"Suno?"
"Ji Sir? Boliye, main aapki kya madad kar sakta hoon?"
"Voh Khushi.."
"Ji, Khushi madam yehi par hain, ek min."
"No, listen, main tumse baat karne ke liye phone milaya hai."
"Yes sir, abhi main 10 mins ke liye free hoon, kahiye. Phir uske baad Khushi madam ke saath shopping.."
"What? Khushi iss samay shopping jaa rahi hai?"
"Ji. Unhe kuch zaroori kaam tha. Anjali ji, Nani ji, Mami ji, aur.. "
"Kaam tha? Toh mujhe bata deti. Baaki log kahan gaye hain?"
"Kuch crockery set lena tha, customize karana tha actually. Baaki sab picture dekhne gaye hain, sir"
"Toh tum ghar par kya kar rahe ho, I mean, Khushi akeli hai?"
"Ji. Main toh, jalebiyon banane ki koshish kar raha tha. Khushi madam kitni achi hai, patiently sikhati hain.. "
"Aman! Yahan meri chai mein cream nahi hai aur tum ho ki.."
"Sir, it's easy you have to simply press the.."
"I know, dammit! I don't need instructions from you."
"Sir. Theek hai, phir, do you need anything else?"
"Haan, Malhotra wali file kahan hai? Khushi se kaho ki.."
"Yes sir, abhi bata deta hoon. Ho sake toh HP ke haath bhej doonga. File aapke office table par toh nahi hai, is there anything else?"'
"NO! HP ko bolna ki jaldi laaye. 2 baje ki meeting postpone.."
"Sir? Calendar aapke saamne pada hai, you just have to.."
"Aman, tumhe salary kis baat ki milti hai? Mujhe advice dene ki ya phir.. "
"Voh main, I was just.."
"Aman ji, chalien?"
"Khushi hai kya vahan?"
"Aap kis se baat kar rahein hain? Arre! Wah! Jalebiyaan toh.."
"Sir, main. Ji, yahin voh par hai."
"Mam, Sir aapse baat karna chahte hain"
"Ji, kahiye.. Um... Arnav ji.. Um.."
"Khushi?"
"Haan haan kahiye. Kya baat hai? Aman ji ne kitne pyaar se aaj jalebiyaan banayi aapko pata hai."
"Kya? Pyaar se?"
"Aur nahi toh kya? Main sirf ek baar unka haath pakad kar.."
"KYA?"
"Uffo ho! Sikhaya. Vaise aapne phone kyun kiya? Humein der ho rahi hai, dukaan bandh ho jaayegi. Aman ji, aap bhi lijiye.. Haan, haan, ek nahi. Do.."
"Ji shukriya. Main gaadi nikaalta hoon."
"Usse apna driver bana diya, Unbelievable Khushi! Tumhe andaaza bhi hai ki, voh kitna qualified hai. "
"Acha? Humein toh yehi pata hai unki haath ki bani jalebiyaan.. Um.. Bahut.. Um.."
"Khushi? Tumhe kisi halwai se shaadi kar leni chahiye thi. Acha ab suno, kahan jaa rahi ho?"
"Voh hum aapko nahi bata sakte."
"Kyun?"
"Surprise hai."
"Aman ko bataya hi nahi, saath mein lekar jaa rahi ho, par mujhe nahi.. What the, Khushi."
"Keh rahe hai na, surprise hai. Sirf Aman ji ko hi pata hai. Shaam ko zara jaldi aa jaayie."
"Mam, chalein? Sach mein Jalebiyaan bahut swaad.."
"Surprise bhi Aman ko hi de dena!"
"Haan. Ji ji. Ek min. Chaliye."
"Khushi?"
"Ek min, gaadi mein bhaith rahe hain, Arnav ji. Acha theek hai baad mein baat karte hain. Namaste."
"What the, uski itni himmat, mujhse iss taran baat."
"Suniye, Arnav ji? Aapke What the, yahan Aman ji ke kaanon tak sunayi de rahe hain. Aapko surprise acha lagega, main aapka intezaar karongi shaam ko. Bye. Ji Aman ji, bas yahan se daayein.."
198