If I was Kripa, this is what I would be feeling right now:
Kyun kiya tumne aisa? Itna pyar karte ho mujhse ke mujhe meri hi nazron mein gira diya. Tumne to wo saza payi hai jiski khata tumne kabhi ki hi nahi. Aur main? Main to gunah ke samandar mein itni door ja chuki hoon ke khud ko bahar aane ke kabil hi nahi samajhti. Kash us din jab maine hamare pyar ki nishani khoi thi. Kash us din main tum par yakeen kar leti Angad. Apni bikhri hui zindagi ki zimmedar main khud hoon. Par main tumhen ab aur dukh nahi de sakti. Aur tarapte hue nahi dekh sakti hoon tumhen. Meri zindagi ka sabse acha din wo tha jab tumne mujhe apnaya tha lekin ab us se bara din wo hoga jab tum mujhe maaf kardoge aur main tumhari bahon mein sar rakh kar zindagi ke sare gam bhula doongi. Ho sake to mujhe maaf kar do Angad (That's all she can say now😆). Please mujhe maaf kar do.
Tumhari zindagi,
Kripa