Arnav Point Of View
Roz ki tarah main taiyaar hokar office ja raha tha, par Mrs. Raizada apna sati savitri ka rup dharan kar ke ayin," Swami! Aap apna basta- mafh kijiye ga aap apna bag bhool rahen hain..."
Maine gusse mein apna briefcase uthaya aur baahar ki or gaya. Pata nahi mujhe Khushi par itna gussa kyun tha. Mujhe pata hai ki voh ye sab jaan boojh kar kar rahi hai. Par uski har baat sunkar mujhe yaad aata tha ki maine uske saath kitni na insaafhi kari thi. Main uspar nahin, khud par naaraaz tha.
Usse kehne ki himmat nahin nahi jutta paya tha, par main ab bhi use pasand karta hoon.
Anjali Point Of View
I was relaxing in my room, watching some television. I was so occupied, that I barely noticed my husband enter the room.
He sat next to me," Rani Saahibaa, kya aap jaanti hai ki hum aapse kitna pyaar karte hain?"
" Haan baba jaante hain, aap hamse aur is nanhe shaitaan se bauhaut pyaar karten hain."
Voh muskuraye," Rani Saahinaa, khuda na kare agar aapko kuchh ho jaye, to hum aapko bauhauuut moss karenge..."
" Arre aap aise kyun keh rahen hai. Itni aasani se peechha nahin chodenge."
" Achha baba, ab aap thoda so jaiye, ek lambi neend do aap deserve kartin hai..."
Ham jaise hi lete, voh uthe aur jaane lage. Darwaze par pauhaunch kar unhone kaha," Alvida Rani Saahiba."
3rd person Point Of View
Shyam ne kamre se ke darwaze par khade hokar, apni jen se ek maachis nikaali jalaakat zameen par phenk di.
Aur Anjali ko pata bhi nahin chala.
Meanwhile Khushi Point Of View
Laxmiji ko aaj pata nahin kya hua hai, hamari sari ko kheench kar Anjali ji ke kamre tak le ja rahi thi.
" Laxmiji, aap kya kar rahin- Hey devi maiya, yahaan toh aag lagi hai!"
Anjaliji bistar par behosh hokar latin theen. Maine kuchh socha, na samjha bas sir ko dupatte se dhak kar andar chali gayi.
Anjali ji ko maine kandhe se sahara dete huey, darwaze ki or le jana chaha. Charon tarafh ka dhuaan, meri aankhon mein paani la raha tha.
Kamra zyada der tak nahi upar rahega. Yeh sochkar maine di ko lamre se baahar dhakela, aur chat ka kichh hissa mujhpar ja gira.
Uske baad mujhe sirf andhera.
Arnav Point Of View
Aman entered the meeting with his phone.
" Aman, tumse kitni baar kaha hai meeting ke samay mujhe kissi bhi cheez ke liye disturb mat kar-"
" Sir, aapke ghar mein aag lagi hai."
851