Hello dearies,
Here's me again to chew your brains with my take on today's episode… Enjoy…
Scene: 1
Sharmana chod daal, raaz dil ke khol daal..
Khushi: Aap apna cctv wala footage dikhaiye naa… Woh kya hain, hum logone bhag ke shaadi ki thi naa, to shaadi ki video bhi nehin hain… To usiko shaadi ki video samajhke dekh lenge… Waise bhi mere pati hamesha suit hi pehente hain…
Airportwale bhaiya: Dekhiye… Hum log yeh kisiko bhi nehin dikhate without permission… It's a secret. Aur waise bhi 5-6 din pehle ki baat hain… Usko hum apne Lajpat nagarwale main office ke basement mein ek "Jism ki Aag" ki dvd ke case mein chupake rakhha hain jo ki darwaje ke thik left mein middle row ke 235th wale dvd case ke paas hain…
Khushi: Thank you… Mere pati ka naam bina signature ke passport aur visa le aata hain aur mera ek question inke cctv ki footage ka pata… Jab tak aap log ho, hamare desh ki National Security ka waat to lagega hi... No wonder hamare patiko kisine airport se utha liya…
Airportwale bhaiya: Mention not… By the way, agar Head office dhoondne mein problem ho, to idhar visiting cards hain naa jis mein fluroscent ink mein address likhha hain.
Khushi steals visiting cards…
Fandom: Khushi kya dimaag laga rahee hain…
Me: Haan… woh to karni paregi naa… Baaki sabke dimaag mein load shedding jo chal raha hain… Aajkal visiting cards bhi chori kar na padta hain… Kya zamana aa gaya hain…
Scene: 2
Tu chupi hain kahan, main tarapta yahan…
Shyamu: Khushi ko mamiji itne sawal kyun pooch rahee thi? Aur woh aaj kal bahut ajeeb behave kar rahee hain… matlab more than usual… Let's check my papers…
He checks the paper under the baby swing…
Shyamu (Loud monologue): Thank devil, still got the papers… And no one has found them yet. And I'm sure that no one will find them either…
Fandom: Achcha, to wahan hide kiya hain papers…
Avni (In her super jasoos mode): Ab tak baby bump bhi show nehin hua, to baby ke aane ka to koi possibility hi nehin hain…
Me (In my super jasoos mode, snacking on popcorn): Achchi jagah hain chupane ki… Waise bhi yahan dimaag ki itni kami hain ke jo sunna chahiye woh zor zor se bhi bolo, phir bhi koi nehin sunta, lekin jo nehin sunna chahiye, woh sabko sunai deta hain…
Scene: 3
De Ghumake…
Mamiji: Waise to humko Phancy Diress Competition mein Englis mein isspeech dena nehin aata, But I can fluently converse with the staffs of 5 star hotel to investigate my nephews whereabouts…
Khushi: Kya baat hain, mamiji… Aap bhi hamari tarah chupi rustam nikli…
Mamiji: Aur aaj maine Arnav bitwa ko phone kiya to uska phone unreachable aa raha tha, lekin message was in Hindi…
Khushi: And I stole visiting card from cctv office for their headquarters where they keep their footage…
Khushi to CV: Abey, hum logon ka brain itna achcha kaise kaam kar raha hain, waise to itna kaam nehin karta…
CV 2: Madamji, aaj Crime Petrol ka CV duty pe hain…
Khushi: Hamari CV kidhar gaya?
CV 1: Aaj uska double shift hain "Be with me, partner" aur "Me very much likey" mein…
Fandom: Mamiji and Khushi… todays's Batman and Robin…
Me: True… very true…. Mami in Black and Khushi in Eastman colour…. How apropos…
Scene: 4
Dhan ta nan… Ta na na na
Khushi: Look mamiji… Nukkarwala darwaza…
Mamiji: Arre phatti saree, yeh nukkarwala darwaza nehin hain… cctv ka head quarters ka main gate hain…
Khushi: Lo karlo baat… Hamare Laxmi Nagar ko low standard bolte hain, ab iska standard dekho…
Mamiji: Thik hain thik hain… Chalo climb karo…
Khushi: Uski kya zaroorat hain? Ek dhakka hi kafi hain isko todne ke liye…
Mamiji: Aaj ke liye itni akal kafi hain… Chup chap climb karo…
Khushi climbs, then helps mamiji…
Avni & I (Together chewing popcorn, in chorus): Arre par…
Mamiji to us: Oye fokat ke jasoos, bola tha na dimaag bandh karke dekho…
Avni & I (Fingers on lips): *Silence*
Guard is sleeping…
Avni (whispers): Hai, guard kaise so raha hain…
Me (whispers back): Yeh job description mein hain… Sona jaroori hain…
Avni (Serious, Nodding head): Achcha… chalo hum bhi kahin guard ki naukri kar lete hain… Sone ke paise milte hain yaar…
Mamiji chloroforms the guard…
Khushi: Uski kya jaroorat thi… waise bhi woh ghore bechke so raha tha… Fazool ka kharcha…
Mamiji glares at Khushi… Khushi chup…
Then they break into cctv ka basement and after showing all their jalwas, cuts the cctv connection…
Khushi: Mamiji, mamiji… I'm so excited… Aaj tak humne filmo mein dekha tha ke hero ko kya kya papad belne padte hain security ka waat lagane ke liye, aur hum ainvayee ghoos gaye. Hum kitne kamaal ke jasoos hain naa?
Mamiji: Phatti saree, control… E fangirlwa ke jaise behaibeer ooha shaantivan mein chalat hain par iha nehin chalega… Aur ee ka, get up bhi thik nahin li ho, pink salwar ma chammak challo ban ke aa gayee… Thik hain, oo sab chodo… E dekho Arnav bitwa… Lekin itni baar andar bahar kahe karat rahe… Zor ki aayee thi ka?
Khushi (sad face): Kya Mamiji… Apne to ainvayee hamara naam Phatti saree rakh diya… Lekin aaj tak saree to door, hamara to rumal bhi nehin phata…
Fandom: Phatega Khushi phatega… Bas Kuch hi hafte aur… Phir to phatna hi hain..
Me: Tumhara kuch phate na phate, mera dimaag idhar phat raha hain…
Avni (poking on my back): Dimaag nehin laganeka… CVs not likey…
Mamiji: Oo dekho Arnav bitwa ke piche 4 admi baseball cap and identical suit mein... Oohi problem hoga...
Khushi: Dekha mamiji... humne bola tha naa...
Me: http://www.youtube.com/watch?v=VYG5f3hA6Dw
Ek baat main apne dil mein liye, (Ting ting ting ting ting ting)
Jaane kabse phirti hoon... (Ting ting ting ting ting ting)
Dimaag hain mere mein phir bhi... (Ting ting ting ting ting ting)
Yeh bloopers main kab tak sahti rahoo? (Ting ting ting ting ting ting)
Jo mere dimaag ka dahi kar de... (Ting ting ting ting ting ting)
Aa ha ha...
Avni:
Yeh dimaag agar wo hain ke jo... (Ting ting ting ting ting ting)
Bloopers ko hazam naa kar paaye... (Ting ting ting ting ting ting)
Uss dimaag ka yahan koyi kaam nehin... (Ting ting ting ting ting ting)
Usse yoghurt cup mein hi rehne do... (Ting ting ting ting ting ting)
Warna CVs ka nashta ban jayega... (Ting ting ting ting ting ting)
Aa ha ha...
Precap:
Yaad aa rahee hain, teri yaad aa rahee hain…
Arnav dreams of Khushi…
Arnav: Khushi… Tum mere sapne mein kitni sundar lag rahee ho… IFwale jo complaint ki thi ki tumhari nayee hairstyle aur dresses main nehin dekh paya kyunki main kidnap ho gaya tha, woh bhi CVs ne mere sapne mein mujhe dikha diya… Ab kisiko koi complaint nehin hoga. In fact maine to tumhare dress ki design bhi ditto imagine kiya… Isse kehte hain dil se dil ka connection…
Me: Mere churan ki goli kithe hain… Ab wohi kha ke isse hazam karna padega…
4