It was a cold dark night. She was trying to sleep. but some thoughts and cold winds were stopping her to do so. and at the end she was just changing the sides. moti realised her problem,
"jodha kya hua?tumhe kuch chahiye?" moti curiously asked.
"nahi. hum thik hai." she said
"to tum iss tarah se karvate kyu badal rahi ho? shenshah kal aa jayege." moti chukled.
"chup kar moti." jodha angrily said.
now moti went to her bed..
"jodha! tumhari tabiyat to thik hai na?" moti asked and checked her forehead.
"hume kuch bechaini ho rahi hai." jodha replied.
"hum hakim sahiba ko bula laye?" moti asked.
"nahi itni jyada bhi bechaini nahi hai. hum kal subah unke pass ho aayege." jodha said.
"tumhe jarur shenshah ki chinta ho rahi hogi. aane do kal unhe hum sab btate hai unhe." moti again teased her.
jodha blushed.
"chup karo unke samne to tum kuch bol nahi pati." jodha said and smiled.
"haan lekin aajkal tum bhi kaha kuch bol pati ho. bas vo kuch bolte rehte hai aur tum bas shrmati rehti ho. aisa kya bolte hai " moti chukled.
"moti ki bachhi chup ho ja. aisi baat nahi hai.. vo jab tumhara vivah hoga tab tumhe pata chalega." jodha said.
"jo bhi ho hum bohot khush hai ki tumhare aur shenshah k bich ab sabkuch thik hai. hum shrt lga sakte hai ki tumhe shenshah se acha pati nahi mil sakta." - moti
"haan hum jante hai. humne shuruati dino me unhe bohot galat smjha lekin ab hum unhe bohot khush rakhna chahte hai." jodha said.
"tum unse bohot prem karti ho na jodha. tumhari aankho me najar aata hai." moti said.
jodha blushed.
"chalo so jao, verna kal tum swastha nahi lgogi." - moti
"haan aur unhe kehne ka mauka mil jayega,begum jodha hum jante hai aap humse mohobbat karti hain lekin hum 4 din delhi se kya gye aapne humari yaad me ye kya haalat bana li." jodha said and laughed with moti.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Next day evening,
She was on the way to jalal's room. but she was lost in her own thoughts, and in her thoughts her feet sleeped on wet fursh outside the room, but she falled in jalal's arms.
"kaha hai aap jodha begum" he smirked.
jodha came out from her thoughts.
" maana aap humse mohobbat karti hain lekin is kadar humare khyalo me kho jana ki aapko humare sachmuch aane ki khbar na rahe, ye to thik nahi hai na." jalal started flirting.
"chodiye hume. sab dekh rahe hai." jodha was embaraced.
"aap sachmuch chahti hai hum aapko chod de?" jalal asked with smirk.
"bilkul lajja nahi hai aapme." she was irritated and managed herself to standup from his arms.
"hum shenshah hai kuch bhi kar sakte hai." jalal said.
Ruquiya was seeing all this from far.
"vaise aap btaiye begum jodha ki aap itni der se kaha thi? aisa konsa kaam hai jo humse bhi jaruri tha." jalal added.
"hume aapse ek jaruri kaam hai." jodha said and drag him to his room.
"begum jodha ye kya hai. itni jaldbaji! abhi to raat bhi nahi hui. log humare bare me kya sochege." jalal was continuously teasing her.
"kabhi to gambhirta se humari baat sun liya kijiye." jodha ordered.
jalal groped his hand around her waist and pulled her towards him.
"hum sun rahe hai. kahiye." jalal pretended to be serious.
"jalal." Ruquiya came.
jodha felt uncomfortable,bur jalal din't.
"jalal hume aapse baat karni hai." Ruquiya said.
"par.." jalal was saying something but jodha intrupted it.
"jaiye hum aapse baad me baat kar lege." jodha requested him.
"thik hai hum raat ko aapki baat sunege." jalal said and went from there.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
In night,
jodha entered in his room.
but she found he was sleeping.
"ye sote hue bilkul nirdosh balak lagte hai." she thought and put her hand on her stomach.
"humne kabhi socha bhi nahi tha ki humari jivan me kabhi ye waqt bhi aayega, jisse hum itni ghruna karte the,kabhi hum jiska kata hua sir dekhna chahte the aaj unka hi ansh humare kokh me hai. hum jinke bare me ye socte the ki humara jivan nark bna diya hai aaj unki hi vajah se hum itne khush hai. hum aapko sari khushiya dena chahte hai." she thought and was about to comeback in her room. but her duptta stuked in his bed and she tried to strach but it couldnt worked so she sat on the bed and manged to bring duppta out. but now jalal changed his side and another part of her duppta stucked in his hand. so she decided to sleep there. she was still admiring him. and was thinking about his reaction when he will come to know about her pragnancy.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
next morning,Jalal woke up and got surprised seing jodha there.
"begum jodha.." He woke her up after sometime.
"aap.. Uth gye!" jodha was halfly sleeped.
"haan subah ki nama ada karni thi. lekin ab to kaafi waqt ho chuka hai. humne socha aapko bhi aapke khuda ki ibadat karni hogi." jalal said.
" pata nahi aaj humse uthne me der ho gyi. dhnyawad." jodha said. and rushed towards her room.
"begum jodha." he called her name from behind.
"kya" she asked.
"aapko jo bhi baat karni hai ibadat karne k baad btayiyega. hum yahi hai." jalal said.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
she entered in his room with aarti and prshad.
he took aarti and prashad. and then he made her sit on chair. and sat on the other chair near hers.
"maaf kijiye begum jodha. kal aap humse baat karne aayi lekin usse pehle hi humari aakh lag gyi thi. aaj aap apni baat kahiye." jalal said.
"hum aapse ye kehna chahte the ki..." jodha was about to say but this time mahamanga came to abrupt them.
"hum sham ko btayege. aapka ye kaam jyada jaruri hai." she said and samething happened in evening. rahim came to hear story from jodha jalal.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
next day,
in early morning jodha heard some voice. it was him.
"begum jodha uthiye aur humare sath chahliye" jalal whispered in her ear.
"lekin rahim!" she looked at
rahim who was sleeping between them.
"vo uthege tab tak hum aa bhi jayege." jalal argued.
"nahi hum rahim ko akele chod kar nahi jayege." jodha said.
"to hum khfa ho jayege." jalal said.
"aap smjhte kyu nahi vo bachha hai unhe kuch ho gya to." jodha argued.
"jaiye hum aapse baat nahi krege," jalal said and pretended to be angry.
"ye to rahim se bhi chote hai." jodha said and call a 'bandi' to take care of him.
jalal took her to the back side of mehel. no one was there.
"ye mehel ki sabse gupta jagah hai. mehel me humare alava iske bare me kisi ko nahi pata." jalal said.
"lekin aap hume yaha kyu laye hai." jodha asked.
"kyuki humne pichle kayi dino se thik se bat nahi ki hai." jalal said and took her to the terrace of that part of mehel.
it was beautiful view. rising sun cold wind and birds were making the atmosphere happy and beautiful.
"aap humse kya jaruri bat karna chahti thi?" jalal asked.
"hum aapse ye kehna chahte hai ki.. aap pita banne vale hai. aapka sapna pura hone vala hai." she blushe and put his hand on her stomach.
"kya..!! kya aap sach keh rahi hai?" jalal couldnt beleive.
"haan hum such keh rahe hai.." jodha was still blushing.
"hum bayan nahi kar sakte hum kitne khush hai." jalal said.
"hum bhi." she said. and both huged.
"aaj aap jo mangna chahti hai mangiye. hum aapko sabkuch dege jo aap mangegi." jalal said.
"hum aapse do vade chahte hai." jodha was ready for this question.
"mangiye." jalal said.
"pehla ye ki aap kabhi hume aur humare bachhe ko nahi chodege, aur humesa itna hi prem karege." jodha said.
"ye aap nahi mangti to bhi hum aapko hmesha aise hi aur itni hi mohobbat karte. manjur hai" jalal said.
"dusri ye ki aap hume begum jodha nahi sirf jodha kahege."
"ye kaisi shrt hai. " jalal asked.
"ji bhi hai bas hume aap jodha hi bulayege ye humari huth hai." jodha
"hum aapko akele me sirf jodha bulayege. lekin uske liye humari bhi shrt hai." jalal said.
"nahi aapne kuch bhi mangne ko kaha tha to humne ye manga hai. ab aap apne vade se mat paltiye." jodha said.
"nahi aapko humari baat bhi manni hi padegi."
"thik hai kahiye."
"aapko hume bhi jalal bulana hoga." jalal smirked.
"lekin patni kabhi pati ko naam se nahi bulati." jodha argued.
"to fir aapki bhi shrte nahi mani jayegi. humari aankho me dekhiye." and she made her look into his eyes.
"kahiye..." jalal said.
"j..." it was hard for her.
"kya aap humse sach me mohobbat karti hai! to ye bhul jaiye ki hum aapke shohar hai. aur ab humari aankho me dekhiye." jalal said.
" ja.l..al.." she said it finally.
"fir se kahiye" jalal ordered.
"jalal.." she said it while blushing.
"yakin maniye aapne itne pyar se hume kabhi nahi bulaya jodha."
jodha smiled and huged him.
The end😳
10