So this week all we want to see is some DK hot hot romanceš³everybody is in a shero-shaiyari mould..so m iš³
so heres a shayari on DK'S life journey which is exclusively written by meš
this shayari depicts dev and kaajjal's entire journey from the beginning till now...from massoorie to mumbai...from hatred to friendship to love to passion to sacrifice...hope u'll like itš³.
Ishq hai woh jazbaat jeese bayan nahin kiya ja sakhta
Ishq hai woh nasha jisse inkar nahin kiya ja sakhta
Hai yeh kahani un do pyaar karne waalon ki
Jeese sirf kitabon ke panno mein likha nahin ja sakhta.
Milna tha unhe raat ke andheron mein
Bichana tha phir din ke ujaalon mein
Takhdir ka hai yeh kaisa khel
Jo likh nahin sakhte in do diloan ka male.
Nafrat ki chali thi aisi aandhi
Jaise kabhi na mit paaye deewaron ki bandhi
lekin pyaar ke ek teer ne kar diya kamaal
Suniye nafrat se pyaar tak ka aankhon dekha haal.
Mausam badle aur phir mil baithe yeh do dil
Aur kar diya sabhko apni khushi mein shamil
Toofan uthe dil mein kuch aise
Do jism ek jaan ban gaye ho jaise.
Lekin hawa ka ek jhoka aaya aur bikher diye unke sapnon ko
Ab tak sameit rahein hai woh dil mein basaye apne armaano ko
Zindagi aur maut ke is ajeeb khel mein
Bikher kar rakh diye dil ke saare jazbaatoan ko.
Ab toh hai sirf ek chamatkar ka intezaar
Jo kar de inke pyaar ka udhaar
Khil jaaye phir saari vaadiyan
jab hawa mein lehraayen inke pyaar ki kilkaariyan
Manzil nahin hai ab zyaada door
Saath mein hai agar humsafar ka suroor
Milna bicharna to zindagi ka hissa hai
Lekin saath nibhana to zindagi ka kissa hai.
Yehi hai kahani in do dilon ki
Jinhe ab bhi hai intezaar milan ke paloan ki
Kya ho sakhta hai inka aanewala kal?
Jo de sakhta hai inhe khushi ke do pal.
Guys this is the first time i m writing a shayari..so its not that good..but even then if u like itšplease do commentš³