Some of our members had this demand for my poem.
I had written something a few years back for a 'hasya kavi sammelan'
So aapki khidmat men pesh hai........
Aatma ek manushyaki le chale yamraj,
baithe jahan chitragupt the,lekar apne saaj.
dekhkar mrutatma, chitraguptji pahle to zunzlaye,
fir alsaaye, chayki chuski lekar chaprasi par chillaye.
baithe rahte ho din bhar,kuchh kaam nahin ho karte,
roz nayee mange late ho, strike se nahin darte.
munh kya takte ho mera tum,ledger iska lao,
pap-punyaka hisab hai karna,jaldise tum jao.
chaprasi ledger le aya,chitraguptne chashma lagaya.
mrutatmaka khata jo dekha,unko kuchh samajh na aya.
jhankke apni aenakse dekha,uparse neeche tak dekha,
mastak par ubhri ek rekha,pap-punyaka kiya jo lekha.
kahne lage kya kahun main iski,baat nahin koi kahne jaisi,
pap-punya kuchh nahin khatemen, balance NIL hai bahikhatemen!
baat suni jab gahri sochmen dub gaye yamraj,
kahne lage kya yah sambhav hai jeevanmen maharaj?
kya yah koi sant hai,peer, fakeer ya gyani??
nahin-kaha chitrguptne,yah hai Hindustani.
pap-punya ki fikra ye karta,jo hota forty nine men,
jeevan to sara kat gaya iska, rashanki line men.
alu-pyazke chakkarmen ye fira hai mara mara,
non-tel ki fikra men ye jeevan se hai hara.
tum hi kaho,kahan bhejen isko,swarg ya ki nark?
samajh nahin paya ye abtak in dononmen fark!
swarg-nark ki baaten chodo,kahne lage yamraj,
ye layak usi deshke,jahan bhrashtachar ka raj,
sitam sahna aur kuchh bhi na kahna,bani jahan ki pahchan,
Bharatwali queue men laga do isko bhi bhagwan!