Th kidnapper removes his mask……the light shines on his face.
It is Armaan.
He bends down softly by the sleeping Jassi and whispers, "Maine kabhi nahin socha tha ke kisi din, mujhe apni hi Jassi ko iss tarah bhagaa kar laana padega…..par mere paas aur koi chaara nahin tha…."
His phone vibrates. He picks it up and says, "Meghna, Jassi mere paas hai."
She is about to excitedly congratulate him, but something in his voice must have given her a hint, for she cautiously asks, "Tumhare paas hai….what do you mean? Wo photographs…."
Armu: Internet connections down hai Meghna….wo email mujhe pahuncha hi nahin…par main iss tarah, haath par haath dhare nahin baith sakta tha….(grits his teeth) Wo Ashmit Singhania, Jassi ki haalat ka faayda utha kar, uske kareeb aane ki koshish kar raha tha…ye maine kaise bardaasht karta……
Meg: Wait a minute….mujhe darr lag raha hai…. Armaan, I hope tumne jaldi mein koi step nahin le liya…kya kiya tumne?
Armaan: Maine Jassi ki kidnap kar liya hai Meghna!
Meg: What? Are you mad?
Armu: Mere paas yahi aakhri raasta tha….hospital meni mujhe apne baat kehne ka mauka hi nahin mil raha tha…issliye main usse ek cottage mein le aaya hun….yaahan main usse uski yaadein waapas dilva kar hi rahunga!
Meg: But Armaan…..
He cuts the call. Turning towards the bed, he sees Jassi stirring. She opens her eyes and stares around in a confused way. Then she sees Armaan, and her eyes grow wide. Looking scared, she opens her mouth, but he quickly bends down and places his finger on her lips.
Armu: Kuch mat kehna Jassi….please, ek baar meri baat sun lo….meri sachaayi par yakeen kar lo……
He removes his finger and sits down next to her on the bed. She shrinks away, asking, "Aap mujhe yahaan kyun laye hai?"
Armu: Kyunki main apni Jassi ko iss tarah khud se door hote hue nahin dekh sakta….wahaan tum sab taraf se, paraye logon se ghiri hui thi….tumhare Armaan ki awaaaz tum tak pahunch hi nahin rahi thi….issliye mujhe ye kadam uthana pada.
She makes a gesture of helplessness. "I'm sorry….main jaan-boojh kar aapko takleef nahin de rahi hun….sach kya hai, mujhe nahin pata…main jitna yaad karne ki koshish karti hun, utna aur confuse ho jaati hun…."
Armu: (grabbing her shoulders) Apne dimaag par zor mat dalo Jassi….iss waqt tumhara dimaag soya hua hai…lekin tumhara dil jaanta hai, sach kya hai….apne dil ki baat suno Jassi…..
She stares straight into his eyes, her gaze earnest and searching. He takes her hand and leads it to his heart.
"Mera dil tumse kya keh raha hai….suno..dil toh kabhi jhooth nahin bolta na?"
She tries half-heartedly to remove her hand; tears are brimming in her eyes. He cups her face in his hands with the greatest tenderness and comes closer. Staring into her eyes, he whispers, "Meri aankhon mein dekho Jassi…..kya ab bhi tumhe meri baat par sahq hai?"
Her lips tremble. She is breathing heavily. She seems on the verge of saying something, but……….at that moment the door bangs open. Ashmit, the doctor and a couple of policemen barge into the room.
Ashmit: Dekhiye inspector sa'ab…hamara shaq sahi tha…jab baaton se kaam na bana to hiss aadmi ne Jassi ko kidnap kar liya!
The inspector comes towards Armaan and says sternly—"Mr. Armaan Suri…you are under arrest!"
Monday: Helpless Armaan,, devious Ashmit