aisa sochne ke bahut se reasons hai
1. prerna ne kaha ki agar ye raaz khula to wo kissi ko mooh dikhane ke layak nahin rahegi
2. anaita kaise anu ko kali mandir se le gayi use kaya pata tha ki ye sab hoga
3. anaita ne sam ko behoshi ki halat mein sadak se uthaya aur court mein jakar prerna ke haq mein bayan dene ko kaha
4. jitni sachai is baat mein hai ki anu bajaj ko nahin mar sakta(acc to prem) prerna bhi anu ko nahin mar sakti
5. ab anaita anu aur prerna ko jani dushman banana chahti hai yahi usne sam ko kahan hai ki dono ke beech mein aisi dushmani ki deewar khadi karo ki ek dusre ki jaan lele?
6. jheel se jo lash mili usne anu ki ghadi pehni thi agar anu jinda hai to wo lash kiski thi aur use wo ghadi kisne pehnayi