|
Tujhe dekhe bina Teri Tasweer bana sakta hoon Tujhe mile Bina Tera haal bata saktaa hoon Meri mohabbat main itni kashish hai k Apni ankh ke ansoon Teri ankh se gira sakta hoon Na ho itni anjaan mujh sai sambhalnai do zara Terai sapnoon ko hakekat ka anchal bana sakta hoon Uthta hai aik walwala e josh har shab youn hee Iss dunya ko terai agai gira sakta hoon Na tha ashna terai iss gham k sabab sai Par abb yai mayossi ke buneyaad hila sakta hoon Too kya janai zalim teri aik nigha k leyai Terai angan mein pori sham bita sakta hoon Dekhai kahan hai tum na dewana ;FARHAN; jaisa Teri aik muskurahat par apni jan luta sakta hoon ------------------------------------------------------------ Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi Itni gehri Chahat ka hasil - o - hasool kuch bhi nahi Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per Per hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi |