dosto.. is bar main ek kahani laya hu aap logo ke liye... maine bahut sari kahaniya padhi is forum main.. sabhi bahut achchi thi.. unko padh kar laga ki kyun na main bhi ek kahani likhu.... jo sirf aur sirf sujal par ho...
khunki dosto hum sujal se sirf sujal {rajeev} se behad pyar karte hain... aur hum use hi har scene main dekhna chahte hain... to maine aise hi.. socha kyun na sujal ko hi aapke samne le aau... thik waisa jaisa hum chahte hain...
meri is kahani ki shuruat to ho rahi hai.. par anjam kanha hoga nahi janta.. muje isme aap logo ke pyar aur sahare ki jarurat hogi... denge na?
kahani yanha se shuru hoti hai....
meri yah kahani wanha se shuru hoti hai jab kashish, piyush se shadi karne ke liye haan kah deti hai... aur sujal is bat se anjan business ke silsile main out of town hota hai...
jab wo aata hai.. aur jab use pata chalta hain to wo seedhe kashish ke ghar jata hai usse milne... kashish ghar par akeli hai.... sujal ne wahi black shirt pahan rakha hai.. kashish opens the door....
kashish;- sujal.... tum....?
sujal;- {khamosh hain par uski aankhe nam hain...} ................
kashish;- kya hua sujal..? tum chup kyun ho...?
sujal;- main tumhari khamoshi ko mehsus karna chahta hu.. par kyun aaj pahli bar main tumhari khamoshi ko samzne main nakamyab ho raha hu...
kashish;- oh.. iska matlub tumhe sab kuch malum chal gaya.. sujal main tumhe batane hi wali thi ki...
sujal;- ki main kisi aur ki hone ja rahi hu...
kashish chup ho jati hai.. aur uski aankho main aansu aa jate hain..
sujal;- mujko lagta hain kashish ki tumse jyada tumhare aansu mujse pyar karte hain... jo muje dekhkar hi aa jate hain....
kashish;- ..sujal..pls..
sujal;- aaj kyun muje mera naam tumhare muh se sunake khushi na hui.. aakhir kya bat hain kashish..?
kashish;- main tuhare kisi bhi sawal ka jawab nahi de sakti sujal....
sujal;- aaj nahi kashsih.. aaj nahi... yah sujal grewal khamoshi se apni jan de sakta hai.. par apni jindgi ko kisi aur ke hatho main jate nahi...maine aaj tak tumse kuch nahi pucha.. maine aaj tak apne pyar ko har sawalat se dur rakha.. par aaj nahi... agar aaj sujal chup raha to shayad kabhi na bol payega.. aaj tumhe kahna padega kashish...
kashish;- main majbur hu sujal...
sujal;- majbur... kitni aasani se tumne apni bewafai ka naam majburi de diya kashish... aakhir aisi kounsi majburi hai jo tumhe mujse alag kar rahi hai..?
kashish;- main nahi kah sakti..
sujal;- tum kah nahi sakti... ya kahna nahi chahti....
kashish;- pls sujal... kyun mera imtihan le rahe ho...
sujal;- me le raha hu imtihan..? imtihan to tumne liya hai mera.. mere pyar ka.. mere vishwash ka...
kashish;- pls sujal main tuhare aage hath jodti hu.. mujse kuch na pucho...
sujal;- kuch na puchu..? chupchap rahu...? nahi kashsih nahi.. bachpan se lekar aaj tak sujal apni har khushi dusro ko deta aaya hai.. par wo chup raha.. bachpan se le kar aaj tak main apna hak khota aaya hu par ye sujal chup tha.. par aaj.. aaj jab sujal ki jindgi kisi aur ke hatho main ja rahi hai aur tum kahti ho ki main chup rahu... nahi kashish nahi... ITNA MAHAN NAHI HU MAIN...
kashish doud kar apne aapko kamre main band kar deti hain...
sujal;- kashish...kashish..darwaja kholo.. muje itna majbur mat karo kashish ki ye sujal us sujal ko bhulne par majbur ho jaye.. jise tumhare gusse par bhi pyar aata tha.. kashish.....
kashish;- pls sujal chle jao.. chle jao yanha se.. tumhe meri kasam ...
sujal;- chla jaunga kashish chla jaunga.. kyuni yeh sujal aaj bhi tumse bahut pyar karta hai.. main aaj bhi tumhare aankh main aansu nahi dekh sakta... par mere jane se kisi galatfahmi ka shikar mat ho jana... main wapas aaunga kashish... aur tab koi muje na rok payega...tumhari kasam bhi nahi... main ja raha hu kashish..
sujal chla jata hain... kashish use jate hue dekhti hai khidki se....sujal bhi use dekhta hain.. aur dosto beckgroud music aata hain..
{in man's voice}
"jo hain hotho pe uske..kya wahi uske dil main...
kuch abhi wo lagti hain..kuch wo ho jaye pal main...
rah main chalte chalte, wo kanhi bhi mud jaye...
ban gayi hai paheli..ab ulazti hi jaye...
dhup ki tarah jale.. ban ke saya wo chle....
wo samaz main na aayi...
apno ko yar kiya tha...chot hain khayi....
thoda sa pyar hua tha...ab bhi hai baki...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~'
dosto aaj ke liye itna hi.. kaisa laga.....?