While Ridz fills in 1, 2, 3, 4, 5...
Jhaadu hai, Pashmina hai...
"Khushi voh mein.."
"Arnav ji, kya hai yeh?"
"Taufa hai, uss din ke liye.."
"Kis din ke liye?"
"Uss din.."
"Oh ho, jaldi batayie, kis din ke liye?"
"Voh.. Tumne.."
"Haan humne kya Arnav ji? Zara jaldi kahiye na, mere paas pura din nahi hai yahan."
"Tumhe yaad nahi?"
"Agar humein yaad hota toh hum bata nahi dete? Kya puche jaa rahein hain aap?"
"Uss din tumne kamre mein.."
"Haaw! Zara dheere boliye. Bua ji ne sun liya toh.."
"Khushi kisi ko kuch janne ki zaroorat nahi hai.. Tum bas.."
"Arnav ji, hum ne kab dhindora peeta hai ab? Ab taufa le sakte hain ki, mahurat ka intezaar karien?"
"Yeh lo.. "
Opening the gift with excitement, while he prepares to leave,
"Yeh kya hai hai?"
"Pashmina ka.. "
"Kiska?"
"Pashmina ka sha.. "
"Arnav ji aap kisi Pashmeena ji se udhaar lekar hamare liye taufa laayien hain, humein yeh nahi chahyie. Lijiye. Toh aise mana rahe hain aap humien, kisi ke.. ? "
"Khushi, Pashmina ek.. "
"Kya? Toh aap usse jaante hain, kabse yeh sab chal raha hai?"
"Kya keh rahi ho tum, Khushi? Kya chal raha hai? Meri.. "
"Acha, toh voh aapki premika hai, aur aap ne humse chipaya?" Main ne aapse shaadi hi kyun ki. Ghin aati hai aapki inn baaton se.. "
"Khushi, how dare you? Kya chipa raha hoon mein huh? Meri koi girlfriend nahi hai, suna tum ne."
"'Toh Pashmeena.. "
"What the.. Khushi koi Pashmeena nahi hai.. Mein iss taufe ki baat kar raha hoon.. Dekho.. "
"Arre waah! Kitna sundar, makhmali sa hai. Kitne pyaare rang hai.."
"Mein iss Pashmine ki baat kar raha tha.. !"
"Toh aap seedhi taran bata dete na, aise hi mujhe pareshaan kiya aapne.. Kitna ache jachega na yeh mere gote wale suit ke saath.. "
"Mein, tumhe pareshaan kar raha tha?"
"Aur nahi toh kya.. Haayee!!. Yeh toh kissi bhi saree ke saath bhi chalega.. Sachi batayie na Arnav ji, kisi Pashmeen ji ne hi yeh shawl chuna hai na? He he.. "
"Khushi, Bua ji ne sach mein sahi naam chuna hai - Sanka Devi. Mein ne khud apne haathon se chuna hai. Us din toh Aman bhi nahi tha. "
"Aman ji hote toh shayad.. Khair chodiye.. hum toh poochna hi bhool gaye, kis baat ki khushi mein yeh taufa laayein hain?"
"Voh. Main.. Uss din.. "
"Hum har din miltein hai Arnav ji.. Kis din ki baat kar rahein hai aap? Aur bhi rang the iss design mein?"
"I know, Khushi. Tumne haath mein.. Haan aur bhi the, mujhe pata tha tumhe yeh rang acha lagega... Aman se zyada mujhe pata rangon ke bara mein!"
"Choodiyaan pehni thi? Voh bhi roz pehente hai, Arnav ji. Aapko hamari pasand na pasand ka kitna khayal hai. Laal rang ke alawa aur kuch laane ke liye shukriya. "
"Choodiyan? Whaat? Kya keh rahi ho tum.. Ab sab kuch mujhe hi yaad dilana padega kya? Mrs Khushi Kumari Gupta Singh Raizada ki pasand mein main bhi toh hoon! Laal toh tum ab.. "
"Arnav ji.. Zara voh wala suit dikhayi na? Haan.. Iske saath bilkul match ho raha hai. "
"Khushi tum sun bhi rahi ho ki nahi.."
"Hmm.. Acha Arnav ji, zara yeh toh batayie, hum yeh shawl odhenge kab? Dilli ki 50 degree mein hum yeh pehenge?"
"Kyun? Tumara kis mausam mein isse pehne ka iraada hai?"
"Voh mein.. Haa.. chi.."
"Perfect.. Tumhe thand lag rahi hai aur mujhe.."
"Kya lag raha hai aapko? Vaise bhi aap par yeh shawl nahi jachega.."
"Theek kaha tumne, mujhe toh garmi lag rahi hai. " (Unbuttoning)
"Yeh kya kar rahein hain aap?"
"Kya kar raha hoon mein, Khushi?"
"Ha.. chi.."
"Khushi, acha theek hai, agle meeting ke liye mein Shimla jaa raha hoon, tum mere saath chalna. Aur haan, pakodon ke saath-saath, shawl bhi allowed hai. Mein AC ka temperature adjust kar deta hoon, come sit.. "
"Ji.. Suna aapne Devi Maiya, hum Shimla jaa rahein hai.. Aur shawl ke liye dhanyawaad "
"Excuse me? Mujhe dhanyawaad nahi karogi?"
"Ji? Aapne abhi tak bataya hi nahin ki kyun laaye... toh?"
"Toh theek hai phir... Ha.. Chi.."
"Arnav ji aap theek toh hai na?"
"Ha.. Chi.. K.. Khu.. Ha.. Chi.. Tumne machoron ki.."'
"Nahi nahi Arnav ji. Mein aur Bua ne khood aaj saaf-safai ji aapke aane se pehle. Dekhiye ek mitti ka daag nahi milega aapko."
"Toh yeh kya hai, phir? Mere office ke staff ka ghar iss se zyaada saaf hota hai.. Ha.. Cch... Ha.."
"Rukiye, mein isse abhi saaf kar deti hoon, aap tab tak iss rumal se apna mooh dhak lijiye.. Bua ji? Bua ji... Zara jhaadu pakadna zara?"
"Pagal.."
Click..
"Yeh kya kar rahein hai? Iss taran se hamari tasveer kyun keech rahein hai?"
"Khushi jhaadu ko thoda baayein, nahi.. Daayein.. Aise.. Beech mein.. Perfect.. "
"Arnav ji!"
"Kya? Tumhe yaad dilane ki koshish kar raha hoon. Sach mein Khushi - tumare haath mein Jhaadu, Calender shoot ke liye perfect shot hai. Ghar ki Bahu.. "
"Aapko mazak shooj raha hai? Huh? Toh lijiye.. Aise hi kyun, aapke iss keemati shawl ke saath pose kartein hai..."
"Theek hai, idea bura nahi hai. Khushi, ek kaam karo tum voh saree, um, voh hari wali? Use pehankar aao, phir photo lete hain.."
"A.R.N.A.V.. J. I..! Aur aapki neechein (sneezing)?"
"Khushi... Mein toh.. Sirf.. Mazak.. " (running around the room trying to escape her clutches.)
"Acha theek hai. Tumhe sachi mein janna hai na, toh idhar aao. Tumhe yaad hai, pehli baar tumne Raizada pariwar mein pocha, technically, Jhaadu pakada tha. Kuch yaad aaya? " (Sharing this picture)
"A.R.N.A.V. J. I... I... "
"Bas ussi ki anniversary mana raha tha. Tumhein toh taarikhein yaad rehti hain na, phir kaise bhool gayi tum?"
"A.R.N.A.V. J. I... I... Yeh raha aapka shawl.. Mujhe koi baat nahi karni aapse. Door hatiye varna.. "
Edited by zeffy2k2 - 9 years ago
197