SORRY FOR NO PM COZ I M REALLY BUSY N HV NO TIME THIS CHAPTER ALLREADY WRITTEN B4 THIS PROBLEM THATS WHY POST IT NOW BUT FOR NEXT CHAPTER I CNT SAY ANYTHING...
Ch.11 part2
After sometime haakima came n Jalal looked hamida n said..
JALAL - ammijaan aapko humare faishle ki vajah jaanni thi na toh haakima shahiba aapko woh vajah batayengi n he told haakima to tell everyone what she told him about ruqaiyya begum n ruqaiyya start fearing...
HAAKIMA - ji shenshah n she looked hamida n said marriyum makkani jaisa ki aap sab jaante hi hai ki ruqaiyya begum ka do baar hamal gira hai aur pehali baar toh unnko bahut hi khatarnaak dhature ka ark diya gaya tha unnke bacche ko maarne ke liye aur usska bura asar huya hai innki kohk pe aur issi vajah se inka hamal doobara gir gaya tha aur humne hi shenshah ko kaha tha agar woh ruqaiyya begum ko jinda dekhna chahte hai toh unnse koi bhi jismaani taalukaat na rakhe kyuni agar woh ek baar phir se maa bani toh unki jaan ko bachana duniya ke kisi bhi haakim ke bas me nahi hoga n she looked Jalal n Jalal gv her permission to go n she leaves...now Jalal with serious look n in sad tone he said...
JALAL - ab toh aap samajh gayi ammijaan kyu liya tha humne woh faishla yeh sach hai hum jodha begum se mohabbat karte hai par apni khushi ke liye hum kisi ka dil nahi dukha sakte hai aur na kisi ke saat nainsaafi kar sakte hai aur ruqaiyya begum ke saat toh bilkul hi nahi aakhir woh humari pehali begum aur bachpan ki dost hai n he goes near ruqaiyya n hug her n he whispered in her ears...
JALAL - kya huya ruqaiyya kya soch rahi ho yeh kya ho gaya n he broke his hug n put his arm around her shoulder n he looked jodha n smiled n then he looked hamida n in emotional tone he said...
JALAL - bus ruqaiyya ki jaan bachane ke liye aur unnke saat rehte huye bhi unnse dur rehne ke roz roz ke gum se unnhe bachane ke liye humne yeh faishla kiya ammijaan ab aap hi batayiye hum kanha galat hai aur agar aapki najaro mai yeh gunaah hai toh hume kabool hai par hum ruqaiyya ki jaan se nahi khel sakte n hamida gv him understanding smile n said...
HAMIDA - hume muaf kijiye Jalal humne bina soche samjhe aapko itna kuch keh diya par ab hum aspke iss faishle mai aapke saat hai kyunki ruqaiyya ki jaan se badhkar kuch nahi hai aur hum unnko samjha denge yeh sab unnke bhale ke liye hai aur aap aaj bhi unnki parwaah karte hai unnse mohabbat karte hai n she looked ruqaiyya who stand there totally lost her brain stopped working n said..
HAMIDA - ruqaiyya beta jaisa ki aapne sab kuch suna aur dekha hai toh hum umeed karte hai ki aap sab samjhengi aur Jalal ke iss faishle ki izzat karte huye isse maanegi kyunki yeh sab aapki bhalayi ke liye hai n ruqaiyya hold her hand n in pleading tone she said..
RUQAIYYA - ammijaan yeh sab jhoot hai Jalal jodha begum ke saat rehne ke liye yeh sab naatak kar rahe hai n Jalal cuts her n said..
JALAL - nahi ruqaiyya aisa nahi hai yeh sab aapki jaan ki salaamti ke liye hai hum aaj bhi aapse utni hi mohabbat karte hai n ruqaiyya looked him in anger n said..
RUQAIYYA - band karo apna yeh naatak tum acchi tarah se jaante ho sacchayi kya hai toh phir kyun yeh mohabbat aur fikar ka naatak kar rahe ho n now jodha comes in btw n said..
JODHA - nahi ruqaiyya begum shenshah sahi keh rahe hai hum jaante hai kaise din raat woh aapki fikar karte hai kaise woh din raat dukhi rehte hai yeh sochkar ki aapko bina bataye jo faishla innhone liya hai uss se aapko kitna dukh hota hoga par woh kya kare ruqaiyya begum aapki jaan se badhkar unnke liye kuch nahi hai n ruqaiyya shouted..
RUQAIYYA - bus karo tum dono yeh naatak hum acchi tarah se jaante hai tum dono humse sab kuch chin lena chahte ho aur kisi ki nazaro mai bura bhi ban na nahi chahte hum tumhe nahi chodenge n she trying to hit jodha but hamida stop her n she cupped her face n said..
HAMIDA - shant ho jao ruqaiyya yeh aapki bhalayi ke liye hai koi bhi tumse kuch bhi nahi cheen raha hai tumhari jaan bachane ke liye yeh jaruri hai agar tum phir se maa bani toh n ruqaiyya scream in frustration n said..
RUQAIYYA - yeh sab jhoot hai Jalal ki chaal hai kyunki hum toh kabhi maa ban hi nahi sakte kyunki dhature ke ark se humari khokh tabaah ho gayi thi aur dusari baar humara koi hamal nahi gira tha humne toh bus maa ban ne ka naatak kiya tha n she closed her mouth with her hand n with wide eyes she looked hamida who looking her in shocked n she looked around n found everyone looking her in surprise now she looked Jalal who giving her winning smirk. She again looked hamida n trying to explain but hamida raised her hand n signal to stop now hamida looked Jalal n in anger said..
HAMIDA - kya yeh sach hai Jalal n Jalal just bend his head n hamida shouted hum kuch puch rahe hai tumse Jalal kya jo abhi ruqaiyya ne kaha woh sach hai Jalal but she got answer frm jodha...
JODHA - shenshah kuch nahi bolenge ammijaan n hamida looked her n said..
HAMIDA - kyun nahi bolenge jodha hum unnse kuch puch rahe hai aur unnhe hume jawaab dena hoga jodha came near her hold her hand n said..
JODHA - shenshah ki khamoshi ki vajah hum hai ammijaan n hamida looked her in confusion n jodha lower her eyes n said..
JODHA - ji ammijaan humne hi shenshah se vachan liya tha ke woh iss vishay mai kisi se bhi kuch nahi kahenge n she looked ruqaiyya in anger n said aur ruqaiyya begum humare uss vachan ka laabh utha kar shenshah ko sabki nazro mai girana chahti thi kyunki woh jaanti thi ki shenshah unka sach kisi ko nahi batayenge aur woh shenshah ko sabki nazro mai unnke saat anayaye karne ka doshi saabit kar dengi n hamida looked her with lots of questions in her eyes n said,..
HAMIDA - hum kuch samjhe nahi jodha hume sab kuch khulkar aur saaf saaf batayiye n jodha took deep breath n told her everything frm ruqaiyya's fake pregnancy Jalal's promise to till her plan in diwane-e-khas n hamida feel someone stabbed knife in her heart she cnt believe that girl she brought with Jalal nt as her daughter in law but as her own daughter done all this under their nose she not only played wid her family and whole kingdom's emotions but she tried to separate jodha n Jalal just for marriyum ur zamani audha n even killed an innocent baandi to save herself. she looked ruqaiyya with anger n disgust n ruqaiyya run towards her n said...
RUQAIYYA - yeh sab jhoot hai ammijaan yeh aurat jhoot bol rahi hai aur hum aapko samjhate hai na jo humne kaha humara matlab woh nahi tha jo aap samjh rahi hai n she looked jodha n in angry tone..
RUQAIYYA - tumhari himmat kaise huye yeh sab kehne ki n she trying to slap jodha but b4 that hamida slapped her very hard make her loose balance n she fell on the ground with thud she put her hand on her cheek n with tears in her eyes she looked hamida n hamida looked deep into her eyes n in cold tone said...
HAMIDA - tumhari himmat kaise huyi ruqaiyya jodha pe haat uthane ki tum kaise bhul gayi woh Mallika-e-Hind hai aur itna saare gunaah karne ke baad bhi tum keh rahi hu yeh sab jhoot hai jabki tumne khud apna gunaah kabool kiya hai tum itna nicche kaise gir gayi ruqaiyya aur itna sab hone ke baad bhi tumhari aankho mai ratti bhar bhi afshosh nahi hai apne kiye huye ka balki ab bhi tum jodha ko kasoor waar bata rahi hu arre aihshaan faramosh tumhe toh iss nekdil bacchi ka shukriya karna chahiye tha jo iss ne tumhe Jalal ke kehar se bachaya itni ghatiya harkat karne pe bhi tumhari izzat banaye rakhi aur tum issko hi Jalal se dur karna chahti thi chii ruqaiyya hume toh apne aap pe sharam aa rahi hai jo humne tum jaisi ghatiya aurat ko apni beti samjha na jaane kanha chuk gaye hum tumhari parvarish mai n ruqaiyya cut her in btw n said...
RUQAIYYA - ammijaan ek baar humari baat toh suniye n hamida shout khamosh but gulbadan comes in ruqaiyya's favor n said..
GULBADAN - ek baar usski baat toh sun lijiye bhabhijaan but hamida give her killing glare n said...
HAMIDA - jo suna woh kam tha kya gulbadan jo ab bhi kuch sun na baki reh gaya ab hum kisi ki bhi koi baat nahi sun na chahte ab aap sab kaan kholkar humari baat suniye aur haan koi bhi hume beech mai rokne ki ya tokne ki koshish nahi karega n with anger in her eyes she looked ruqaiyya n said. .
HAMIDA - aaj tumpe hume bahut gussa aa raha hai ruqaiyya lekin uss se bhi jyada hum apne aap se naaraz hai kyunki aaj tumne jo kuch bhi kiya hai usske liye hum hi kanhi na kanhi jimmedaar hai kyunki woh hum hi jo aaj tak sab kuch jaante huye bhi tumhari har galat harkat ko har badsuluki ko dekh kar bhi andekha karte aaye hai jab jab tumne haram mai begumo aur baandiyo ke uppar julam kiya humne thumhe rokne ki jagah chup chaap tumhe woh karne diya jo tum karna chahti thi tum apne auhade se judi taaqat ka galat isstemaal karti rahi aur humne tumhe karne diya tum apne auhde ke ghamand mai sabko apne aap se neecha samajhti rahi unnko apna gulaam samajhti rahi aur hum sirf tumhari khushi ke liye sab kuch chup chaap dekhte rahe aur tum apne aap ko shenshah se bhi uppar samjhne lagi n she took deep breath n sadly said..
HAMIDA - aur dekho aaj humari uss galti ka kya anjaam huya hai ya khuda agar tum apni chaal mai kamyaab ho gayi hoti toh iss saltanat ke saat kitna bada dhokha huya hota aur toh aur tum humare bete se usski mohabbat usske jeene ki vajah humari jodha ko humesha ke liye alag kar deti arre tum apne aap ko Jalal ki sabse acchi dost kehti ho aur tum khud ussko zindagi ka sabse bada gum dena chahti thi sirf apni khushi ke liye humne tumse jyada khudgarz insaan nahi dekha tum apne shuhar ko apne pure khandaan ko aur sari saltanat ko itna bada dhokha dene wali thi kitani choti soch hai tumhari kitni ghatiya aurat ho tum n ruqaiyya feel anger in her mind n heart but she nt showed on her face. She hold hamida's hand n in pleading tone she said..
RUQAIYYA - ek baar humari baat toh suniye ammijaan n hamida jerked her hand n said. ..
HAMIDA - mat kaho hume ammijaan yeh haq kho diya hai tumne hum aajse sirf mariyum makkani hai tumhare liye kyunki jo galti hum aaj tak karte aaye tumhe maaf karne ki woh ab nahi karenge aur isske liye humne faishla kiya hai ki n she paused n looked everyone with firmed face n in cold voice she continued...
HAMIDA - humne faishla kiya hai ki ruqaiyya se unnka begum-e-khass ka auhda vaapis liya jaata hai aur woh aaj se sirf ek aam begum he aur unnko bhi unn begumo jo Jalal ka diya huya teesra rashta apna kar haram me rahengi ki tarah aam sahulatein di jaayengi aaj se innke saat koi bhi khass bartaav nahi kiya jaayega aur haan sabse jaruri baat aaj se innko mughal khandaan ke kisi bhi masale mai shaamil nahi kiya jaayega yeh iss khandaan ka hissha toh rahengi baaki begumo ki tarah par usski karibi nahi rahengi aaj se humare liye humari sirf do bahu hai haram ke khair khawa salima begum aur Mallika-e-Hind jodha begum bus ab hume kuch nahi kehna ab tum yanha se jaa sakti ho n she looked deep into ruqaiyya's eyes who looking her with aimless shocking eyes n said..
HAMIDA - suna nahi tumne jao yanha se n ruqaiyya came to her senses n immediately she fall on her feets n start crying n pleading to forgive her but hamida without looking her turned otherside n now ruqaiyya start pleading to everyone to tell hamida that she forgive her but everyone just gv her disgusting look n turned their faces n she looked Jalal with hope that he will help her but Jalal told her with his eyes u deserve only this.she went to jodha n hold her hand n said..
RUQAIYYA - jodha begum aap toh ammijaan ko samjhayiye ke woh humare saat aisa na kare Jalal toh aapse mohabbat karte hai aaki sari baatein maante hai aap Jalal se kahiye woh yeh sab rok de khuda ke liye aisa mat hone dijiye she folded her hand in front jodha n pleaded jodha hold her hand n said...
JODHA - ruqaiyya begum yeh sab mat kijiye aisa karna aapko shobha nahi deta hai n ruqaiyya smiled n said..
RUQAIYYA - shukriya jodha begum aapki madad ke liye but jodha cut her n said..
JODHA - aapko sayad koi galatfemi huyi hai ruqaiyya bgum hum aapki koi shahyeta nahi karne wale hum bus itna keh rahe hai aapka iss tarah sabke saamne gidgidana sahi nahi hai aap yanha se chali jaayiye n ruqaiyya again start pleading said...
RUQAIYYA - khuda ke liye jodha begum humari madad kijiye aapko marhum abba huzoor ke uss vaade ka vaasta jo unnhone humare abba ko diya tha n jodha stopped her by raising her hand n in anger she said..
JODHA - bus kijiye ruqaiyya begum itna sab kuch hone ke baad bhi aap ab bhi sabki bhavnao se khel ne ki koshish kar rahi hai aur mat bhuliye abba huzoor ke uss vachan ke liye hi humne shenshah se aapko dandh na dene aur sabse aapke apraadh ko chupaane ka vachan liya tha she looked in her eyes n said...
JODHA - aur aapne sach kaha shenshah humse bahut prem karte hai tabhi humre liye woh aaj tak chup rahe parntu aapne humare prem ko shenshah ki kamjori samajh liya aur aap humre vachan ko hathiyaar bana kar ek ke baad ek apni ghatiya chaale chalti rahi aur aaj toh aapne shenshah ko ammijaan aur sabki aankho mai giraane ki koshish ki aur aap ab bhi humse yeh aasha kar rahi hai ke hum aapka saath de nahi ruqaiyya begum hum ab aur aapko humare parivaar ki bhavnao ke saat nahi khelne denge humara prem shenshah ki shakti hai aur hum kabhi bhi usse unki durbalta nahi ban ne denge toh ab app ke liye yahi accha hai aap yanha se chali jaayiye n ruqaiyya looked her in disbelief n opened her mouth to say something but Jalal voice stopped her n she looked towards jalal n Jalal looked her with anger on his face killing look in his eyes n in high tone he said...
JALAL - suna nahi tumne ruqaiyya kya kaha ammijaan aur Mallika-e-Hind ne band karo apna yeh tamasha aur jao yanha se iss se pehale hum apna aapa kho de aur aisa kuch kar baithe jo hume nahi karna chahiye jao yanha se he roared like lion n ruqaiyya shivered in fear n without looking anyone she run from there to save herself from Jalal's anger n now hamida looked Jalal n jodha n in emotional tone she said...
HAMIDA - hume muaf kar dijiye humare baccho humne aap dono ko galat samjha aur aapki nek niyat pe shaq kiya hume bhut afshosh hai ke hum ruqaiyya ki baaton mai aakar aaj aap dono ko phir se pehale ki tarah alag rehne ke liye keh rahe the n jodha hold her hand n said...
JODHA - nahi ammijaan aapki galti nahi hai yeh sab toh ruqaiyya begum ki chaal thi bus aapka koi dosh nahi hai issme n Jalal side hugged hamida n said..
JALAL - jodha begum sahi keh rahi hai ammijaan iss sab me aapka koi kasoor nahi hai aap ne jo kuch kiya uss ruqaiyya ke jhoote aansuo aur jhoote dard ko sach maankar kiya aur muafi toh hume aspse maangni chahiye jo humne aapse sach chupaya aapne puccha bhi tha phir bhi humne aapko kuch nahi bataya par hum kya karte ammijaan sach hum bol nahi sakte the aur jhoot hum aapse nahi bolna chahte the bus isiliye n jodha looked then n in sad tone she said...
JODHA - sara dosh humara hai ammijaan humi ne shenshah se vachan liya jiss karan n hamida cuts her n in very sweet tone she said..
HAMIDA - nahi humari bacchi aapki koi galati nahi hai balki hum toh aaj bahut khush hai yeh dekhkar ki humari beti na apne saare rishte aache se nibahati hai balki humare marhoom shuhar ke diye vaade ki bhi itni kadar karti hai n she cupped jodha's face n kissed her forehead n said..
HAMIDA - hum bahut khushnaseeb hai jo hume aapki jaisi nekdil beti mili n she hold jodha's hand n put it into jalal's hand n with smile she said..
HAMIDA - khuda aapka saat aur aapki mohabbat issi tarah barkaraar rakhe aur aapko har buri nazar se bachaye n she kissed both on their forehead n jodha n Jalal touched hamida's feet n she gv them her blessing n all family members praised jodha for her selflessness n good thinking n Jalal smiled n in excited tone said..
JALAL - ab aap sab baatein band kijiye aur chaliye sab Mallika-e-Hind ki taajposhi ke jashan ki tayyari mai lag jaayiye ab bus 8din bache hai humare pass toh chaliye sab apne apne kaam ko pura karne mai joot jaayiye n he looked jodha n both shared emotional eyelock..
Precap :- may be happy ending...
p.s. Please hit like button n gv ur valuable comments n sorry for every writing n grammatical mistakes...
Next chapter link...
http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=4514582&TPN=74&#p131455248
94