hey guys i was listenin to music , and u all know how i like to post songs regardin angad and kripa, its sooo fun to do. but anyways i was listenin to this song from talaash, its soooooooo good and romantic!!! and it majorly suits angad and kripa. read the lyrics, they make sooo much sense in regards to both of them. especially the male lyrics. they are sooo beautiful!!!!!!! HOPE U GUYS ENJOY THIS!!!! CUZ I AM!!!đ
--FEMALE--
Armaanon ke is gulshan mein
Tum aaye ho saawan ki tarha
Yaar badal na jaana mausam ki tarha
O mere yaar badal na jaana mausam ki tarha
--MALE--
Tum kya jaano, mere dil mein
Tum rehti ho dhadkan ki tarha
Yaar badal na jaana mausam ki tarha
O mere yaar badal na jaana mausam ki tarha
--FEMALE--
Saagar ke sang laher kiran sooraj ke saath mein chalti hai
Shamma hamesha parwaane ki chaahat mein hi jalti hai
--MALE--
Ho, phool mein khushboo rehti hai aur seep mein moti rehta hai
Tera mera hoga milan dharti se ambar kehta hai
--FEMALE--
Mere honton pe rehna har dam
Saazon mein chhupi sargam ki tarha
Yaar badal na jaana mausam ki tarha
O mere yaar badal na jaana mausam ki tarha
Milke juda ab hone se, dil kyoon darrta hai khone se
Haan, milke juda ab hone se, dil kyoon darrta hai khone se
--MALE--
Main tere saath mein ab rahoonga sada
Maine li hai kasam, hai mera faisla
Aakhri saans tak hum na honge juda
--MALE--
Yaar badal na jaana mausam ki tarha
O mere yaar badal na jaana mausam ki tarha
--MALE--
Tum kya jaano, mere dil mein
Tum rehti ho dhadkan ki tarha
Yaar badal na jaana mausam ki tarha
O mere yaar badal na jaana mausam ki tarha
--FEMALE--
Sarkaar badal na jaana mausam ki tarha
Dekho yaar badal na jaana mausam ki tarha