He's style personified, aaj to style ki baadh hi aa gayi aur main us badh mein behti chali gayi....kuch nahi kar payi!!
Ok...this is a "Ronit-only" update...so read on your own preference people!!!😆
Scene#1!!
RB talking to Gupta in his "one and only" style!! Dont get me wrong Ronitians, it's not that RB has only 1 style, it's unique, it's the ONE AND ONLY RB style!!!😛
RB- Gupta, mujhe woh tender chahiye. Main kuch nahi jaanta, tum kam se kam quote karo. Main tumhe poora haat deta hoon. Jise dena hain, jitna dena hain, do! Magar mujhe har haal mein woh tender chahiye. Woh Anurag ko nahi milna chahiye. I want it...
And then he dis-connects the phone. All the while he was talking on the cell, he had narrowed his eyes and was looking DEADLY and VENOMOUS!😳
He's sexily dangerous, beware Anurag and even more, Prerna, you wont be able to resist him for too long😉
Scene#2!!!
At the meeting, RB fixes his deadly stare at Anurag before sitting down on his chair. When he wins the award, the "I-am-OK" look on his face is instantly replaced by that " I-am-the-best" sly smile which always does jaadoo-tona on me! The way he shaked hands....too good!
And then, the MAHA confrontation with Anurag. Just as Anurag was going away, RB stopped him-
" Ek minute Mr.Basu. Yeh to bas shuruaat hain...aage aage dekhiye kya hota hain. (And then this dialogue I LOVED) Rishabh Bajaj ki zabaan ko khoon lag gaya hain Mr.Basu. Ab main aapko nahi chodoonga. Mr.Basu, mere andar ka jo premi hain, woh hamesha se hi aapke parchayi mein jeeta aaya hain. Mere andar jo pati hain, Shayad woh bhi aapse haara hain....par mere andar jo pita hain, us-se zara bachke rahiyega (aah!). Kasak ke saath jo bhi hua, uska anjaam achcha nahi hoga!So, be careful. You too, Mr.Khanna..👏
And then he walks off with his "I-came-I-saw-I-conquered" air in his walk....I was going mad...just looking at him...WOW!😳
Scene#3!!
He reached home, only to see Kasak coming down the stairs and then, immediately, he lost his cool-
RB- Prerna!! Prerna!!!!! Is ladki se keh do ki jis din isne maa ban-ne ka faisla kiya, usi din iske pita ki maut ho gayi. Ab yeh is ghar mein reh sakti hain. Is chat ke neeche reh sakti hain par iske hone ya na hone se mujhe koi faraq nahi padta. Iske astitva se mujhe koi lena-dena nahi. Ab is-se mera koi rishta nahi, koi vaasta nahi. Aur haan...(cooling down) Jaldi se tayyar ho jao, hume party mein jaana hain!
When Prerna tries to argue, he asserts in his SMOOOOTH tone-
RB- Prernaaaa, Maine kaha na?! Hame party mein jana hain, tayyar ho jao.Aaj maine Mr.Basu se ek bahut hi ahem contract cheena hain aur is party ka maksat hain meri jeet aur unki haar. Agar tum mere saath na aana chaho, to beshaq, na aao, main samajh jaoonga ki tum Anurag ki haar ka maartam mana rahi ho!!
This was toooooooo good yaar!! Simply mind-blowing!
Scene#4!!!
Rishu-Prerna walked down the stairs, both looking AWESOME in their all-BLACK attire, very well justifying the mood and their mindset. Bajaj came up and gave this little speech-
" Main apni is jeet ke liye apne prati-dvandiyo ka dhanyavaad karna chahta hoon. Kyunki agar koi harne wala nahi hota, to koi jeetne wala nahi hota. Aur agar woh na hote to main is mukaam par na hota! Main is jeet ke liye apne company ke sare workers ko badhaai dena chahta hoon. Thank you very much"
And he signed off...in STYLE!!!!!
And the the possessive way in which he danced with Prerna....WAH WAH!!!
Why the hell does he need to MAKE HER LOOK AT HIM! I'm in lone RB, you wont need to do ANYTHING.....I will keep staring at you non-stop! You will need to tell me to STOP! LOL!😆
Anyways, the dance was intimate and HOT and then, this GIGA-sarky talk with Anurag-
RB- Mr. Anurag Basu. Aaj main bahut khush hoon. Aur yeh khushi meri jeet se zyaadaa aapke haar ki hain. Bahut jaldi, aap mujhe is seedi ke sabse upari paaydaan par payenge aur apne aap ko, sabse neeche!! Isi tarah main aapke company ke SAARE contracts cheente rahoonga. Suna tha aapko is contract ki bahut zaroorat thi...par kya kare? Hota hain...Bas isi tarah,aapki company, aur aapke parivaar ki kamar toot jayegi...bahut jaldi.
Waise woh jo aapka beta hain na Shravan, Sorry....aapka bhatija...use to Bhatija bhi nahi keh sakte...woh jo Shravan aapke ghar mein rehta hain na! Socha tha uske liye kuch karoo, bechare ki nayi nayi shaadi hui hain. To socha tha ki jab aap poori tarah barbaad ho jayenge, main use apne yaha naukri de doonga. Magar woh bhi nahi kar sakta na?! Kyunki meri company ko WAFAADAAR aur INAAMDAAR logo ki zaroorat hain, aur Shravan mein to WAFAADAARI ka ek katra bhi nahi!!! Anyways, all the best Mr.Basu!
Chalo prerna!
WOOOOOOWWWWWWWWW!👏
OLD RB WAS SENSATIONAL!!!!😉
TOO GOOD!!!!!
90% of the dialogues written are same-to-same as spoken on TV, so hope u all enjoyed it!!!!
I LOVED IT!!!!!!( the episode)😃
Ronit ROCKS LIKE NO OTHER!!!!!
OOOOOOOOOH!😳