finally....................
name is....
Kriti...........
okai 😉
now names r
sameer
sahil
kajal
kriti
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 29th Sept 2025.
PAAV PHISLAA 29.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Sep 2025 EDT
India Won Asia Cup 2025- Trophy Missing! Glory Without the Trophy?
Geetanjali to die?
And Janhvi gives another flop!!
101 ways to patau your pati
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
Aishwarya Rai at the Paris fashion week
Bhagwan Ke Charnon Mein Swarg
Trump's 100% tariff on Bollywood films
✦ Font-astic Voyage Contest Voting Round 1 | Invites ONLY ✦
What's next? (Multiple votes allowed)
TILL NOW WHOLE STORY....
CUTE FACE :
i m writing ...but some one must have to continue ...plz ..yaar becoz
kyun ki itna pyaar tum ko
kertey hein sanum
kya jaan lo gye
humari sanum
kyun ki itna pyaar tum ko
kertey hein sanum
kya jaan lo gye
humari sanum
humarey dil ki tum
thori si kadar kerlo
hum tum pe martey hein
thori si fikar kerlo
fikar kerlo.......................
so finally first part here for all rajeevians
we see a master bed where four cute babies lying on bed .....
then we see amna enter in room scream ....
amna: rajeevvvvvvvvvvvvvvvvvvvvvv
rajeev enters in the room quite frustated
rajeev: kya hai kis khushi main itna chikh rahi ho
amna: tum kesey baap ho apney bachoo ko nahi dekhsaktey
rajeev: dekho amna mujey shoot per jana hai ...tum kyun nahi rakh letein khayal
amna: tum kis liya ho
rajeev: arey jab char char samhaal nahi saktein tu paida kyun kerti ho
amna: tu main kaha thaa
rajeev: arey sab sahi kehtey tum lerkiyaan shaadi sey pehley kuch hoti ho aur shaadi ke baad kuch
ama: tum bhi tu essey hi ho shaadi se pehley duniyaa ke samney merrey aahein bhertey they ab tumharey pass time nahi hota merey liya
plz sum one carry on
SAARA :
let me continue....
babies....wwwwaaannnnn wwaaaannnnnn.......
rajeev: arre inhe kya howa...
aamna: sab tumhari waja se....
rajeev: ab maine kya kiya...
aamna: chaloo do ko tum uthaoo.....aur do ko main
rajeev: par mujhe deeir ho rahii haii...!!!
aamna: pehle toe kehte thee mujhe bachee bohat pasand hain.....aur 7 bache chahiyein...4 ke baad yeh haal hai....toe...
rajeev: arre baba bach toe ab bhi bohat pasand hain.....aur haan mujhe saath bache hi chaiyein....
aamna: FORGET IT! pehle char ki care karna seekho....jab perfect ho jaoo ge tab sochein ge....
ab koi aur continue kare....kyunke....agar maine kiya na....toe baki ke teen bache abhi hi ho jayeinge...
MOHSIN :
areee... mai hoon na continue kai liai.... & ;nbs p;
sorry pinky laikin kiya hai kai mai rajeevian hone kai sath sath sk jodi fan bhi hoon........
ok now my turn...............
babies: awwwwwwwwwwwww......awwwwwwwwwwwwwwwwwwww
rajeev: ab kiya hua inn ko
amna: mujh sai kiya puch rahai ho..... jo do mairi god mai hain wo toh ek dam chup hain ...
rajeev: matlab....
amna: matlab yeh pati dev..... bachon ko aisai nahi aisai pakartai hain.......
rajeev: arey yar... mujhai jaana hai..... warna director mujhai khub khari khari sunai ga....
amna: tum kaisai insaan ho rajeev.... ek duniya tumhari fan hai..... bahar kehtai ho kai bachay toh bhagwan ka dusra roop hain.... or yahan yeh hal hai kai tumhain bachon sai ziaada kaam ki pari hai.... budhooo...
rajeev: yeh budhoo kiun bola.....
amna: kiunki tum ho.......
rajeev: woh kaisai....
amna: tum nai muhjhai 2 weks pehlai promise kiya tha kai tum mujhai or bachon ko park mai lai ker jao gai....
rajeev: haan kaha tha toh......
amna: aik baat toh batao......
rajeev: tum aik kiya 100 batain puchna laikin abhi nahi... shoot ready hone wala hai....
amna: laikin tum nai toh mujhai kal bataya hee nahi kai tum sunday ko bhi shooting kertai ho....
rajeev : haan toh mai sunday ko shooting kab kerta hoon....
amna: phir tumhara dimaag kharab hai.... aaj sunday ko ap kis kai paas jaa rahai ho shooting kai liai...
rajeev: are wo toh....................... kiya.......... aaj sumday hai.....
amna: haan budhoo ram ..... aaj sunday hai....
rajeev: laikin mujhai laga kai aj saturday hai..... 1 min zara calender daikh loon....
amna: yani kai ab tumhain mairi baat ka bharosa bhi nahi.....
rajeev: aj toh wakai sunday hai.... or mai aiwain tayyar ho gia.......
amna: acha ab kab chalo gai park..... bachay bhi apnai baap ki waja sai upset hain ... daikho....
rajeev: laikin.. tayyar hona parey ga.....
amna: wo kiun
rajeev: park mai nahi jaana...
amna: mai kiya keroon tumhara rajeev...... tumhara dimaag hota kahan hai......
rajeev: ab kiya hua....
amna: tum abhi tayar ho ker janai walai thay na.... apnai kaprey bhi change ker chukai ho.... ab kiya tayyar hona hai.......
rajeev: sweet wife sahiba.... mai tayyar hun... mai ap ki baat ker raha hoon.... zara apnai balon ko toh daikho... bilkul churailon ki tarha phailai huai hain....
amna: kiya.... mai tumhain churail lagtee hoon.... shaadi sai pehlai toh hur pari kehtai thay .... ab churail....
rajeev: haan.... kiunki shaadi sai pehlai mujhai kabhi kehnai ki zarurat hee nahi paree ..... aap khud hee apnai balon ko brush ker liya kerteen theen.......
amna: oh........ acha wo.........
rajeev: ab yeh na kehna kai tum ho na brush kernai kai liai......
amna: agar keh diya toh
rajeev: toh yeh kai yeh do bachay jo icc wakt meri god mai hain.... agar inhain chora toh yeh phir ro parain gai..... or tum as usual phir shuru ho jao gee.....
amna: acha.... bachay toh mairi god mai bhi hain.....mai kaisai balon ko brush keroon
rajeev: bas thori see scence use kero..... jo bachay tumhari god mai hain wo ab so chukai hain.... tum inhain bed per rakho or apnai balon ko theek kero...
amna: (bachon ko bed per lita ker) yeh bachay jo tumharai pas hain mujhai pakrao...
rajeev: kiun....
amna: are baba.... pakrao toh sahee....
rajeev bachai amna ko dai daita hai...
amna: acha yeh lo brush or mairai baalon ko brush kero...
rajeev: kiyaaaaaaaaa........
amna: haan.............
phir rajeev barey pyar sai amna kai balon ko brush kerta hai.... phir wo dono bachon ko lai ker car mai baith jaatai hain or park chalai jaatai hain....
ab park mai kiya hua.... yeh guys tum logon ka kaam hai.....
SAARA :
aur yeh yahan chat ziyada ho rahi ahi....story continue karoooooo....
chaloo main karoon ....ok humara target 8 bachon pe chala gaya hai jaise plan tha...pehle bhi
lekin abhi hum char bachoon se \kaam chalainge....
rajeev:acha baaba chalo ab chalein....aaj park main ghumne ke liye....
(rajeev aamna charoon bachon ko prams main daalte hain....(twins ke liye jo prams hoti hain na waisi)..aur ek ek pram lee leete hain)
park ke bahar poohanchte hi kuch fans aa jate hain autograph leene ke liye jodi se...
rajeev:aaamna chalein....
aamna: haan chaloo....
rajeev aamna ek bench pe jaa kar beethte hain....aur aamna ko ek balloon wala nazar aata haii..
aamna: rajeev main ek min babies ke liye ballons lekar aati hoon..
rajeev: acha ok main yahin hoon...
as soon aamna leaves sum more fans cumto take autograph 4rm rajeev....n gets busy deir...
jab aamna aati hai toe ek baby ghayab hota haii...
aamna: rajeeeeeeeevvvvvv.....ek baby kahan haiii.....
rajeev: arre aamna yahin toe tha...
aamna : kasie insaan ho tum .....char bachoon ke baap ho aur flirt kar rahe hoo... ....sharam nahi aati
rajeev: tum ghalat samjh rahi hoo...main toee...
aamna: haan haan ....sirf baat kar raha tha....
rajeev : haan
aamna: shutup aur baby dhoondooooo...
rajeev: aare tum roo nahi mera beta hai jahan bhi ho ga....ladkiyan bhi aas paas hoongii..
aamna: tumhe toe main abhi batatii hoonnn
ab koi aur cont karee
MOHSIN :
oho saara.... mai hoon na continue kai liai.....
phir rajeev n amna dono bacha dhoondtai hain.....
rajeev nai do ko pakar rakha hai n amna nai ek ko....
rajeev: arey amna wo daikho....
amna: kiya
rajeev: wo..... rahul
amna: kahan
rajeev: saamnai daikho....
phir aamna daikhtee hai kai amna ki apni mom nai bacay ko liya hua tha...
phir wo rajeev n amna kai pas aatee hain...
amna's mom: kiya hai kai mai aaj tum dono sai milnai aa rahee thee... toh daikha kai tum log kahee ja rahai ho...
rajeev: laikin aap yahan...
babra: mai yahan tum logon ka peecha kertai kertai aayee hoon...
amna: kiya..... hamara peecha...
rajeev: what.......
babra: haan... yahan aayee toh daikha kai amna bachon kai bahaney apney liai baloon lai rahee hai...
rajeev laughed a lot
n amna in mod n looking at rajeev
babra: phir mai rajeev kai pas aayee toh daikha kai wo baichara bachon kai sath sath fans ko bhi sambhaal raha tha.... sach amna tum toh yunhee rajeev sai lartee rehtee ho.... allah ka shukar kero kai itna acha jeevan saathi mila.... or tum ho kai char kai char bachay chor ker wahan baloons lai rahee ho...
acha rajeev yeh lo rahul ko pakro
but rajeev nai toh pehlai hee do bachon ko paker rakha tha....
babra: lo amna tum mujhai apney yeh baloons do or yeh pakro icc ko bhi......
guys babra is amna's mom...
to b continued....... ab mujhai mairi mom bula rahee hain... abhi aaya,,,,
RAJEEV KI HEER :
Rajeev aur Aamna ko bacha mil jata hai aur woh ghar aa jate hain.aamna bahut gusse mai hoti hai.
aamna: rajeev aaj kal tum mara aur bachon ka jara bhi khayal nahin rakhte ho.
rajeev: amu darling maine sorry to maang li hai.
aamna : sorry to tum har bar maang lete ho aur bhir se galti karte ho. bas ab aur nahin .main mummy ko tumahri shikayet karti hun.
rajeev :arre aamna mummy ko mat batana. agar tum ne mummy ko bataya to woh daddy ko batayengi aur daddy se mujhey bahut daant padegi .
aamna: achcha hai ,tumhe dant padni chahiye.
aamna jaipur apni saas ko phone karti hai.
mummy: hello!
aamna: hello mummy main aamna bol rahi hun.
mummy: aamna beti kaisi ho?
aamna:mummy main to theek hun lekin aapka beta mujhey bahut tang karta hai. woh bachon ki care karne main meri jara bhi madad nahin karta hai.
mummy: achcha jara use phone dena main abhi use batati hun!
aamna rajeev ko phone deti hai.
rajeev: hello mummy.
mummy: ye main kiya sun rahi hun tum meri bahu aur poton ka khayal nahi rakhte ho?
rajeev:nnnnnahin mamma......
mummy: kiya nahi mamma. main kal hi tumahre paas mumbai a rahi hun. bhir tumahre kaan khinchungi. bhir mujhey sanjeev ke paas bhi pune jana hai. o.k. main phone rakh rahi hun tumhare daddy bhi anyenge mere sath.
rajeev :kyaaa..... daddy bhi ayenge?
OK so dis is till now story.......sum1 continue...ok
to avoid further confusion
4 babies howe hain abhi tak aur unke naam HAIN
do gals:- kajal n kriti
do boys:-sameer n sahil