another one of the great diaologes i think is the one on thursday's episode..the dil to pagal hain wala scene...
angad:
maine tumhe blulane ki bohot kosish ki...
hamesha yehi chahe ke tumhare kushi ke liye main akela jeena sikh lu...
darr lagta tha ke kahin mere ek bhi galti tumrare aur tumhare kushion ke beech na ajaye...
mere har kosish na kamiyab rahi, kyuki ye mumkin hin nahin hain...
jaise suraj se roshni aur phulo se kushboo judaan nahin ho sagti, waise hi mere zehen se tumhari yaad judaah nahin ho sagti...shayad mere marne ke baadh bhi nahin... 😳
nahin. kuch mat kehna...
warna mera jaazbat mere junoon ban jayega.
abhi ye achaa rahega ke main tumhare akhon se dur chala jao..
main jaata hu ke abh tum kisi aur ke amanat ho..
lakin ye pagal dil kya kare..sirf tumse pyar karta hain...
main nahin chata ke mere dil main dubara wo armaan jaage ke main sochne per majboor ho jau ke tum mere zindegi main dubara aa sagti ho.
isliye main tumhare zindegi se dur ho jana chata hu..
kyuki yehi sahi hain... 😭
sorry abt the spelling mistakes...but this scene was really beautiful na? 😳 😳