Am posting a couple of depressing asahaar , after feelin down frm last nite's epi....
(These are not my own... so I am merely reproducing them here ... credit goes to the original writers)
1) SANAM
Kisse se mange Dawa Zakhmon ki
Sabhi ne Chotein Khaain hai
kisi ka Sanam Bewafa hai to
kisi ka Sajaan Harzaai hai
2) Tearful Love
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Sazaa mili hai humey tumsey dil laganey ki…
3)
HUMNE SOCHA KI TUMHARE CHAHNE WALE SIRF HUM HAI,
LEKIN TUMHARE CHAHNE WAALON KA KAFILA NIKLA.
JAB HUMNE SHIKAYAT KI KHUDA SE,
TO WOH KHUDA BHI TUMHARA NIKLA
4) Misc One-liners
"Ajab aarzoo anokhi talab hai, tujhee se tujh ko maangna chaahataa hoon"
"Doori ke gham kuch aur siva ho ke rah gaye, hum unse kya mile ki juda hoke rah gaye"
"Bhooli bisree chand ummidey, chand fasaaney yaad aaye, tum yaad aaye aur tumhaare saath zamaane yaad aaye"
"Dil dhadakne ka sabab yaad aaya, woh teri yaad thi ab yaad aaya"
"Mausam aayenge jaayenge, hum tumko bhool na paayenge"
"Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki, bahut aarzoo thi mulakaat ki"
"Dil ka veeranaa ho gaya lekin, ab bhi hai teri aarzoo is mein"
"Aur to kaun hai jo mujh ko tassalli deta, hath rakh deti hai dil pey teri baaten aksar"
5) Zindagi (Life)
Tufano mein Kashti ko Kinaare bhi milte hai,
Jahan mein Logone ko Sahaare bhi milte hai,
Duniyan mein sabse Pyari hai Zindagi,
kuch log Zindagi se bhi Pyaare milte hai.
6) Udaas Dil
Aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir kyun ye tanhai hai
7)Muskurane ki ada
Mat Muskurao itna
Ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.
8)Zakham
Gairon ke Zakham
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko azmaya hai
Log katonse bachke chalte hain
Humne phoolon se zakham khaye hain.
9)Pyar Ek Ibaadat
Na mein Kamzor hoon, na mera Pyar
Kaun Darata hai iss Zamane sei
Kyun inse Bayan karu Mai Apna Pyar
Kyun Labo pe Layou Mai Unka Naam
Pyar ki Hakkikat kaya Duniya jane
Pyar to veh Ibaadat hai Jo Dil mein Umre
Aur Aankhon se Bayan Ho!
10) Lost Lover
Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.
Mohabbat ke naam se darte thhey
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi
Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey
Achaanak hi manzil dikha gaya koi
11) By Mirza Ghalib ( It is not Love it is Madness)
Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi
Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi
Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi
Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi
Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi
12) Finally This one (which is my personal fav)
TU MERA GHUROOR HAI
Tu mera khawab hai
Tu meri taabeer bhi
Tu meri Khamoshi hai
Tu meri awaaz bhi
Tu meri zindagi hai
Tu meri taqdeer bhi
Jo kanton par nagey paon chaley
Woh majboor tasveer bhi
Tu taptaa hua sehraa hai,
Tu pyasi mitti par baarish ka ehsaas bhi
Jou doobtey huey ko bachaa ley
Aik tinkey kii aaas bhi
Tu mera vardaan hai
Tu mera shraap bhi
Lambi kaali raton mein, jaag key jo maangi ho,
Wo hasrat bhari dua bhi…
Tu mera zakhm hai
Tu meri dawaa bhi
Nass Nass mein jo dourti hai,
Khoon ki raftar bhi
Dekh nahin sakta kissi aur key saath tujhey
Bahut bura lagta hai
Choo leyti hai agar tujhey hawaa bhi
Sab kehtey hein
Maghroor hoon mein
Woh kya janein
Tu mera kaun hai aur tu mera kya hai
Tu mera wajood hai
Aur tu mera ghuroor bhi….
( I hope u ppl r not bored by this but I thought some of the couplets apply to Angad's current situation very well, esp the last one .... he can quote this for Krips ..... it wud be very suitable.
Let me know wat u think about these lines.
😆