jab apnaa hi sonaa khota ho toh. (looking at K) Pehle toh shaadi hote hote toot jaati thi, shaadi hui toh socha chalo theek hai, lekin woh bhi teen mahinon mei toot gayee. Arre kaisi kismat likhakar aaye hai??? Aur tere saath saath hame bhi yeh sab sehna padh rahaa hai!!!
And she continues to shout at K. Kaushalya, Ajay and Beeji are upset with her but they can do nothing to control her. Finally Nandini says
Nandini : Aap Kasturi pe kyun bhadak rahi hai? Usskaa kya kasoor hai?
Alka : Arre usi muhjali ke wajah se toh yeh hua hai. Agar woh Robbie ke chakkar me naa padhti, toh aaj yeh din dekhne ko nahi miltaa.
Alka and Nandini get into an argument when suddenly JP gets up and says to Nandini.
JP (folds his hands) : Aap please ab chup ho jaiye aur yahaan se chale jaaiye.
Dushyant and Nandini are shocked and feel humiliated. Everybody in the house is also shocked.
JP (anger building up in him) : Aap dono parivaaron ne milkar, hame jitnaa barbaad karnaa tha, utnaa kar diyaa. Ab yahaan kuch nahi bacha hai aapke liye. Please, chale jaiye. Aur phir kabhi iss chaukhat mei kadam mat rakhiye. Meri saari zindagi ki khushi aur izzat lut gayee hai. Aur yeh sab aap ke ghar ke ladkon ke wajah se hua hai!!! Unhone hamari zindagi tabaah kar di. Aur iske liye mei unhe kabhi maaf nahi karunga.
Everybody is shocked at JP's outburst.
JP (yelling) : Aur kya khade hai yahan?? Aur koi tamasha nahi bacha dekhne ke liye. Please mere ghar se baahar nikal jaaiye!!!!
Dushyant and Nandini get up. They look at Dadaji, but he turns his face away indicating that he is supporting his son. They are very upset but they can understand why JP is doing this and so leave.
JP (looking at his family members): Agar woh ladhke yaa koi bhi us parivaar kaa iss ghar ke aas-paas bhi dikha toh, mujhse buraa koi nahi hoga!!!!
Then he goes away from there. Everybody disperses. Kaushalya, Beeji and her sisters will take Kasturi to her room and they all will hug each other and cry.
Kaushalya : Bas puttar bas. Wahe guru par bharosa rakh!! Mei jaanti hun teraa kalejaa phataa jaa rahaa hai. Tere dil mei kayi sawaal hai aur tujhe lag rahaa hai ke "mere saath hi aisa kyun hua"!!! Yeh yaad rakh ke issme bhi bhagwaan ki koi leela hai. Unpe se bharosa mat uthne dena!!!!!
Everyone will console Kasturi while she is crying her heart out.
Dushyant and Nandini will reach home and tell the family what happened. Everyone will feel very bad.
Purushottam : Chawla parivaar ko iss sadme se nikalne ke liye thoda waqt chahiye. Mujhe lagtaa hai hame unki baat maanani chahiye. (He looks at Robbie) Behtar yahi hoga ke thode din ke liye unse milne koi nahi jaaye. JP saahab kaa gussa thoda kam ho jaaye, phir mei aur Dushyant unse milne jaayenge.
Robbie is frustrated but thinks in his mind "Koi mujhe Kasturi se milne se nahi rok saktaa". He goes to his room, but cannot get a wink of sleep. After a while he will try to call her but she will not answer the phone, because the phone will be lying in her bag and she is sleeping like a log and cannot hear it. Kaushalya will give her some sleeping tablets to make her sleep.
Robbie will think, "phone nahi utha rahi hai. Theek hai kal milunga".
Raunak cannot sleep either. He is lying in his bed thinking over all that happened. Suddenly he hears a knock on his door. He gets up and opens it. Robbie is standing outside.
Robbie : Sorry Raunak, jaantaa hun tumhe disturb kar rahaa hun. Lekin yeh bahut zaroori hai ke mai tumse baat karun.
Raunak : Koi disturbance nahi hai, Robbie. Waise bhi mei kahaan so rahaa tha!
Robbie comes in and Raunak closes the door. There is an awkward silence between them.
Robbie (very sincerely): Samajh mei nahi aata kahaan se shuru karu. Lekin jahaan se bhi karu, ek baat par aake rukegi. (He looks at Raunak) 'Sorry' par.
Waise toh yeh shabh bahut chota hai, lekin aaj yeh mere liye sabse badaa shabd hai. Sorry, ke maine tumpe bharosa nahi kiya!
Sorry, ke maine tumhe itni ghinauni baatein kahi!
Sorry ke mei tumhe bachpan se jaante hue bhi, tumhe galat samajh baitha!
Mei apne aapko kabhi tumhaara dost nahi keh saktaa, kyun ke mei iss kaabil hi nahi hun, ke tumhaara dost ban saku.
Meine Nikhil jaise badmaash pe bharosa kiyaa, lekin uspe bharosa nahi kiyaa jisne bachpan se meraa saath diyaa! Iski sazaa toh mujhe bhugatni hai.
Mei tumse maafi nahi maangungaa, kyonki meri galatiyaan maafi ke laayak nahi hai. Lekin mei tumhe Thank you zaroor kehna chahta hun. Jo tumne dost bankar kiyaa, woh koi nahi kar sakta!!!! Tumne Kasturi ki shaadi kisi budhe aadmi se hone se rokkar usski jaan bachaaai. (with a lot of feeling) Raunak, tumne Kasturi ki nahi, meri jaan bachaci hai. (His eyes are moist) Kasturi ki kasam, mei teraa yeh ehsaan kabhi nahi bhoolunga!!!
Raunak : Please Robbie, yeh kya keh rahaa hai...
Robbie : Nahi Raunak, aaj mujhe bolne de! meine kabhi nahi socha ke mei zindagi mei itnaa neecha girungaa!! Lekin apne pyaar khone ke dukh ne mujhe paagal banaa diyaa tha. Woh pyaar, jo mujhe achaanak milaa, lekin milte hi meraa jeevan ban gayaa, meraa sab kuch!! Tum jaante ho mei bachpan se hi kitnaa sentimental tha, mei emotions me aisaa beh gayaa ke sach kyaa hai, yeh samajh nahi sakaa!!!!
Robbie is crying.
Raunak is very touched and he comes near Robbie and they embrace each other!!! Raunak rubs Robbie's back kind of calming him down and says
Raunak : Mere bhai, ab chup ho jaa!!! Mei tumhaara dukh samajhtaa hun. Tujh pe kya beet rahi thi, mei jaanta tha kyonki meine bhi apnaa pyaar kho diyaa tha!! Mujhe tumse koi shikaayat nahi hai!
And then he separates Robbi from him and wipes Robbie's tears and says
Raunak : Problem hum dono mei hai. Tum ek emotional fool ho, aur mei ek practical fool. Meine Neela ko khoya, kyonki mei apne dimaag se sochne lagaa, dil se nahi. Aur tumne Kasturi ko khoya kyon ki tumne dil se socha, dimaag se nahi!!!
Sach kaho tho iss me meri bhi galti hai. Tumhe, bahut pehle Divya ke baare me bataa denaa chahiye tha. Lekin mei jaanta tha ke tum aaj tak ek behen (Shivani) kaa sadmaa nahi bardaasht kar sake toh mujhe lagaa Divya koh bhi dukhi dekhkar tum shaayad ekdum toot jaao. Isiliye meine Divya ki baat chupaayi. Lekin meri galti yeh thi ki mei yeh bhool gayaa ki Kasturi tumhaare saath thi aur woh tumhe sambhal leti!! Mei samajh nahi sakaa tum donon kaa pyaar kitnaa gehraa ho chuka tha!!! Robbie, mujhe bhi maaf kar de, Kasturi se shaadi karke meine tumhe aisa dukh diyaa, jo mujhe zindagi bhar haunt karegaa!!!
Both of them hug and cry. They continue talking in Raunak's room till the wee hours about Neela, Raaga etc and finally Robbie says
Robbie : Mei subah hote hi Kasturi se milne jaaonga.
Raunak : Nahi Robbie, meri baat maan. Tu usske ghar abhi mat jaa. Usse do-teen din ka waqt de. Itne mei hum Sharma ji se kahenge ke, woh Kasturi ko kaam pe bulaaye. Mei jaanta hun Kasturi ab yeh naukri chod degi, lekin usse 1 month of notice denaa padegaa, jiske liye usse job zaroor continue karnaa padegaa. Tab tum wahan jaake usse milnaa.
Robbie : Excellent idea!!!
Raunak : Once again, I am sorry Robbie about Kasturi. Lekin mei tum donon ko zaroor milaungaa. Tujhe, Kasturi koh thoda waqt denaa hogaa sambhalne ke liye.
Robbie (with determination) : Mei zindagi bhar usska intezaar karungaa. Mere jeevan mei usske sivaa na koi hai aur na koi aayegaa!!!
Edited by pragalbha - 17 years ago