1)Raghav ke family par mushkil dal kar T & D yeh batana chahtein hain ki ab tak khushiyon mein Jassi Raghav ke saath thi to ab woh mushkil ke samay mein Raghav ka saath degi?Kyuki Jassi ke Behaviour par Jassi REALY Raghav ki patni bannke layak hai ya nahin woh samne aayega.
* Jab Goa ki trip ke baare mein yeh log sochenge tab aisa yeh soch shaktein hain ki Raghav aur Nandu aur Bobby Goa jaaye,aur Jassi Office ki care karein.
2)After KK's case ke baad Situation is change ho chuki hogi.Raghav aapne family ke paas rahega or woh Jassi ko Goa jaane ke liye kahega.Nandu Aryan ko woh compny chala raha hain woh dikane ke liye woh bhi mumbai mein hi rahena pasand karega. Ab rah gayi Jassi to wohi Goa jaake Fashion show ke liye saari dekhrekh kar shakti hain.
3)In dauran Mallika ka jhuooth thoda bahot samne aata rahega or Armaan wapas Jassi ki aur munn se jaata jayega aur usi waqt woh Jassi se phir se Goa mein milega whain woh jaanega Karisma ke baare mein. Aur shayad use Jassi se Maafi mangne ke liye use mouka bhi mil jaaye.
* Par Jassi use Maaf kar payegi ki nahin woh to waqt hi batayega.Aur maan lo usi waqt Armaan ko yeh news mil jaaye ki Jassi ki saadi Raghav se nahin hui hain tab Armaan sahi mayne mein Raghav ka Competitor banega.Off course Jassi ko wapas paane ke liye. (yaad hain woh mumbai police jise Armaan ne Jassi ki Photo dekar Jassi ki talash karne liye kaha tha? woh police Ispector Jassi ki news Armaan ko suna de to Armaan ka aadha rasta apne aap saaf ho jayega or aadha raha woh rasta jahan se woh Jassi ka rukh wapas khud ki aur kar shake.Don't you think so? Kya aisa ho shata hai?